Ye Dil tere liye beqarar aaj bhi hai,
Meri aankh ko tera intizar aaj bhi hai,
Tu aayegi ye umeed hai mujhe…..
Tujh ko pane k liye ye tera deewana aaj bhi hai. ..
`
Mere chehare ki hansi ho tum,
Mere Dil ki har khushi ho tum,
Mere hontho ki mushkan ho tum,
Dhadakta hai mera ye Dil jiske liye…..
Wo Meri Jaan tum ho tum. ..
`
Dil Ki Nazuk Dhadkano KoMere Sanam Tumne Dhadakna Sikha DiyaJab Se Mila Hai Tera Pyaar Dil KoGum Me Bhi Muskurana Sikha Diya…
`
Raat ko raat ka tohfa nahi dete,Dil ko jazbaat ka tohfa nahi dete,hum tu tumhe chand bhi de dete…..magar Chand ko Chand ka tohfa nahi dete…..!
`
Tum hansti ho mujhe hasane k liye,Tum roti ho mujhe rulane k liye,Tum ek bar ruuthkar to dekho…..Mar bhi Jaunga tumhein manane k liye.
Aapki hasi pe chhidakte hain hum jaan
Aapki khushi pe toh hai sab kuch kurbaan
Aapke bin toh ye jahan lage veeran
Kyuki aap toh hai jaise is dil ka gulistaan
`
Teri lehrati julfe na jane kya kehti hai
teri jhuki nazro ko dekhkar log kya kehte hai
humne suni hai aapki taarif apne kaano se
log to aapko Taj Mahal kehte hai
`
Nanhe se dil me armaan koi rakhna,
Duniya ki bhid main pehchan koi rakhna,
Ache nahi lagte jab rahte ho udas,
In hoto pe sada muskaan vahi rakhna.
`
Humare zakhmo ki wajha bhi woh hai
humare zakhmo ki dava bhi woh hai
woh namak zakhmo pe lagaye bhi to kya hua
Muhabbat karne ki wajah bhi to woh hai
`
UNKI ANKHO SE KASH KOI ISHARA TO HOTA
KUCH MERE JEENE KA SAHARA TO HOTA
TOD DETE HUM HAR RASM ZAMANE KI
EK BAAR HI SAHI USNE PUKARA TO HOTA
`
Phoolon mein hoti hai wo khushbu
jo man ko bhaa jaati hai
jo is man ko chhute hi
ek madhur geet ban jaati hai
vibhinnataa hoti hai rango mein inke
jinki man mein tasveer ban jaati hai
in phoolon mein hoti hai
`
Aapke deedar ko nikal aaye hai taare
Aapki khushboo se chha gayi hai bahare
Aapke saath dikhte hai kuch aise nazare
Ki chhup chhup ke chand bhi bas aaphi ko nihare…
Iss ajab daur mein aashiq bhi ajeeb hote hai
ek din dost dusre din rakeeb hote hai
iss liye toh mene mohabbat nahin ki hai
mohabbat mein toh sirf dukh naseeb hote hai ..
`
Jab se dekha hai teri aankhon mein jhank kar
koi bhi aaina acha nahin lagta
teri mohabbat mein aise hue hai deewane
tumhe koi aur dekhe toh acha nahin lagta..
`
Masti ko muhabbat me fanaaa koun karega ..??
yeh farz mere sewa adaa koun karee ga …???
Haathoo ki lakiroun ko zaraa dekh najomi……
yeh dekh mere saath wafa koun karee ga?????
`
Dilon mein aarzu ke diye jalte rahenge
aakhon se aansu nikalte rahenge
aap shamaa bankar dil mein roshani toh karo
hum to mom bankar pighalte rahenge
`
Apni nazar me meri nigaah phir kyon dhoondhte ho..
Apni tanhai me meri kami kyon mehsoos karte ho..
Apne ahsaason me meri chhuuan kyon talashtey ho..
Apne lafzon se aksar yeh faasley kyon taye karte ho…
Zindagi ki raah mein aage chalte jana har pal,
Mur ke na dekh beete hue pal
Jo nahin tha tera tujhe nahin mila,
Jo milgaya uske sath guzaar apna har pal..
`
Dil se tera Khayal na jaaye to main kya karoon??
Tu hi bata tu yaad bahot aaye to main kya karoo?
Hasrat ye hain ke ek nazar dekhloon tuzhko…
Magar Qismat wo lamha na laaye to main Kya karoo???
`
Aashiq hai tere sadiyo se hum….
itni mohabbat kisne ki hai sanam….
hadd se ziyada chaaha hai tumko humne….
maange tu jaan vi toh piche hatege na kabhi mere kadam….!!!!
`
Meri deewangi ki koi hadd nahin
teri soorat ke siva kuch yaad nahin
mein hu phool tere gulshan ka
tere siva mujh pe kisi ka haq nahin..
`
Aye khat ja unke haathon ko chum le
Jab voh padhe to unke hothon ko chum le
Khuda na kare voh phade bhi dale
To girte girte unke kadmo ko chumle..
Hasraton ki Nigaaho pe sakht Pehra hai…
Na Jaane Kis Ummid pe yeh Dil tehra hai…
Teri Chaahaton ki Kasam, aye Dost…
Apni Dosti ka Rishta Pyaar Se bhi Gehra hai.
`
Dost ki Kami Mehsoos Hoti hai
Ek haseen suhane pal ki kami mehsoos hoti hai
jab tu sath ho har khushi mehsoos hoti hai
meri thami hui saans bi Puri hoti hai
`
Dil ki awaaz ko izhaar kehte hai,
jhuki nigah ko ikarar kehte hai
sirf paane ka naam ishq nahi.
kuch khone ko bhi pyaar kehte hai.
`
Hum Kabhi Tumse Khafa ho nahi sakte,
wada kiya hai to bevafa ho nahi sakte,
aap bhale hi hume bhulakar so jao,
magar hum aapko yaad kiye bina so nahi sakte.
`
Ek phool aksar bagh saja deta hai
Ek hi sitara sansaar chamka deta hai
Jahan duniya bhar ke rishtey bhi kaam nahi aate
Wahin ek pyara sa dost zindagi bana deta hai.
`
Zindgi ke liye jina zaruri hai,
Jine k liye arman zaruri hai,
Dil mein chahe hazaro gum ho,
Phir bhi tere chehare pe muskan zaruri hai.
`
Dosti milti hai kismat se
Todo na ise shano shoukat se
Koi na jaane aage kya ho
Bacha kar rakho ise chahat se
`
Ek shamma andhere mein jalaye rakhna,
Subha hone ko hai mauhaul banaye rakhna,
Kaun jane wo kiss gali se guzre,
Har gali ko phoolo se sajaye rakhna!
`
Har khamoshi ka matlab inkaar nahi hota,
Har nakamyabi ka matlab haar nahi hota.
Toh kya huwa agar hum tume na pasake,
Sirf paane ka matlab pyar nahi hota.
`
Mohabat ke bina zindagi fizool hai
Par mahobat ke bhi aapne ussol hai
Kehte hai milti hai mohabbat mein bahut ulfaate
Par aap ho mehboob toh saab kubul hai.
`
Talaash Karo koi tumhe mil jayega,
Magar hamari tarha tumhe kaun chahega,
Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega,
Magar ankhein hamari kahan se layega.
Apne Dil Mein Tumhare Pyar Ki Dastaan Likhi Hai
Na Thodi Na Bahut Tamaam Likhi Hai
Kabhi Humaare Liye Bhi Dua Kar Liya Karo
Kyon Ki Humne Apni Har Ik Saans Tumhare Naam Likhi Hai
`
pyar ka rang holi se bhi gehra hota hai
do pyar karne walon ka joda sabse nyara hota hai
jo pyar ka dhaga ek baar toot jaye
to unka dubara judna namumkin hota hai
`
Ishq koi cheez nahi dil parchaan di
ishq ta kala hai dil lgaan di
ishq da soda kade keeta nahi janda
eh oh jaam hai jo peeta nahi janda
ki samjhava main oos bedard nu
ishq ho janda hai kade keeta nahi janda
`
Har Koi jo keh sake ye wo ehsas nahi
Pyaar karte hain apse iska aur koi naam nahi
Mumkin hai baatein hamari alag ho zamane se
Khayal apka hai unme is baat se hame inkaar nahi
`
Choti Si Dosti,
Anjaani Mulakaatein;
Pal Bhar Mein Khatam Hote Din,
Khayalon Mein Doobi Lambi Raatein;
Yahin Se Shuru Hota Hai Pyaar, Hai Na..??
`
Anjaan Hai, Anjaan Hi Rahne Do
Kisi Ki Yaado Me Pal Pal Yun Hi Marne Do
Kyoun Badnaam Karte Ho Humara Naam Leke
Ab Toh Iss Naam Ko Benaam Hi Rahne Do
`
Jiski Yaad Me Sare Jahan Ko Bhul Gaye
Suna Hai Aajkal Vo Humara Naam Tak Bhul Gaye
Kasam Khai Thi Jisne Sath Nibhane Ki Yaaro
Aaj Wo Humari Lash Par Aana Bhul Gaye
`
Likhne se Pehle salam karte hai
Dard-e-dil se paigam karte hai
Ye mat samajhna ki hum bhul gaye hai tumhe
Yaad to tumhe hum subha-sham karte hai
`
Na hum khafa hen tum se meri jaan
Na koi faryad karte hai
Hum Sms bheje ya na bheje
Ye jan lo tum Hum tumhen har pal YAAD karte hai
`
Ek shamma andhere mein jalaye rakhna,
Subha hone ko hai mauhaul banaye rakhna,
Kaun jane wo kiss gali se guzre,
Har gali ko phoolo se sajaye rakhna!
Kabhi Laga Wo Hume Sata Rahe He,
Kabhi Laga ke Wo karib Aa Rahe He,
Kuch Log Hote He Ansuo ki Tarh He,
Pata Hi Nahi Lagta sath De Rahe
He ya Chod ke ja Rahe Hai..
`
Tuta hua dil kisi ke kam nahi aata,
bichade hue logo ka paigam nahi aata,
tum kabhi na bichadna mere dost,
kyoki DIL todne walo me tumhara naam nahi aata.
`
DiL Me Chipi Yado Se Sawaru Tuje
Tu Dikhe To Apni Ankho Me Utaru Tuje
Tere Naam Ko Mere Labo Par Aise Sajaya hai
So Bhi Jau To Khwabo Me Pukaru Tuje..
`
Pani ka 1 katra palko pe cha gaya
Ye mausam hal-e-dil aapka bata gya
Udas ho rahe the na aap mere sms ke bina ?
Chalo ab muskurao Humara SMS aa gaya.
`
Ye Zindagi Tere Sath Ho
Ye Aarzoo Din Raat Ho
Mai Tere Sang Sang Chalu
Tu Har Safar Mai Mere Sath Ho
Mai Kanto Par Bhi Chal Padu
Tere Pyar Ki Jab Barsat Ho
`
Kabhi Sham Dhale Jab Hum Mile
Na Din Dhale Na Raat Ho
Ye Aarzoo Din Raat Ho
Ye Zindgi Tere Sath Ho..
`
Tumhari Duniya Se Chale Jane Ke Baad Hum Tumhe
Har Ek Tare Me Nazar Aaya Karenge
Tum Har Pal Koi Dua Mang Lena
Aur Hum Har Baar Toot Jaya Karenge..
No comments:
Post a Comment