Dil ki gehraaiyon me hum jaane se bachte rahey
doob jate sahil pe isliye kinare se bachte rahey
khuda se gila kya karna sabka naseeb hi aisa hai
tujhe laga hum tere kareeb aane se bachte rahey…
Tanhai mein khat aus ne mera padha hoga
dil aus ka bhala kaboo mein kaise raha hoga
jab sakhyon ne ause majboor kya hoga
tab sarmake naam aus ne mera liya hoga
jab ratoon ko yaadon ki purwai chali hogi
aus ke dil-e-nazuk mein tufaan uttha hoga
ek awara shayer kehtein hai jise Hanan
akhsar tumhe apne khawaboon mein mila hoga…
Zindagi ne daga de di hai,
Kisi ne saza de di hai,
Pata nahi kya hua unhe,
Wo bewafa wafa de gayi hai.
Agar Dil Tera Karey To, Mujh Gareeb Se Mil Lena
Roz Door Se Dekhtey Ho, Aaj Kareeb Se Mil Lena
Aana Na Samne Mere, Ankh Teri Jo Bhar Aaye To
Meri Razaa Jaan-ne Ko Mere Tabeeb Se Mil Lena
Zakhm Gehra Hai Itna Kyun, Gar Sawaal Ho Dil Me
Teri Yaad Se Jo Surkh Hui Us Saleeb Se Mil Lena
Hain Dost Bahut Kam Meri Jubaani Kehne Waale
Par Tum Udaas Na Hona Mere Raqeeb Se Mil Lena
Tadap Raha Hai Arse Se Tere Deedaar Ko
Bus Aakhri Baar Tum Us Bad-Naseeb Se Mil Lena..
Bikhar rahi hai meri zaat usay kehna
Kabhi milay to yehi baat Usay kehna
Wo sath tha to zamana tha hamsafar mera
Magar ab koi nahi meray sath usay kehna
Usay kehna k bin us kay din nahi kat-ta
Sisik sisik k kati hai raat usay kehna
Usay pukaron k khud hi pohanch jaon us k pass
Nahi rahay wo halaat usay kehna
Agar wo phir bhi na lotay to a meray meherban
Hamari Zeest k Halaat usay kehna
Har jeet us k naam kar raha hon me
Me Manta hoon apni Haar usay kehna..
Bheed main rishtoon ki is dil ko akela dekha
Zindagi aisa bhi hum ne tera chehra dekha
Ab to band hone ki aankhoon ko ijazat de de
Barsoon aankhoon nay tera jaag k rasta dekha
Umar bhar saath chale phir bhi rahe hum tanha
Hum nay qurbat me bhi faasla aisa dekha
Us nay banhoon main sama rakhe the dariya lekin
Hum ne sahil ko jo dekha bhi to pyasa dekha…
Teri kitaab-e-hayat meiN, meri aukat ik safaa hai,
Rangin fasaanon mein dabii kahin meri wafa hai.
Shikayat us likhne wale se hai, tujhse koi gila nahi,
Jo shayad is kahani mein mere kirdar se khafa hai.
Kitaab-e-muqaddas hai mera pyaar, par haar mili,
Isme koi fasl hi nahi jiska nam nuksan ya nafa hai.
Unke diid par daffatan nikal gaya “ya mere khuda”
Wo ise agar mante hain meri jafa to meri jafa hai.
Taariikh jaanta hai talwaar ki aziyaten kalam par,
Haari hai shamshiir, kalam ki fateh har dafaa hai.
No comments:
Post a Comment