( Nazrein Churake )
Apne dil ko samjha k dekhenge;
Aaj tujhko bhulake dekhenge.
Dekhna hai dil pe kya guzerti hai;
Tera ek khat jalake dekhenge.
Dariya -e- Dil mein koi mauj nahi ;
Aaj aanshu bahake dekhenge.
Chhodker tujhko door jayenge ;
Gum -e- zudai uthake dekhenge .
umra ne kis kadra diye dhoke ;
aaine ko batake dekhenge.
Hum aaj rat roshni k liye;
Charag -e- dil jalake dekhenge.
Jinka kehna tum jiyo ya maro;
unki baton mein aake dekhenge.
Sath guzre haseen lamhon ki;
yaadon ko hum bhulake dekhenge.
Dekhein phir mastghan unka rawaiya;
unse nazrein churake dekhenge.
( Teri Beeti Batein )
Ay… malik kyun kiya majboor yoon kuchh nahin apne bus mein.
Jab bichhde tab niklein ashoo, toote waade kasmein.
Sapne toote apne chhoote aur wo hue paraye ;
Koi bataye kisne banai is duniya ki rasmein.
Saaz bhi hai aabaj bhi hai, wahi shama wahi din hai;
Tu jo nahi to kisko sunaoo sher, Ghazal ye nagme.
Gayi bahar chaman hua khali, ud gaye panchhi sare;
Ay bulbul ab tu bhi chali ja kya rakha patjhad mein.
Tanhaee apni kismat mein shaam akeli ratein;
Mai jee loonga dil mein basaker teri beeti batein:
Teri beeti batein, bus teri beeti batein…………………
( Tisnagi )
Husnwalon se berukhi achhi.
Dosti achhi na dusmani achhi.
Jaam hathon mein ashk aakhon mein;
yu pilane se tisnagi achhi.
Shekh peeker bhi pyase laute hain;
Ye maiy achhi na maiykashi achhi.
Darde dil k bagair kuchh bhi nahi;
wafa achhi na dillagi achhi.
Sansein bhi jab udhar leni padein ;
Bazar -e- zindagi uthi achhi.
Zindagi bojh banke reh jaye;
Aise jeene se khudkushi achhi.
Lash pe lash gire parwane ;
Ay.. Shama teri roushni achhi.
mastghan dil hi jab paresan ho ;
Buri lagati hai baat bhi achhi.
( Tabajjoh -e- khas )
Unki khidmat mein kuchh alaa janab hote hain .
Husn wale jidher wasabab hote hain.
HUm yoon rote hain k rote bhi nahin
Wo to gum bhi bare lajabaab dete hain.
Dekhe jo unhein tod de paimane sabra k;
Wo jub rukh se jara benakab hote hain.
bus itni shikayat rahi hai aaj tak unse;
Meri sunte hain na apna jabab dete hain.
Wo hain k humein theek se dekha bhi nahi;
Hum jinki soorat pe tabajjoh -e- khas dete hian.
( Kasam se )
Khamshi jab khudkalam ho gayi;
Her bat nazeron mein tamam ho gayi.
Hui subah to aankh khuli jaam se;
Maiykadon mein shaam ho hayi.
Aansuon mein bewashi ka jikra tha;
Yaani halat -e- dil tham ho gayi.
Jabse hui ifteda -e- aashiqi;
Zindagi tamam ho gayi.
Unka shukra jo rulake chhod gaye;
Chalo wasl wa-anjam ho gayi.
Jabse unke ho gaye hain mastghan;
Kasam se Fitrat -e- gulam ho gayi.
( Unke Bagair )
Kaise unke bagair waqt bitaya jaye;
Dil -e- nashad ko kis tarah manaya jaye.
Jab dil ko na mile kahin sukoon to;
Uski tasveer ko seene se lagaya jaye .
Khud bikher jayegi sab bher mein roshani;
Bus rukh -e- yaar se ye parda hataya jaye.
Mumkin to nahi lagta mager ek roj kabhi;
Chand ko falak se jameen pe utara jaye.
Chalo aasan ker dete hain khuda ki rahein;
Wo jo majboor hain unhein aur sataya jaye.
Jo taraste rahe wafa k liye ;
Unko aaina dikhaya jaye .
( Teri jaroorat )
Jane is dil ko tere naam se niswat kyu hai;
Batana zindagi ko teri jaroorat kyu hai.
Kambakhat dil hai k lagata hi nahi;
Sari duniya se shikayat kyu hai.
Kyun nahi lagti kahin tabiyat tere bagair;
Batana tujhse mujhe itni mohabbat kyun hai.
Mai kyu na mer gaya auron ki tarah karke khudkushi;
Mujhme haalat se ladne ki adawat kyu hai.
Yu to aur bhi azeem-o-shaan hai mere ehbab;
Her sakhs se aala teri shohbat kyu hai.
Sanase to bahut hain mere is shehar mein mager;
tere hi sath rehne ki mujhe aadat kyu hai.
Dhokhe hi mil rahe hain sabhi se phir bhi ;
Mujhe her aadmi se itni shakhawat kyu hai.
( Khoye – khoye )
Aasman pe sare sham se jab tare utar aate hain;
Meri aankhon mein phir kuchh jugnu jhilmilate hain.
jubse aye hain wo dehleez pe jawani ki ;
wo apne gher pe bhi mehman nazer aate hain.
Uski shohabat hi yaad aati hai ;
Jab kabhi raste sunsan nazer aate hain.
Jane kya ho gaya hai duniya ko;
k khoye – khoye se insaan nazer aate hain.
Jinse hum her ghadi milne ki dua karte hain ;
Nigahein pher ker wo log guzer jate hai.
Meri wafa ka unper faqat itna aser hai ;
Ger kahin dekh lein mujhko to sanwar jate hai.
( Jo Bhi Milta Hai )
Jo bhi milta hai dil dukhane ko.
Jane kya ho gaya jamane ko.
K ter jab ho gaya mera daman ;
Shiddatein ho gayi jamane ko.
Baat batper gher chhodne ko kehta hai;
Kaise roku mai dil diwane ko.
Mayush hi laute hain us der se abhi tak.
Chale jate hai phir bhi kismat aajmane ko.
Jabse badal gayi hai wafa ki soorat;
Karta hi nahi dil kisise dil lagane ko.
( Shayad hi koi )
Dilshai to bahut hain madadgar nahi hai.
Yahan dost to bahut hain wafadar nahi hain.
Ek roj baaz ayeinge wo bewafai se ;
Ummeedein to bahut per aasar nahi hai.
Shayad hi koi hoga duniya mein khushnaseeb;
Ziski zindagi gamon se do-char nahi hai.
Meri begunahi ka her ashk gawah hai.
Jalim ko phir bhi mujpe aitwar nahin hai.
Sara din badi muskil se gaya hai mera ;
Shayad k aaj mausam khushgawar nahi hai.
Jabse wo mere ghar mehmann hone lage hain;
Dusman bhi abto meherbaan hone lage hain.
Hum jubse teri justzoo mein rahner lage hain;
Jane kyun her gum se anjaan hone lage hain.
Jo log rahe kal tak meri jaan ke dusman ;
Sunta hoon ab mujhpe kurbaan hone lage hain.
Jubse laga gaye hain wo keemat mere dil ki;
Nacheez k bade kadradaan hone lage hain.
* Itna bhi karam mat ferma tu mujhpe ai nigah -e- naaz;
Ke tere ehsano tale dabke mera dum nikal jaye;
* Aisa na ho pad jaye phir aadat teri mujhe ;
Tu ger chhodker jaye to mera dum nikal jaye.
unki neeyat wo jane ya khuda jane ;
Ab humpe anchahe ehsan hone lage hain.
Jabse wo utar aaye hain es dil mein mastghan ;
Sab kaam ab kitne aasan hone lage hain.
Unhone Apna Kabhi Bnaya Hi Nahi,
Jootha Hi Sahi Pyar Dikhaya Hi Nahi.
Galtiyan Apni Hum Maan B Jaate,
Par Kya Kare Kasoor Hmara Hume Btaya Hi Nahi.
***************> Aslam Shaikh <*********************
Hazaro Jhopdiya Jalkar Rakh Hoti Hai,
Tab Jakar Kahi 1 Mahal Banta Hai.
Aashiqo Ke Marne Pe Kafan Bhi Nahi Milta,
Or Hasinao Ke Marne Pe Tajmahal Banta Hai
***********} Aslam Shaikh {****************
Kya Mangu Khuda Se Tumhe Pane K Baad,
Kiska Karun Intezaar Tere Ane K Baad ,
Kyu Dosti Mai Jaan Luta Dete Hain Log,
Mujhe Malum Hua Tumhe Dost Banane K Baad ….
*********“ Aslam Shaikh “***************
Na Thi Jisko Mere Mere Pyaar Ki Kadar,
Ittefaq Se Usi Ko Chah Raha Tha Main,
Usi Diye Ne Jalaya Mere Hathon Ko,
Jisko Hawa Se Bacha Raha Tha Mai.
“““““`Aslam Shaikh ““““““
Unhey To Fursat Nai Milne Ki Humse,
Aur Hamara Waqt Gujarta Hai Unki Farirayad Karke..
Agar Aye Wo Meri Maut Pe,
To Keh Dena Abhi Soye Hain Tumhe Yaad Karke….
**********Aslam Shaikh*************
Socha tha chand ko nai chu sakta
par chand hi pass aa jaye to kya
Socha tha umra bhar pyar mil nai sakta
par pyar khud dhundta hua aa jaye to kya
Is dil k armaan kisi ko bata nai sakta
koi mere armano k liye aaye to kya
Paya bhi unhe to jata nai sakta
Jataya unhone par samay daga de jaye to kya
itni mohabbat shayd koi kar nai sakta
is mohabbat ye dil fanaa ho jaye to kya
Aapko is baat ka ilm nai ho sakta
dil me ye pyar gehrata jaye to kya
ab aap kahe bhi to bhul nai sakta
par aapko kya pata koi sannate me neer bahaye to kya
ruh jud gayi hai meri mai juda reh nai sakta
par rokunga na ab aapko, dard se jaan chali jaye to kya
Socha tha chand ko nai chu sakta
par chand hi pass aa jaye to kya
Socha tha umra bhar pyar mil nai sakta
par pyar khud dhundta hua aa jaye to kya
Is dil k armaan kisi ko bata nai sakta
koi mere armano k liye aaye to kya
Paya bhi unhe to jata nai sakta
Jataya unhone par samay daga de jaye to kya
itni mohabbat shayd koi kar nai sakta
is mohabbat ye dil fanaa ho jaye to kya
Aapko is baat ka ilm nai ho sakta
dil me ye pyar gehrata jaye to kya
ab aap kahe bhi to bhul nai sakta
par aapko kya pata koi sannate me neer bahaye to kya
ruh jud gayi hai meri mai juda reh nai sakta
par rokunga na ab aapko, dard se jaan chali jaye to kya
Sach me dosto ye pyar karna gunaah hi hai
Socha tha chand ko nai chu sakta
par chand hi pass aa jaye to kya
Socha tha umra bhar pyar mil nai sakta
par pyar khud dhundta hua aa jaye to kya
Is dil k armaan kisi ko bata nai sakta
koi mere armano k liye aaye to kya
Paya bhi unhe to jata nai sakta
Jataya unhone par samay daga de jaye to kya
itni mohabbat shayd koi kar nai sakta
is mohabbat ye dil fanaa ho jaye to kya
Aapko is baat ka ilm nai ho sakta
dil me ye pyar gehrata jaye to kya
ab aap kahe bhi to bhul nai sakta
par aapko kya pata koi sannate me neer bahaye to kya
ruh jud gayi hai meri mai juda reh nai sakta
par rokunga na ab aapko, dard se jaan chali jaye to kya
Sach me dosto ye pyar karna gunaah hi hai
Uski chahat se ikrar na karte
uski kasmo ka aitbaar na karte
agar pata hota hum sirf mazak
hai unke liye kasam se jan de
dete par pyar na karte,
Na Pine ka shok tha na pilane ka shok tha,
Hume to sirf nazre milane ka shok tha,
Pr kya kare hum nzare hi unse mila bathe,
Jinhe nazron se pilane ka shok tha,
kabhi karte hai jindgi ki tamanna,
kabhi maut ka intazar karte hai
wo hamse kyun door rahte hai,
jinhe hum zindgi se bhi jyada
pyar karte hain,
No comments:
Post a Comment