तीरगी चांद के ज़ीने से सहर तक पहुँची
ज़ुल्फ़ कन्धे से जो सरकी तो कमर तक पहुँची
मैंने पूछा था कि ये हाथ में पत्थर क्यों है
बात जब आगे बढी़ तो मेरे सर तक पहुँची
मैं तो सोया था मगर बारहा तुझ से मिलने
जिस्म से आँख निकल कर तेरे घर तक पहुँची
तुम तो सूरज के पुजारी हो तुम्हे क्या मालुम
रात किस हाल में कट-कट के सहर तक पहुँची
एक शब ऐसी भी गुजरी है खयालों में तेरे
आहटें जज़्ब किये रात सहर तक पहुँची
(Teergi chaand ke zeene se sahar tak pahunchi
Zulf kandhe se jo sarki to kamar tak pahunchi
Maine poocha tha ki ye haath mein paththar kyon hai
baat jab aage badhi to mere sar tak pahunchi
main to soya tha magar barha tujh se milne
jism se aankh nikal kar tere ghar tak pahunchi
tum to suraj ke pujari ho tumhen kya maloom
raat kis haal mein kat kat ke sahar tak pahunchi
Ek shab aisi bhi guzri hai khayalon mein tere
Aahaten jazb kiye raat sahar tak pahunchi)...........Shayareazam(urdu Shayari)
No comments:
Post a Comment