affiliate marketing Hindi Urdu Sher O Shayari And SMS: Dard ke phool bhi khilte hai ... ..................

Saturday, 14 May 2011

Dard ke phool bhi khilte hai ... ..................



Dard ke phool bhi khilte hai ...

Dard ke phool bhi khilte hai bikhar jaate hai,
ZaKhm kaise bhi ho kuch roz mein bhar jaate hai,

Us dariche mein bhi ab koi nahi aur hum bhi,
Sar jhukaye huye chup chaap guzar jaate hai,

Raasta roke khaDi hai yahi ulajhan kab se,
Koi poochhe to kahe kya ki kidhar jaate hai,

Naram awaaz bhali baatein mohazzab lahaje,
Pahli baarish mein hi ye rang utar jaate hai


Naqsh far yadi hai kis...Ghazals

Naqsh far yadi hai kis ki shokh'i tahrir ka
kaghazi hai pairahan her paikar e tasvir ka

jirahat tohfah almas armughan dagh e jigar hadiyah
mubarakbad Asad ghamkh var e ljan e dardmand aya

juz Qais aur koi nah aya bah ruekar
sahra magar bah tangi chashm e husud tha

kahte ho nah den ge ham dil agar para paya
dil kahan kin gum kije ham ne muddaa paya

dil mera soz e nihan se be mahaba jal gaya
atish e khamosh ke manind goya jal gaya


Rahiye ab aisii jagah chalakar jahaa.N koii na ho...

rahiye ab aisii jagah chalakar jahaa.N koii na ho 
hamasuKhan koii na ho aur hamazabaa.N koii na ho

bedar-o-diivaar saa ik ghar banaayaa chaahiye 
koii hamasaayaa na ho aur paasabaa.N koii na ho 

pa.Diye gar biimaar to koii na ho tiimaaradaar 
aur agar mar jaaiiye to nauhaa_Khvaa.N koii na ho


Main unhain chor doon aur kuch na kahay...

mai.n u.nhe.n chhe.Duu.N aur kuch na kahe.n
chal nikalate jo mai piye hote

qahar ho yaa balaa ho, jo kuchh ho
kaash ke tum mere liye hote

merii qismat me.n Gam gar itanaa thaa
dil bhii yaa rab kaii diye hote

aa hii jaataa vo raah par 'Ghalib'
koii din aur bhii jiye hote


Kab se hooN, kya bataaooN jahaan-e-KHaraab mein...
miltee hai KHoo-e-yaar se naar iltihaab meiN
kaafir hooN gar na miltee ho raahat ‘azaab meiN 

kab se hooN, kya bataaooN jahaan-e-KHaraab meiN ?
shab haaye hijr ko bhee rakhooN gar hisaab meiN 

taa fir na intezaar meiN neeNd aaye ‘umr bhar
aane ka ‘ahad kar gaye aaye jo KHwaab meiN 

qaasid ke aate-aate KHat ik aur likh rakhooN
maiN jaanta hooN jo woh likhenge jawaab meiN 

mujh tak kab unkee bazm meiN aata tha daur-e-jaam
saaqee ne kuchch mila na diya ho sharaab meiN 

jo munkir-e-wafa ho fareb us pe kya chale ?
kyooN badGHumaaN hooN dost se dushman ke baab meiN ?

maiN muztarib hooN wasl meiN KHauf-e-raqeeb se
Daala hai tumko weham ne kis pech-o-taab meiN 

mai aur haz’z-e-wasl, KHudaa_saaz baat hai
jaaN nazr denee bhool gaya iztiraab meiN 

hai tevaree chaDee huee andar naqaab ke
hai ik shikan paDee huee tarf-e-naqaab meiN 

laakhauN lagaav, ik churaana nigaah ka
laakhauN banaav, ik bigaaDna itaab meiN 

woh naala_dil meiN KHas ke baraabar jagah na paaye
jis naale se shigaaf paDe aaftaab meiN 

woh sehar muddaa talbee meiN na kaam aaye
jis sehar se safina ravaaN ho saraab meiN 

‘GHalib’ chutee sharaab, par ab bhee kabhee-kabhee
peeta hooN roz-e-abr -o- shab-e-maahtaab meiN


aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai....
aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahin hai

dete hain jannat hayaat-e-dahar ke badale
nashshaa baa_andaazaa-e-khumaar nahin hai

giriyaa nikaale hai teri bazm se mujh ko 
haaye! ki rone pe ikhtiyaar nahin hai 

ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir
khaak mein ushshaq ke gubaar nahin hai

dil se uthaa lutf-e-jalvaa haye ma_ani 
gair-e-gul aaiinaa-e-bahaar nahin hai

qatl kaa mere kiyaa hai ahad to baare 
vaaye! agar ahad ustavaar nahin hai 

tu ne qasam maikashi ki khaai hai ‘Ghalib’ 
teri qasam ka kuchh aitabaar nahin hai


Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein...
Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.

Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.

Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.

Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.

Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.

Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.



dill mera soz-e nihaa.n sey be....
dill mera soz-e nihaa.n sey be-mahaba jal gaya
Aatish-e khamosh ki manind goya jal gaya

dill main zouq-e vasl o yaad-e yaar tak baaqi nahi
Aag is ghar main lagi aisi k jo tha jal gaya

main adam sey bhi parey hoon warna ghafil barha
meri Aah-e Aatishee.n sey baal-e a'nqa jal gaya

arz kejeye johar-e andesha ki garmi kaha.n!
kuch khayyal aya tha wehshat ka k sehra jal gaya

dill nahi tujh ko dikhata warna daghoo.n ki bahar
as charaghaa.n ka kya karoo.n kya kaar-e farma jal gaya

main hoon aur afsurdagi ki Aazro Ghalib k dill
dekh kar tarz-e tapaak_e ahe'l duniya jal gaya


meherabaaN hoke bula lo mujhe ...
meherabaaN hoke bula lo mujhe chaaho jis waqt
maiN gaya waqt naheeN hooN ke fir aa bhee na sakooN

zauf meiN taana-e-aGHayaar ka shikawa kya hai ?
baat kuchch sar to naheeN hai ke uTha bhee na sakooN

zehar milta hee naheeN mujhko sitamgar, warana
kya qasam hai tere milne kee, ke kha bhee na sakooN

na huii gar mere marane se tasallii na sahi...
na huii gar mere marane se tasallii na sahi
iimtihaa.N aur bhii baaqii ho to ye bhii na sahii

Khaar-Khaar-e-alam-e-hasarat-e-diidaar to hai
shauq gulachiin-e-gulistaan-e-tasallii na sahii

may parastaa.N Khum-e-may muu.nh se lagaaye hii bane
ek din gar na huaa bazm me.n saaqii na sahii

nafaz-e-qais ke hai chashm-o-charaaG-e-saharaa
gar nahii.n shama-e-siyahaKhaanaa-e-lailaa na sahii

ek ha.ngaame pe maukuuf hai ghar kii raunak
noh-e-Gam hii sahii, naGmaa-e-shaadii na sahii

na sitaaish kii tamannaa na sile kii parawaah
gar nahii.n hai mere ashaar me.n maane na sahii

isharat-e-sohabat-e-Khubaa.N hii Ganiimat samajho
na huii "Ghalib" agar umr-e-tabii_ii na sahii

No comments:

Post a Comment