Rabb se aapki khushi mangte hain,
duaon mein aapki hansi mangte hain.
Sochte hain kya mange aapse? Chalo,
aapse aapki umar bhar ki dosti mangte hain.
================================================
Dilon ko khareedne wale hazaar mil jayenge,
tumko daga dene wale bar-bar mil jayenge.
Milega na tumko hum jaisa koi,
milne ko to dost beshumar mil jayenge.
================================================
adam kadam pe baharon ne saath chhoda,
zaroorat padne par yaaron ne saath chhoda,
vaada kiya sitaron ne saath dene ka,
subah hone par sitaron ne bhi saath chhoda.
================================================
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain,
meri har aah har dard samajhti hain.
Pata hai majbuur hai tu bhi aur main bhi,
phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.
================================================
Aapki dosti ki ek nazar chahiye,
Dil hai beghar usey ek ghar chahiye,
bas yuhin saath chalte raho e dost,
Yeh dosti humein umar bhar chahiye…
================================================
Rabb se aapki khushi mangte hain,
duaon mein aapki hansi mangte hain.
Sochte hain kya mange aapse? Chalo,
aapse aapki umar bhar ki dosti mangte hain.
================================================
Dilon ko khareedne wale hazaar mil jayenge,
tumko daga dene wale bar-bar mil jayenge.
Milega na tumko hum jaisa koi,
milne ko to dost beshumar mil jayenge.
================================================
Yoon to unse milna bari baat nahi ;
Bus mujhe aage peechhe ghoomna pasand nahi.
Kuchh kam hai abhi shehar mein apni sanasai ;
Yaani ki rutba theek se baland nahi.
Shayad wo aas paas hi nikle hain ghoomne;
Darwaja abhi theek se jo band nahi.
kai roj hue khat ka aaya nahi jabab;
kya wo mere mashware se rajamand nahi.
samjhe jo teri baat jahn-o-dil se mastghan
ab her aadmi to itna aklmand nahi.
Ye wo jalwa hai jo khud bekarar hota hai ;
Isk majboor nahi khud mukhtar hota hai .
Fakat chahat ka matlab hi yahan mohabbat nahi hota ;
Ager wo pehlunaseen ho to poyar hota hai ;
Dil se dil ka mil jana hi bahut khoob nahi ;
Wasl -e- wasukoon ho to pyar hota hai.
Nakamiyon se irade to akser toot jate hain;
Jajwa -e- kuchh ker gujer ho to pyar hota hai.
Ye mana khuda karta hai taqdeeron ka faisla ;
Baazi -e- jaan-fanahi ho to pyar hota hai.
Jinhein hai der to wo lut jayeinge ek roj yakinan ;
Khouf -e- anjam ger na ho to pyar hota hai.
Humne bhi kuchh seekha hai tere sath mastghan;
Aur isk ka mara faquat zar zar rota hai.
Mere malik kyun mujhe isk de diya toone ;
Kyu mere dil ko ye ehsas de diya tune.
Ya khuda mujhko bata pyar hua hi kyun tha;
Ye kaisa gum meri kismat mein likh diya tune .
Mai bhi to jee sakta tha mohabbat kiye bagair ;’
Kyun ye dard mere dil ko de diya tune .
Wo bhi zinda hain jo wafa ko jante bhi nahi;
Mujhe hi kyun mizaaz -e- ashikaan diya tune.
Reh – reh ke tadpata hai jo meri hadon ko ;
Kyun aisa khaw in aankhon ko de diya tune .
Chain dhoonde se na mile na koi hal hi mile.
Ye kya sawal zindgi ko de diya tune .
Kitni pursukoon thi kabhi meri duniya ;
Ye kya babal meri jaan ko de diya tune .
( Chal diye )
Mujhko begana banake chal diye ;
Wo jab mile daman bachake chal diye .
Ek hum unki tasveer liye baithe hain ;
Ek wo hain jo nazrein churake chal diye .
Kitni hasratein thi dil mein unke rukhe deedar ki ;
Wo aaye bhi aur munh chupa k chal diye .
Wo kis andaaz mein gujre hain idher se mano;
jaise zakhmi dil dukhaker chal diye.
Unke pas dilashon k siwa kuchh bhi nahi ;
Hum her dard yu dil mein dabake chal diye .
Humko maloom tha kante bichhe hai rahon mein ;
Per hum thay k her gum uthake chal diye.
Kya unhein mila hai zara poochhiye unse ;
jo pyar mein sabkuchh lutake chal diye .
humko jinka imtehaan lena tha mastghan ;
Hum unhein bus aazmaker chal diye .
( Jab se wo )
Jabse wo mere ghar mehmann hone lage hain;
Dusman bhi abto meherbaan hone lage hain.
Hum jubse teri justzoo mein rahner lage hain;
Jane kyun her gum se anjaan hone lage hain.
Jo log rahe kal tak meri jaan ke dusman ;
Sunta hoon ab mujhpe kurbaan hone lage hain.
Jubse laga gaye hain wo keemat mere dil ki;
Nacheez k bade kadradaan hone lage hain.
* Itna bhi karam mat ferma tu mujhpe ai nigah -e- naaz;
Ke tere ehsano tale dabke mera dum nikal jaye;
* Aisa na ho pad jaye phir aadat teri mujhe ;
Tu ger chhodker jaye to mera dum nikal jaye.
unki neeyat wo jane ya khuda jane ;
Ab humpe anchahe ehsan hone lage hain.
Jabse wo utar aaye hain es dil mein mastghan ;
Sab kaam ab kitne aasan hone lage hain.
( Abhi to waki hai )
Chale kahan chhalni karke mere seene ko;
Abhi to waki hai khoon -e- Ziger peene ko.
Shukra -e- khuda k apna haal to bus gumzada hai;
Log tarse bewashi mein jehar peene ko.
Bus teri aarzoo mein jee loonga ;
Chand sansein hi sahi kuchh to mile jeene ko.
Bichhadke tujhse huye waqt se mukhatib hum;
Kaun ginta tha warna saal chheh maheenon ko.
Teri aabaj parindon ko uda sakti hai;
per hila sakti nahi shaakh se nasheman ko.
Jismein na aaya tera aks kabhi ;
khuda bachaye aise paakdil aaine ko.
Kya aise mein use bhoolna aasan hai mastghan.
Jo jakhm kuchh de gaya hai seene ko.
( Tanha -Tanha )
Yoon to apne hi ashkon mein beh gaya hoon.
Phir bhi yaro tanha – tanha reh gaya hoon.
Ban gaya mohtaj dil unki nazer ka ;
mai fakeer -e- yaar banke reh gaya hoon.
Zindagi ki shakl mein hai ek bejaan ;
toota dil hai jann fanah mein lut gaya hoon.
Hona to wahi hai jo wo chahega ;
Mai to bus kirdar banke reh gaya hoon.
Jakhmi to dono hue baraber thay;
wo chal wasa aur mai tadapta reh gaya hoon.
Ro padata hoon bus jara si baat per;
Shayad mai thoda sa naadaan reh gaya hoon.
Ishk teri dooriyaa subhanallah ;
pas aya tauba karke reh gaya hoon.
Ek daur tha mai bhi bada khuddar tha ;
Per kya karun majboor banke reh gaya hoon.
Ye haal hai naakam hoker ishk mein;
Jaise koi maat khaker reh gaya hoon.
Hara bhi to apne dil se mastghan ;
Apne hi paase mein fansker reh gaya hoon .
( Tukde – Tukde )
Mujhko ek bar aajmate to sahi;
Wo meri bajm mein aate to sahi.
Maine rakha tha sare sham se gher ko sajaker;
Tumne rukte ek pal mager aate to sahi.
Aapki khatir aapki khusiyon ki khatir;
Khud bhi ho jata neelam batate to sahi.
Yakeena aapke hisse mein raushani hoti;
Shamme wafa dil mein ek bar jalate to sahi.
Mai bhi insan hu patther nahi kyu thukraya ?
Khud ho jata tukde tukde batate to sahi.
No comments:
Post a Comment