affiliate marketing Hindi Urdu Sher O Shayari And SMS: Aaj tak utri nahi hai uski khumaari. ................

Tuesday 10 May 2011

Aaj tak utri nahi hai uski khumaari. ................

Aansu tumhare ho aankhe meri ho, 
Dil tumhara ho dhadkan meri ho, 
Khuda kare hum dono ka pyar aisa hi ho…!! 


Tanhai me muskurana ishq hai, 
Ek baat ko sab se chuppana ishq hai, 
U to need nahi aati hai raat ko, 
U to need se jaag jana ishq hai…..!! 

Yaad Hum Bhi Aapko Karte Hai, 
Yaad Aap Bhi Hame Karte Hai, 
Fark Itna Hai Hum Yaad Ane Par Sms Karte Hai 
Aur Aap Sms Ane Par Yaad Karte Hai... 

Har pal me pyar hai, har lamhe me khushi hai, 
Kho do to yade, jee lo to zindagi ! 


Bujh chukka hai tumhare husn ka hukka, 
Wo to hum jo gudgudaye jate hai ! 

Duriyo kin a parvah kijiye, 
Jab dil pukare bula lijiye, 
Hum jyada dur nahi aap se, 
Bus apni aankho ko palko se mila lijiye! 


Hoti nahi mohabbat surat se, 
Mohabbat to dil se hoti hai, 
Surat unki khud hi pyari lagti hai, 
Kadr jinki dil me hoti hai ! 

Hum tere pyar me ye yaar waha tak pahuche, 
Jaha ye bhool gaye hum, ki kaha tak pahuche ! 

Teri muskan hamari kamjori, 
Keh na pana hamari majboori, 
Tum kyu nahi samajhte hamari khamoshi ko, 
Kya khamoshi ko juba dena jaruri hai ? 


Tumhari is ada ka kya jawab du, 
Ankho ko tumhari kya hasai khwab du, 
Koi accha sa phool hota to mali se magwata, 
Jo khud gulab hai, use kya gulab du ! 


Koi he jo duaa karata he, 
apno me hame bhi gina karta he, 
bahut khushnasib samajhte he khud ko hum, 
jab door rehkar bhi koi hame yaad kiya karta he 



Ye khuda aaj nazaro ko kuch aisa dikha de, 
Jaha dekhu bas vahi dikhai de, 
Kash aisi meharbaniya ho jaye aaj hawa me, 
Ki usko pukaru aur sirf usko sunaide…!! 


mohabbat kisi se is tarah nibha lo. 
Ki uske dil ke sare gum chura lo. 
Itna asar chhod do kisi pe chhahat ka, 
Ki upparwala bhi aakar bole mujhe apna bana Lo. 


Rulana Har Kisi Ko Aata Hai, 
Hasana Kisi Kisi Ko Aata Hai, 
Rula Ke Jo Manale Wo Sachcha Yaar Hai, 
Aur Jo Rula Ke Khud Bhi Aansu Bahaye Wo Aapka Pyaar Hai.. 

Tujko jis roz se dekha usi din se deewana hu, 
Kum se kum aajmakar to dekh, 
Main haqiqat hu ya afsana…!! 

Jawab teri shyari ke, denge hum shayari se, 
Naam tera likh baithe hai, apne dil ki diary mein…! 

Kastiya unhi ki dubti hai, jinke imaan dagmagate hai, 
Jinke dil me neki hoti hai, wo hardam jhumte gaate hai…! 


Yaado me chahe na rakho hame, 
Maan me hum bas jayege, 
Tamana ho agar milne ki to hath rakhna dil par, 
“DHADKAN” me hum mil jaye ge…! 

Wo dil hi kya jo milne ki dua na kare, 
Tujhe bhool kar jiya khuda na kare, 
Rahegi hamari dosti zindagi bhar tak, 
Ye baat aur hai ki zindagi wafa kare ya na kare 


Din me chand sitare ache nahi lagte, 
Ab duniya ke nazare acche nahi lagte, 
Koi aap ke papa mummy se kahe de, 
Ki ab aap kuware acche nahi lagte…!! 

Wo chand hai magar aap se pyaara nahi, 
Shama ke bin parwane ka gujara nahi, 
Is dil ne suni ek pyari si aawaz, 
Kahi aap ne hame pukara to nahi……! 


Aap ke aane se zindagi kitni khoobsurat hai, 
Dil me basi aap ki hi surat hai, 
Door jaana nahi hamse, 
hume har kadam par aap ki jarurat hai.! 


Wo rishta kya jisko nibhana pade, 
Wo pyar kya jisko jata na pade, 
Pyar to ek khamosh ehsas hai, 
Wo ehsaas kya jisko lafzo main batana pade! 

Ishq hi karma agar, nada tujhe manjur hai, 
Ishq kar us noor se, jis noor ka ye noor hai ! 


Mohabbat ki shama jala ke to dekho,
Zara dil ki duniya saja ke to dekho, 
Tumhe ho na jaye mohabbat to kehna, 
Zara humse nazare mila ke to dekho 

Mein tere didaar ka talabgaar hoon, 
Gujri hui baharo ka yaadgaar hoon. 

Phele 100 baar idar udar dekha, 
Jab tujhe dark e ek nazar dekha. 

Pesh kar chand sher tumko dur se karta salam, 
Pad lena is guldaste me mere dil ke sabhi pegaam. 


Asar kya hai mohbaat ka kaho to mein dekha du, 
Na aata ho iskq karna to mein tumko sikha du. 


Unhe shak hai ki hum unpe marte hai, 
Hame shak hai ki wo hum pe marte hai, 
Zindagi ke dor yuhi gujarte hai, 
Na wo kuch puchte hai, na hum kuch kehte hai….!! 

Muskurake mila karo humse, 
Kuch kaha kuch suna karo humse, 
Baat karne se hi baat badti hai janaab, 
Isliye roj baat kiya karo humse….!! 

Tumhari yaado ki mehak in hawao me hai, 
Pyar hi pyar bikhara in fizao me hai, 
Aisa na ho ki duriya dard ban jaye, 
Ab to aa jao ki intezar nigaho me hai….!! 


Hame apne dil me basaye rakhna, 
Hamari yaado ke chirag jalaye rakhna, 
Bahut lamba hai safar zindagi ka, 
Ek hissa hame bhi banaye rakhna…! 


Aankho ke ishare samajh nahi pate, 
Hotho se dil ki baat keh nahi paate, 
Apni bebasi hum kis tarah kahe, 
Koi he jiske bina hum reh nahi paate…!! 

Wo meri muskurahat par nisar ho gaye, 
Hum bhi to unke liye bekarar ho gaye, 
Humne to kar liya pyaar unse, 
Who kisi aur ka pyar ho gaye…!! 

Chand taro ka noor aap par bares, 
Har koi aap ki chahat ko tarse, 
Aap ki zindagi me aaye itni khushiya, 
Ki aap gum pane ko tarse…! 

Phele to usne sharab aakho se pila di, 
Nazare milai humne to fir usne jhuka di. 

Aai Milan ki ghadi phool khilne ki ghadi, 
Iskq ke chakkar me baccho ki fikr kisko padi. 

Dekhi na suni is kadar betabi kisi bhai me, 
Nazar aati hai to bas aati hai aashiyaani me. 


Vo nahi jab ghar per tumko kaise tharaugi, 
Raat rukege dil ke devta ruthe to kaise manaugi. 

Betaab hoon kai din se machal raha hai dil, 
De waqt is dildar ko aakar gale se mil. 

Chhat per khadi hokar ke zulfe sawarna, 
Accha nahi hai har kisi ka dil bigadana. 

Mohbbat khul ke kar ghabaraya nahi karte, 
Baho ke bandan me aake sharmaye nahi karte. 

Barsat ki raat ho aur aakho me khumari ho, 
Gungrale balo wali baho me humari ho. 

Baat karne ka kabhi mauka to dijiye, 
Samne milte hai magar ruka to kijiye. 


Dil me tumhe pane ki hasrat lagae beithe hai, 
Us dil ke intazaar me palke bichai beithe hai. 


Saturday Sunday ko tum khili si lagti ho, 
Koun kahe baccho ki maa ho abhi kuwari lagti ho. 

Lo aa gayi mein mehdi rachake dono haath, 
Ji chahe jaha le chal chalugi tere saath. 


Aadao me bijaliya nazar me suroor hai, 
Bahak gaya dil mera to kya kasoor hai. 

Khuda ne tumko hasi itna banaya na hota, 
Kasam khuda ki mera dil tum per aaya na hota. 


Kudrat ne kya khub diya hai tumko roop, 
Tere roop kea age fika lagta sab sansaar. 

Jaane anjaane me mene maang tumhari bhar di hai, 
Jeevan ki har sham meine naam tumhare kar di hai. 

Intazaar jab apni hadh se gujar jata hai, 
Kajal aakho ka bahkar bahar aata hai. 

Ek baar fir jaga de teri awaz ka jaadu, 
Kurban tum per jaan aapni hasti mita du. 


Na sharab ki botal ho tum na beer ki pyali ho, 
Karti ho ash kis bangale me us sahib ki gharwali ho. 

Har kali ka chahiye ek bhaware ka pyar, 
Tum kali ho yesi jiske lokh melege yaar. 

Kiss dekar ke aata hai kisko manana, 
Gulam banker rahta hai sara zamana. 


Ek pal ke liye baho me aakar ke sharmai, 
Jab quad se chute to pasine se nahai. 

Mohbbat yase dhadkan hai sunai nahi jati, 
Aakho me basi surat chhupai nahi jati. 


Na sawaro zulfe bikhar jane do jara, 
Hassen raat ko sawar jane do jara. 

Sawar kar aayegi vo jis din mere kareeb, 
Assma chu lege usi din se mere naseeb. 

Pagal ban jate ho kiss lene ke baad, 
Hadh se gujar jate ho is baat ke baad. 

Kiss se shuru hui thi meri aaapse yaari, 
Aaj tak utri nahi hai uski khumaari. 

Sharmake ho gayi vo tamatar ki tarha lal, 
Salha diye jab humne uske hule se gore gaal. 


Ab raaj na raha raaj tera college me jana, 
Is sahar me chal raha hai tera hi afsaana. 

Dekha karta tha jise dulhan ke roop me, 
Nazar aaj aati vahi nagin ke roop me. 

No comments:

Post a Comment