उँगलियाँ यूँ न सब पर उठाया करो खर्च करने से पहले कमाया करो ज़िन्दगी क्या है खुद ही समझ जाओगे बारिशों में पतंगें उड़ाया करो दोस्तों से मुलाक़ात के नाम पर नीम की पत्तियों को चबाया करो शाम के बाद जब तुम सहर देख लो कुछ फ़क़ीरों को खाना खिलाया करो अपने सीने में दो गज़ ज़मीं बाँधकर आसमानों का ज़र्फ़ आज़माया करो चाँद सूरज कहाँ, अपनी मंज़िल कहाँ ऐसे वैसों को मुँह मत लगाया करो
Ungliyan yun na sab par uthaya karo.. Kharch karne se pehle kamaya karo Zindagi kya hai khud hi samajh jaaoge.. Baarishon mein patange udaya karo Doston se mulaqaat ke naam par Neem ki pattiyan chabaya karo Shaam ke baad tum jab sehar dekh lo Kuch faqiron ko khana khilaya karo, Apne seene mein do gaz zameen bandh kar Aasmanon ka zarf azmaya karo Chand sooraj kahan apni manzil kahan Aise waison ko muh mat lagaya karo
Urdu Shayari..............

No comments:
Post a Comment