Tu mere naseeb mei nahi hai,
par phir bi tere laut aane ki umeed baaki hai,
pyar krke bi tjhe pyr kar na sake,
par phir bi tjhe pyr krne ki umeed baaki hai,
tmne thukra diya aaj mere pyar ko,
par tere pyar ko hum thukra na sake,
tere apnane ki umeed aaj bi is dil mein baaki hai,
ye jaan to kab ki is jism se juda ho chuki hai,
bas is jism ki ruth jaane ki umeed baaki hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mera har sher usi se mansub ho ye zaruri to nahi
Mere halaat ke zimmedar kayi aur bhi hai
Ye maante hai hume ishq ek tujhi se hai
Tere shaher me hamare sanaa khwaa kayi aur bhi hai
Saqi gar ek khafa hai humse to koi baat nahi
Es basti mein mainkhane kayi aur bhi hai
Ishq hi nahi hai rog duniya mein la-ilaaj
Yaha aise hazaro marzat kayi aur bhi hai
EK tere sabab nahi hai kaleja mera zakhmi
Es jurm mein khatakaar kayi aur bhi hai
Choti choti baato pe yu mayus hona thik nahi
Daman e ziist mein mushqilaat kayi aur bhi hai
Ek nazar es kaasah e gadaai pe bhi ho ya rab
Janti hu teri duniya mein kangaal kayi aur bhi hai
No comments:
Post a Comment