Aaj Aasman Ke Taaro Ne Muje Puch Liya…
Kya Tumhe Ab Bhi Intejar He Uske Laut Aane Ka…
Mene Muskurakar Kar Kaha…
Tum Laut Aane Ki Bat Karte Ho…
Muje To Ab Bhi Yakin Nahi Uske Jaane Ka…………..
Kaise Bhulu Un Zaalim Aankho Ko Mein..
Kar Di Hai Zindagi Meri Bezaar..
Jo Pyaar Ke Badle De Gayin Hai Bas Intezaar..
Duao ki bheed mein ek dua hamari
jis mein maangi hai humne har khushi tumhari
jab bhi aap muskuraaye dil se
samjho dua kabool hui hamari
`
Jee lete hain Koi humein agar kahe bura,
dua dekar usse honton ko hum see lete hain
Dard ho chahe kaisa,
zehar yeh chupke se hum pee lete hain
`
Apko bhul jaye wo nazar kaha se laye….
Kisi aur ko chah le woh jigar kaha se laye….
Nahi reh sakte app ke bina….
Uff bhi na nikle wo Zeher kaha se laye……..
`
Chodh diya akele humme
kisi aur ke baahon mai simatne ke liye
phir bhi pyaas agar bhoojti nahi
mere aansoon ke tailab mai zara doob ke dekhiye..
`
Tarapthe woh hain jinn ko koi ehsaas ho,
door kar ke dua karthe hain, kaash woh mere paas ho,
yeh judaai ke pal khud rothe hai tumari yaad main…
faryaad karthe hain…dard ka bi koi insaaf ho..
Youn Tou Koi Bhi Tanha Nahi Hota,
Chah Ker Kisi Se Juda Nahi Hota,
Mohabbat Ko Majborian Hei Le Dobtein Hein,
Warna Koi Khushi Se Bewafa Nahi Hota…
`
Jab laGe zakhm to Qaatil ko dua di JaYe…
Hai Yehi rasm to Yeh rasm uthaa di JaYe…
Hum se Poocho shayari kya hai, Shayari ka fun kya hai…
Chaar lafzon men koi aah chuPa di JaYe…
`
Hum gilla nahin karte….
jo na ho kismat mein vo mila nahin karte
zakhm kuch iss tarah khaaye hai dil pe humne
yeh itne gehre hai ke kabhi silla nahin karte
`
Dil tootega toh fariyaad karoge tum bhi
hum na rahe toh hamein yaad karoge tum bhi
aaj kehte ho hamare paas vaqt nahin
par ek din mere liye vaqt barbaad karoge tum bhi
`
Meri deewangi ko dekh ke muskuraate hai kyu
mein jitna paas jau utna door jate hai kyu
kuch toh vajah zaroor hogi unki berukhi ki
mujhe aise har pal sataate hai kyu…
Yaad toh har koi karega jaane ke baad
sache pyar ka pata chal jaayega vaqt aane ke baad
kaun kitni mohabbat karta hai
nazar aajayega mar jaane ke baad..
`
Har kadam pe dhoke milte rahege
par fiza me phool phir bhi khilte rahege
yeh haqeeqat hai lowg aksar badal jate hai
par phir bhi anjaano se dil milte rehte hai..!!
`
yaado main kabhi aap bhi khoye hoge
khuli aankho se kabhi aap bhi soye hoge
maana hasna hai aadat gum chupaane ki
par haste haste kabhi aap bhi roye hoge..
`
labo pe geat to aankho mei khwab rakhte the..
kabhi kitabo mei hum bhi gulaab rakhte the ..
kabhi kisi ka jo hota tha intezar humei..
bada hi sham o sehar ka hisaab rakhte the…
`
Is jahan me mohabbat kash na hoti,
To safar-e-zindagi me mithas na hoti!
Agar milti BEWAFA ko sazae maut,
To diwano ki kabre yu udas na hoti!!
Woh Nazar kahan se laun jo tumhe bhulade,
Woh dawa kahan se laun jo is Dard ko mitade,
Milna to likha hota hai Taqdiron me Par,
Woh Taqdir hi kahan se laun joh Hum Dono ko milade…
`
Manzil Bhi Kho Chuke Humsafar Bhi Nahin Raha
Meri Kisi Bhi Duaa Main Sayad Asaar Hi Nahin Raha
Jab Se Huyee Hai Dil Ko Khabar wo bichaddh raha hai mujhse
Lafzoon Ko Jodnay Ka Tabse Hunaar Bhi Nahi Raha…
`
Paane se khone ka maza aur hai…
Bandh aankhon main rone ka maza aur hai…
Aansoo bane lafz aur lafz bane shayari…
aur uss shayari main tere hone ka maza aur hai…
`
Duniya mein kisi se kabhi pyar mat karna,
Apne anmol aansoo iss tarah bekar mat karna,
Kaante to phir bhi daman tham lete hain ,
Phulon pe iss tarah kabhi aitebar mat karna..
`
Unhone dekha aur aansu gir pade,
Bhari Barsaat mein jaise phool bikhar pade,
Dukh yeh nahi ki unhone hume alvida kaha,
dukh to yeh hain ki uske baad woh khud ro pade..
Har Pal Saath Rehne Ki Kasam Khayi Hai,
Maine Har Rasm Ulfat Ki Nibhayi Hai,
Tum Daaman Bachakar Phoolon Mein Jaa Baithe Ho,
Mere Aangan Mein Sirf Tanhayi Hai.
No comments:
Post a Comment