Ashkoan ki barsaat degayee wo jaate jaate,
Aahon ki saughaat degayee wo jaate jaate.
Dil ne chaha tha bhar lenge use baahon me,
Aarzuon ki bouchhar degayee wo jaate jaate.
Badhaya jo khadam maine use chhune ke liye,
Rahao me kanten bikhair gayee wo jaate jaate.
Lada tha maine dunya se jiski khatir,
Hami par waar kargayee to jaate jaate.
Likhna chahta hu…..
Posted by nasir under Hindi Shayari
No Comments
Aaj muddat k baad kuch likhne ki chahat hui he,
kalam uthaya to lafjon k aane ki aahat hui he…..
aaj lag raha he shayad nikal pade dil k sare raj,
ab to aakhon me bhi aansuo ki muskurahat hui he……..
Gajal ki zarurat mehfil me hoti hai
Posted by Avinash Kundan under Hindi Shayari
No Comments
Gajal ki zarurat mehfil me hoti hai,
Pyar ki zarurat dil me hoti hai.
Bina dilruba ke adhuri hai zindagi,
Uss ki zarurat harpal hoti hai.
Mon 28 Feb 2011
ladkio se pyar mat karna…
Posted by shamsher khan under Hindi Shayari
Kehana bahoot tha is chhotese dilko
Par mushkil tha samajana is dhadakanko
Har baat dilme chhupake rakha karati hu
Khamosh nazaronse batayaa karati hu
Har waqt ek khamoshi bani rahati hu
Har gumko sahake kuch bhi na kahati hu
Phirbhi dhadak raha hai wo is chotese dilme
Bandh gaya hai dilse yeh ek atoot rishte me.
———
Ik aisi ladki mil jaye kahin
jo dikhne main ho itni haseen
chehra uska ho khila khila
jaise chand mujh ko ho mila
ladki wo sub se alag ho
mere sapnoon ki wo pari ho
juldi se khatam ho jaye meri talash
ab to bus yehi khuaish hai ke k
ladkian to bari deekhin hain magar
rukti nahi kisi pe ye nazar
lagta to nahi ke mile gi bhi kabhi
magroor to hain ye mashoor sabhi
jo ladki mere khuwabon main aati hai
saar saari raat mujhe jagati hai
tubhi to subha kaam se der hoti hai
boss ki bhi phir dant sunni parti hai
Bus ab to nahi hota mujh se intizaar
jo hai hi nahi kyon rahoon uske liye beqaraar
yehi keh ke dil ko tasalli deta hoon
magar phir bhi najane kyon udaas hoon
lagta hai koi jadoo kar gaya hai mujh par
warna ladkian to pehle bhi marti theen hum par
theek hai kal pehli ladki ko pataon ga
hota hai jo ho jai le ke bhaag jaon ga
maine ek bedaag chand dekha hai jameen per,
shayad wo parchayee thi mere mehboob ki jameen per.
————
Pyar Tera Dil Se Juda Ho Na Saka…
Posted by Rahul under Hindi Shayari
[2] Comments
Mere Mehboob Tu To Sath Mera Chod Diya …
Han Magar Pyar Mere Dil Se Juda Ho Na Saka…
Yaad Aate Hain Mujhe Bite Huwe Wo Lamhey..
Jo Tere Sath Hanste Huwe Bitey They Kabhi…
Raz Har Ek Pe Apni Muhabbat Ka Aya…
Mujhko Farhad Kaha Tha Tujhko Shree Ye Jahan…
Peyar Ki Rah Men Ek Mod Yahan Aisa Mila…
Hum Safar Sath Jahan Tera Mera Choot Gaya…
Mere Mehboob Tu To Sath Mera Chod Diya…
Han Magar Pyar Mere Dil Se Juda Ho Na Saka
Meri Khushi Ke liye bus…….
Posted by Rahul under Hindi Shayari
[2] Comments
Hey Hi Hello……
kabi kuch pal meri khushi ke liye v gujaro,
ho sake to kisi ache se ladke se shadi kar dalo,
tumari shadi se muje bahut sakun pahunche ga,
tum khush raho gi to muje kuch chain mile ga
itne time se sath dene ka shukariya, bye bye……..
Wed 18 Aug 2010
Rishta nibhana sikhaya aapne…
Posted by Rahul under Hindi Shayari
[6] Comments
Dil ko Dil se Churaya aapne…..
Door hote hue bhi rishta nibhaya aapne….
Kabhi Bhool nahi payenge hum aapko……
kyoki yaad rakhna hi sikhaya aapne…
Tumko jaante nahi, per chahate hain hum…
Posted by Rahul under Hindi Shayari
[18] Comments
Tumko jaante nahi, per chahate hain hum
Din bhar khojte nahi, per sochte hain hum
Tumhare dil mein rehte nahi, per tumhare hain hum
Tumko shayad paayenge nahi, per apnayen ge hum
Jeevan main shayad kabhi mil na paao,bas bichar jaao ge tum
Shayad humare na ban paao, per muskurao ge tum
Raat andheri hogi, phir-bhi jhilmilaoge tum
Humein aur koi nahi, bas yaad aao ge tum…
Chandni raat hai ….!
lagi zor se joolab hai..!
Ek haath main lotha..!
Aur doosre haath main misses chadda ka diya hua gulab hai…
Jab pyar kia to darna kya hai..!
mohabbat ke samne yeh zamana kya hai..!
zamane ke samne se lejaenge tumhe…!
Ek baar jo mar gaya pyar main to phir maut se darna kya hai..
chandni raat sahil ko diwana bana deti hai…!
shamma parwane ko jala deti hai..!
Ishaq aisi chiiz hai………….!
jo achcho achcho ko roola deti hai…
Mohabbat dil ka sukoon hai..!
shahjahan ka diya hua junoon hai…!
jis din mohabbat bhadak gaya….!
samjhlo yaaro kyamat coming soon hai…..
Ladkio se pyar mat karna …..!
QK…!
Ati hai heer ki tarah..!
Lagti hai kheer ki tarah..!
Chubti hai teer ki tarah…!
Bheek mangwati hai fakeer ki tarah….
Ye rozroz ke bahane ache nahi lagte..!
chehre aap ab bachche nahi lagte…!
khuda kare is saal nikale barat aapki …!
kyunki ab aap kunware ache nahi lagte..
Dost to ruksat ho hi jate hai..!
par kuch yaadon ke dayre ban jate hai..!
bhool jana to insaan ki fitrat hai..!
dekhte hai aap humain kab tak yaad rakh pate hai…
phool nahi hum kanto main baste hai..!
khushi nahi hum gum main bhi haste hai..!
shayari karna aasan nahi dost ….!
dard dil main hota hai ……!
tab shayari bante hai…….
pehle bahon main lena ….!
phir seene se lagana….!
phir mithimithi batein karna…!
phir khoob kiss karna……!
phir bistar par letana …..!
uff kitna mushkil hai bachcho ko sulaana…..
tumse mila main kal to…!
mere dil main hua ek sound…!
lekin aaj tum mili to kehta hoon….!
your file not found….
Short Hindi Shayari
Posted by shamsher khan under Hindi Shayari
No Comments
Mujhe to apno ne loota ..!
gairo main kaha dum tha …!
apni kashti wahi doobi …!
jaha pyar karne walo ka hujoom tha..!
Zindagi Dene Vale Marta Chod Gaye
Apnapan Jatane Vale Tanha Chod Gaye
Jab Padi Jarurat Hume Apne Humsafar Ki
Vo Jo Saath Chalne Vale Apna Rasta Mod Gaye…
`
Zindagi Ka Safar Toh Ek Haseen Safar Hai
Her Kisii Ko Kisii Na Kisii Ki Talash Hai
Kisii Ke Pass Manzil Hai Toh Raah Nahi
Aur Kisii Ke Pass Rah Hai Toh Manzil Nahi…
`
Vishwas Banke Log Zindagi Main Aatey Hai
Khwab Banke Aankhon Main Samaa Jaatey Hai
Pehle Yakeen Dilate Hai Ki Woh Hamare Hai
Phir Na Jaane Kyu Badal Jaatey Hai…
`
Zindagi Hai Nadan Isiliye Chup Hoon,
Hoth Keh Nahi Sakte Jo Fasana Dil Ka,
Shayad Nazron Se Vo Baat Ho Jaye,
Is Ummid Se Karte Hain Intezar Raat Ka,
Ke Shayad Sapne Me Mullakat Ho Jaye…
`
Jindagi Kisi Ki Amanat Nahi Hoti,
Amanat Main Kabhi Kayamat Nahi Hoti,
Dil Ko Sambhal Kar Rakhna,
Meri Dosti Ki Kaid Main Jamanat Nahi Hoti.
`
Dil Chahta Hai Tumse Pyari si Baat Ho,
Khamosh Taraane Hon, Lambi si Raat Ho,
Fir Unse Raat Bhar Yahi Meri Baat Ho,
Tum Meri Jindgi Ho,Tum Hi Meri Kaynaat Ho.
`
Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai.
Is Jahan Mein Kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai.
Guzar Rahi Hai Zindagi Imtehan Ke Daur Se.
Ek Khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai…
Teri aankh mein jo nami si chai hai wo mere dur hone ki gavahi hai yaad itna na kiya karo mujhe hichki le le kar meri jaan pe ban ati hai…
`
Laut Jati Hai duniya gam hamara dekhakar,
jaise Laut jati hai lehren kinara dekhkar,
tu kandha na dena mere janaze ko,
kahi fir Zinda na ho Jau tera sahara dekhkar..
`
Mangi thi duaa aasiyane ki, chal padi aandhiya jamaneki.
Aapka gam to koi samajh na saka, Kyonki aapki aadat hai gamo me bhi muskurane ki …
`
Apani Apani Shakh Hai,
Apane Apane NeeD,
Na Jaane Phir Kisliye,
Bhaag Rahi Hai BheeD.
`
Aub ham kisi ki mohhabat nahi , sirf matam kharida karte hai, aub hum kisi se pyar nahi sirf muhabat mitane ka hi souda karte hai…
`
SItamgar kasme hota to, tuje apne gum ki asuo me dobaye rhata, me kisi aur ki majhab par na pahuch kar teri hi yad me koya rhata. ..
`
Lahar kitni machli, kinaro se puchiye. Rut kiti dhali, sitaro se puchiye. kya batayegi dagar , kya batayege barati, dulhan kitni siski kaharo se puchiye…
Usne kaha…..
Ye ishq nahi aasa, Itna to samajh lejiye…
Ek Aag ka dariya hai, aur doob ke jaana hai ….
Maine kaha…
masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana hai..
kagaj ki haveli hai, baarish ka zamaana hai..
kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamana hai..
awaz bhi jakhmi hai aur wo geet bhi gana hai..
uss per utrne ki umeed bahut kam hai..
kashti bhi puraani hai, tufaan bhi aana hai..
samajhe ya na samjhe wo andaaz-e-mohabbat ka..
bheegi hui ankho se ek sher sunaana hai..
bholi si ada, koi fir ishq ki jid par hai..
fir aag ka dariya hai.. aur doob hi jana hai …
As the name of the thread sez it all……
Lets see Kisme Hai Kitna Dum !!!!!!
Ek dusare par shayari ke bomb faikne ka dekhte hein ke kaun jetta hai….
Meri aur uski aankhen
kitni milti julti hain
ek jaisi rangat wali hain
farq hai to bas itna sa
meri aankhon mai rang hai uska
uski aankhen khali hain….
Bolaa dukaan-daar, ke kyaa chahiye tumhain
Jo bhii kaho ge merii dukaan per wo paoge
Maine kahaa ke kutte ke khaane kaa cake hai
Bolaa yahiin pe khaaoge yaa leke jaaoge
`
Kuch pal hote hain kuch pal k liye
ji le inhe har pal k liye
Ye waqt to ret ki tarah fissal jayega
de jayega yaade umar bhar k liye.
`
Khuda se Scooter manga.. Car di;
Apartment manga.. bangla diya;
dost manga to tumhain diya..
Khuda ne is bar aisa zulm kyoun kia
`
Ladka: Kaash in hasinaaon kay baap mar jayen’
bahaana gam kaa hota
hum inke ghar to aate
aai murkh tere liye yeh bolna bhi paap hoga.
… kisi din tu bhi kisi haseena kaa baap hoga !
`
Meeting you was fate, becoming your friend was choice,
but falling in love with you was completely out of my control.
`
Chaand ko garoor hai
ki uske pass noor hai to kya hua
Mujhe bhi garoor hai
ki mera dost Langoor hai
`
Suna hai Yaad may hamari,
kisi ko loose motion lag gaye hain….?
Chalo Hain to ye bhi aansu,
bas zara rasta bhatak gaye hain….
`
Shiyari Se Tujhe Koi Kam Nai,
Tu Qatal B Karde Tu Tujh Pe Elzam Nai
Kabhi Tu Ayega Tu Mere Ghar Dawat Khane
Palang Pe Lita K Na Choda Tu Mera Naam Nai.
`
Shraab dard ki dawa hai
Peene se koi khraabi nahi
Dil ke dard se peete hain
Waise hum Shraabi nahi…
`
Ladki: Chandni chand se hoti hai, sitaron se nahi
Mohabaat ek se hoti hai, hazaron se nahi
Ladka: Chandni chand se hogi to sitaron ka kya hoga
Mohabbat ek se hogi to hazaron ka kya hoga…
Ek Mohabbat Hai Badgumaan Hona
Ek Haqeeqat Hai Daastan Hona
Ek Takkalum Hai Bezubaan Hona
Ek Doori Hai Raazdaan Hona
Aankh Kashti Hai Waqt Paani Hai
Dil Pe Likha Hai Baadbaan Hona
Mere Soochein Jala Kar Rakh Dega
Teri Yaadoun Ka Saaiyebaan Hona
Ek Mohabbat Tera Samar Dena
Ek Tabahi Tera Kamaan Hona
Tu Jo Aaye Toh Mohabbat Banti Hai
Warna Umroun Ka Rayegaan Hona
Ruby Hoti Hain Aisi Baatein Bhi
Jinka Mumkin Nahi Bayan Hona
Intezar Koun kare…
Ishq Ka intezar Koun kare
Toot kar itna Pyaar Koun kare
Ruthe Aise Me Ke Hum Bhi
Minnatein Ab Hazar Koun Kare
Niyamatein Beshumaar Hain Usski
Zoq-E-Sajda Shumaar Koun Kare
Dil Bhi Janat Hai Apni Duniya Me
Hashr Ka intezar Koun Kare
Pyaar Ki Aag Me Hain Parwane
Aisi Takleef Yaar Koun Kare
Faqeer Bhi Shahinsha Hai Duniya Ka
Raham Ab iqtiyar koun kare
Thanks Best Regards
Written By : Mrs Rubina Yasmeen
Chashm Hairat Pe koi Darr Nahi Khulne Deta
Aankh Khul Jaye Toh Manzar Nahi Khulne Deta
Ek kwahish Mujhe Pasti Se Uthati Hai Magar
Ek Dar Hai Jo Mere Par Nahi Khulne Deta
Hath ki Saari Lakeerein Hain Jazeeroun Se Bhari
Aur Jazeeroun Ko Samander Nahi Khulne Deta
Taa Naa Khul Jaye Koi Nuqs Pass-E-Naqshgiri
Aaiyena Aks Ke Ander Nahi Khulne Deta
Koun Jaane Kise Maloom Haqeeqat Kya Hai
Bhed Apna Woh Kisi Par Nahi Khulne Deta
Ghair Leta Hai Muheet-E-Gham Laahasil Me
Phir Koi Raasta Bahar Nahi Khulne Deta
Phair Deta Hai Kabhi Mouj-Balaa Qaiz ka Ruqq
Aur Kabhi Aag Ka Johar Nahi Khulne Deta
Dekh Par Qaak Nasheenoun Ke Khudaiye Dawe
Tu Agar Daftar-E-Mehshar Nahi Khulne Deta
Pal pal tum yaad aate ho
Pal pal mujhe tadpa te ho
Pal pal mein jeeti hou
Lekin har pal, jeeker bhi marti hou
Tumhare bina taanhai ko raasta mila
Har muskaan is pe guzar kar chala gya
Subah ho shaam, sirf ek saval pooch te hou
Tumhare bina, mein kyou zinda ra hou
Chalte Chalte, khuda ke kasam
De ke pyaar ka vaasta, na juda honge hum
Is duniya mein tho nahi rahe hum sanam
Isi liye jab hum milenge
saath lenge dubara janam
Main Aisa Kyon Hun.?
Posted by Rahul under Hindi Shayari
[3] Comments
Kyon khush ho jata hun main
tumhari khushi dekhke
kyon ho jaata hun main hataash
tumhein udaas dekhke
chahak sa uthta hun main kyon
jab milne ki baari aati hain
par kyon milne baad ghanto
neend nahi aati hain
aankhein band karne se kyon
yaad tumhari aati hain
par jab khulti hain toh
kyon phir tu samne aati hain
aanso tere tapakte hain
to main kyon sisakta hun
jara si tu hasti hain
toh main kyon nikharta hun
jab bhi dekhta hun tumhe
bas yeh sochta hun
pucho tumse ya tumse kahun
rakhun dil mein ye baat ya keh dun
sun jara bas itna bata
Main aisa kyon hun
Main aisa kyon hun…
Unhi Ko Nighae Dhoond Rahi Hai…
Posted by Rahul under Hindi Shayari
[4] Comments
Unhi ko dhoond rahi hai nigha- e -shouk meri,
jo ban ke ajnabi mehfil mein aaye baithe hai
nighaein neeche kiye sir jhukaye baithe hai,
yehi tou hai jo mera dil churaye baithe hai,
jo raaj chhup nahi sakta churaye baithe hai,
bade hasin tassavvur mein kho gayi hoon main,
ki jaise woh mere pehlu mein aaye baithe hai….
Bikhre armanoka sametna hai shayeri,
ya fasanoka bayan karna hai shayeri..
Kuch alfazonka mukaddar hai shayeri,
ya izhar mohobbat ka mukam hai shayeri..
Sabdon ko dhago mein pirona hai shayeri,
ya kore kagaz per bhavna sajana hai shayeri…
Alfazonse saji ek sundar murat hai shayeri,
ya jasbaton ko benakab karna hai shayeri…
Bepanah pyaar dikhana hai shayeri,
ya lage zakhomo ka marahum hai shayeri..
Jalti shama ke saath mehfil roshan karna hai shayeri,
ya shayronki ek pehchan hai shayeri.
Jeena Sikha Diya Aaapne…
Posted by Rahul under Hindi Shayari
[26] Comments
Aankhein Khuli Hoh Toh Chehra Aapka Hoh,
Aankhein Bandh Hoh Toh Sapnaa Aapka Hoh,
Humey Maut Ka Na Darr Na Khauff Hoga,
Agar Kafan Ki Jagah Dupatta Aapka Hoh.
Pyaara Sa Ek Ehsaas Hain Aap,
Harr Pal Humhare Paas Hain Aap,
Jiney Ki Ek Aas Hain Aap,
Mann Ka Ek Vishwaas Hain Aap,
Shayad Ish Liye Kuch Khaas Hain Aap.
Humhara Harr Lamha Churaa Liya Aap ney,
Aankhon Koh Ek Chaand Dikha Diya Aap ney,
Humey Zindagii Toh Dii Kissi Aur ney,
Par Itna De Kar Jeena Sikha Diya Aap ney.
Usko chaha to bahut magar wo mila hi nahi
Lakh koshish ki magar faasla mita hi nahi
Usko zamane ne majboor is qadar kar diya
Ke meri kisi sada pe wo ruka hi nahi
Khuda se jholi phaila ke maanga tha usay
Khuda ne meri kisi dua ko suna hi nahi
Har aik se poocha sabab uske na milne ka
Har aik ne bataya ke wo mere liye bana hi nahi
Main tamaam umar ki koshish ke bawjood nakaam ho gaya
Aur wo usko mil gaya jis ne usay kabhi maanga hi nahi
Itni shiddat se chaha magar tu kisi aur ka ho gaya
Shayad is jahan mai wafa ka koi sila hi nahi….
Mere Wajood Ki Jageer Ussne Mangi Hai
Ajab Khawab Ki Tabeer Ussne Mangi Hai
Usski Qaid Me Rehti Hoon Mein Pehle Bhi
Naa Jaane Phir Kyun Zanjeer Uss Ne Mangi Hai
Guman Hota Hai Woh Bhool Sakta Hai Mujhe
Kyunke Aaj Meri Tasveer Ussne Mangi Hai
Mere Khuda Mujhe Usske Naseeb Me Likh De
Ke Mujh Se Meri Hi Taqdeer Ussne Mangi Hai.
Chalo Yeh Maan Liya Ke Aankh Meri Namm Nahi
Gumaan Naa Kar Ke Mere Dil Me Koi Gham Nahi
Ussi Ko Khouf Hai Ki Manzilein Kathin Hai Bohut
Wafaa Ki Rah Pe Mera Jo Humqadam Bhi Nahi
Tumhe Guroor Hai Apni Sitamgiri Pe Agar
Aaye Dost Hounsla Jeene Ka Mujh Me Bhi Kamm Nahi
Suroor-E-Dil Bhi Wahi Hai Aziz-E-Jaan Bhi Wahi Hai
ke Darr-E-Zeesat Pe Ek Naam Jo Raqm Bhi Nahi
Ilm Jo Haq Ka Uthaya Hua Hai Mein Ne Abhi
Bahaal Saans Hai, Bazoo Mere Qalam Bhi Nahi
Hazar Gham Hain Magar Phir Jo Salamat Hoon
Toh Kis Tarah Se Keh Doun Tera Karam Bhi Nahi
1) Barson baad aapse baat hui,
Dil phir ek baar kamzor ho gaya,
Acha bhala akele jee raha the hum,
Aaj phir akele pan ka ehsaas dila diya…
2) Tum ruth jao, hum mana lenge
Tum chale jao, hum bula lenge
Tum inkaar karo, hum phir bhi ikraar karenge
Tum keh do ek baar, jaan bhi de denge…
3) Tumse pyaar kyon hai itna,ki
Koi aur nazar hi nahi aata
Chodkar nahi jaana hamein
Yeh dil to waise hi kacha hai…
Shayar: Unknown
Presented by Palak Banksali
Meri saanso se tum shikva karte ho …
chup chup k chahat ka sauda karte ho …
Tum hi socho ye kesi Majbori hai …
Mujh me reh ker mujh se hi parda karte ho !!
Fri 28 May 2010
Haatho ki in chand lakiro main…
Posted by Rahul under Hindi Shayari
[3] Comments
Hi all,
Jo guzar gaye un lamho main
Jo saath hain un yaado main
Yeh kya dundhata hu
Haatho ki in chand lakiro main
Jo kal raath dekha tha us sapne main
Har aane waale kal main
Apni kismat ko dundhata hu
Haatho ki in chand lakiro main
Jo bichad gaye un logon main
Har anjaan se chehre main
Ek Dost dundhata hu
Haatho ki in chand lakiro main
Jo dekha hai sirf khwaabo main
Chaha hai jisko dil-hi-dil main
Humsafar wohi dundhata hu
Haatho ki in chand lakiro main
Dhoti ne kaha pajaame se ham dono bane hai dhaage se,
Fark hai to sirf itna hai kee
Main khulta hu peeche se aur
Tum khulate ho aage se.
*****************************
Kehte to tum theek magar ab raha nahi jata,
Ye dard dooriyo ka ab saha nahi jata.
*****************************
Mit gayi jab hasrato ki duniya,
Tab kahi jaakar unhe mera khyaal aaya,
Lut raha tha mera ghar jab uske saamne,
Tab bhi unhe jara bhi malaal na aaya.
*****************************
Tere bagair jindagi achi lagti nahi,
Koi khushi ab sacchi lagti nahi,
Mat pooch mujhase tu judaai ka aalaam,
Tere bagair chaandni bhi bhali lagti nahi.
*****************************
Na jeene ki khushi hai mujhko, na marne ka hoga gam,
Bas teri yaad aane par, ho jaate hai aankhen nam,
Jamaane ki koi bhi khushi mujhe achi nahi lagti,
Ho gaya hai yaaro mera bewafa sanam.
*****************************
Auro ko dikhaane ke liye hasta hu main,
Gam ko bhoolane ke liye hasta hu main,
Mere hasne ki hakeekat ko kya samajhogi,
Khud ko bhoolane ke liye hasta hu main.
*****************************
Mohabbat karta hu yakeen hai mere khuda par,
Hardam labo par dua aur tera naam jubaan par.
*****************************
Aarju ab jeene ki jyada nahi hai,
Magar marne ka ab bhi koi irada nahi hai,
Kya tumko yaad dilaau tumhaari kasme,
Jab yaad tumko apna koi wada nahi hai.
*****************************
Dil mera har pal tere liye chalta hai,
Tujhe chumne ke khyaal se dhadhakta hai.
*****************************
Khwaab aankhon se gire aansu me dhal kar,
Dam armaano ne toda dam machal-machal kar,
Meri kismat me judaai likhi thi,
Warna har kadam rakha tha sambhaal-sambhaal kar.
*****************************
Mujhe bahut yaad aata hai wo gujra jamana,
Unka dekhna, muskurana aur daud kar lipat jana.
*****************************
Tere pyaar me hamne saara jag thukraya hai,
Phir bhi toone kadam-kadam par sataya hai,
Tu apne kasme waado se mukar gayi bewafa,
Teri isi berookhi ne hi ye shehar chudaya hai.
*****************************
Jindagi mohtaaj nahi manjilo kee,
Waqt har manjil dikha deta hai,
Marta nahi koi kisi se juda hokar,
Waqt sabko jeena sikha deta hai
.
*****************************
Dost wo nahi jo mushkil me kaam aaye,
Dost wo hai jiske saath rehte mushkil hi na aaye.
*****************************
Ab kya kahu tumse, agar kuch kehna hai to,
Sirf itna ki maine pyaar kiya hai,
Ab raha nahi jata ki keh do na,
Tumhe bhi mujhse pyaar hai.
*****************************
Dil toot gaya to ab kya intajaar karu,
Tu hi bata ki tujhe aur kitna pyaar karu.
*****************************
Kitne hi khwaab saze hai abhi palko par,
Tum agar kareeb aao to sab poore ho jaaye.
*****************************
Mujhase juda ho gayi tumhaari aankhen,
Jinhe main poojhta tha badi pyaari aankhe,
Meri khushiya basi thi unme,
Choomta bahut tha main tumhaari kunwaari aankhen.
*****************************
Teri deewaangi ne bada ye kaam kiya,
Duniya bhar me mashhoor mera naam kiya.
*****************************
Wo aaina tha chamakta hi raha,
Main chiraag tha bas jalta hi raha,
Wo phool tha aur main kaanta ek,
Wo mehakta hi raha aur main chubta hi raha.
*****************************
Mohabbat me marna kaam na aaya,
Dil aur jaan bhi di phir bhi aaraam na aaya,
Har shakhs tha mere saath,
Par ek uska hi paigaam na aaya.
*****************************
Wo mausam wo bahaar bhi, uske saamne kam thi,
Uske saath gujra wo wakt wo fija bhi nam thi,
Par kya kare ae jaalim ham ye bhool hi gaye,
Apne haatho me wo mohabbat ki lakeere hi kam thi.
*****************************
Agar tapakta aansu ki jagah lahu aankhon se,
To koi kisi ko shaayad hi roolata,
Agar dil ke tootne ki aawaaj hoti,
To tumhe hamaare dard ka andaaj ho pata,
Apni dosti ko mausam se bachkar rakhna,
Ki khushbu aati nahi phool me sookh jaane ke baad.
*****************************
Dam todti aaraju tujhe de rahi hai badadua,
Tujhe manjil na mile mujhako mitakar.
*****************************
Kuch mat pooch kitna tujhase pyaar karta hu,
Har raat teri yaad me aankhon me aansu bharta hu,
Tum bewafa thi jo pyaar se daaman bacha baithi,
Main bewafa hu isaliye tujhe pyaar karta hu.
*****************************
Naam roshan ho gaya deewaano me tera-mera,
Kuch itane charche shehar me hamaare pyaar ke huye.
*****************************
Thak gaye aankhen aur kitna intajaar karu,
Tu hi bata dil ko aur kitna bekaraar karu?
Na tum khud hi aaye aur na khat hi bheja,
Tere waado par ab aur kitna main aitbaar karu…?
*****************************
Na bhoola paya hu,
Na bhoola sakuga kabhi,
Apne dil se tera naam na mita sakuga kabhi.
*****************************
No comments:
Post a Comment