affiliate marketing Hindi Urdu Sher O Shayari And SMS

Sunday 17 July 2011

Sar se chaadar badan se kaba le gayee,

Sar se chaadar badan se kaba le gayee,
zindagi hum fakiron se kya le gayee?


Mukesh Rajpoot Ham fakiro k jholi pe duniya ka nishaana h
Kabhi aashik kabhi majnoo har koi mera diwana h
Mei rehta ho khuda k ot me hardam
Magar mera khuda kusi aur ka diwana h

Kisi Ko Ghar Mila Hisse Mein Ya Koi Dukaan Aayee,
Main Sab Se CHOTA Tha Ghar Mein Mere Hisse Mein Maa Aayee.


Aiyaari,makkari,chaaplusi Nahi Laate,
Hum Apne Fan Mein Rang Darbari Nahi Laate.

Mukesh Rajpoot Meri ada me sab dosh the par use pasand aaye
Phool diye use bahar ne use kante pasand aaye
Maine chadhaya ashaq khuda k jholi me par khuda ko sailab e lahu pasand aaye



Aankhon Mein Koi Khawaab Sunhera Nahi Aata,
Ab Is Jheel Par Koi Parinda Nahi Aata,
Barson Se Tamannayen Saji Baithi Hai Dil Mein,
Is Ghar Mein Bade Loogon Ka Rishta Nahi Aata.
Haalaat Ne Chehre Ki Chamak Cheen Li Warna,
Do Chaar Baras Main Toh Budhapaa Nahi Aata.


Hum Dard ke Maron ka Itna Hi Fasana Hai.
Peene ko Sharab-e-Gham, Dil Gham ka Nishana Hai

Dil Ek Khilona Hai, Taqdeer ke Haatho mein
Marne ki Tamanna Hai, Jeene ka Bahana Hai

Sab ke kehne se irada nahi badla jaata,
Har saheli se dupatta nahi badla jaata.

Hum ke shayar hai sihyasat nahi aati humko
Humse muh dekh ke lehza hai badla jaata.
...
Hum fakiron ko fakiri ka nasha rehta hai,
Warna kya sheher mein shajra nahi badla jata..?

Aisa lagta hai ke woh Bhool gaya hai humko,
Ab kabhi khidki ka parda nahi badla jaata.

Jab rulaya hai to hasne pe na majboor karo,
Roz bimar ka nuskha nahi badla jaata.

Ghum se fursat hi kahan hai ke tujhe yaad karoon,
Itni laashen hai to kadhan nahi badla jaata.

Umrr ek talkh haqiqat hai doston phir bhi.
Jitne tum Badle ho Utna nahi badla jaata..



Teri aagosh me roya sab gile sunaaye tujhe
Tujhe gairo se fursat na mili aur mai rota hi gaya
Koi nahi jise teri khaatir manaya nahi maine
Mera khuda khud mujhse naraz ho gaya

Kabhi Khushi Se Khushi Ki Taraf Nahi Dekha,
Tumhare Baad Phir Kisi Ki Taraf Nahi Dekha.
Yeh Soch Kar Ke Tera Intizaar Laazim Hai
Tamam Umr Ghadi Ki Taraf Nahi Dekha.


deewana be khudi main bari baat kah gya
ik hashr ki ghari ko mulaqaat kah gya
pahla tarb shanas bara sung dil tha dost
cheekhain thin jin ko jhoom kar naghmaat kah gya

Mujhe khabar hai wohi ek baat likh doonga
Tumhare husn ko char chaand likh doonga

Tumhari aankhein jo sharma kar kahengi mujh se
Tumhare honthon pe wo dil ki baat likh doonga

Tumhe baitha ke apni aankhon ke saamne jaana
Nikalte chaand ki kismat mein maat likh doonga...!!!

Tera naam kya tha kisi ko kuch nahi pata
Mere liye to kayamat tha jo meri zindgi ujaad gayi
Jaha tere ashq gire waha mera lahu gira
Lekin tu aansu chhupa kar mukar gayi

Kabhi Khushi Se Khushi Ki Taraf Nahi Dekha,
Tumhare Baad Phir Kisi Ki Taraf Nahi Dekha.
Yeh Soch Kar Ke Tera Intezaar Laazim Hai
Tamam Umr Ghadi Ki Taraf Nahi Dekha...!!!

Mukesh Rajpoot Mere dard mujhko aise bhi satate h
Ye khud bhi rote h mujhko bhi rulate h
Aahat pe kisi ki ye mujhko jagate 
Na khud sambhalte hame bhi behkate h

No comments:

Post a Comment