affiliate marketing Hindi Urdu Sher O Shayari And SMS: Main Sahraa Mein Sadaayein De Rahaa Hoon

Sunday 17 July 2011

Main Sahraa Mein Sadaayein De Rahaa Hoon

Main Sahraa Mein Sadaayein De Rahaa Hoon;
Meraa Bhi Hamnawaa Koi Nahin Hai

Qutubkhaanon Mein Ab Rakh Do Humein Bhi ;
Humein Bhi Dekhtaa Koi Nahin Hai

Sabhi Ke Dam Ghute Jaate Hain Lekin;
Khidkiyaan Kholtaa Koi Nahin Hai


terii tasviir se karataa thaa baaten
mere ghar me aainaa nahi thaa 


Socha Nahin Achhaa Bura Dekha Suna Kuchh Bhi Nahin 
Manga Khuda Se Raat Din Tere Siva Kuchh Bhi Nahin 

Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaha Tujhe Puja Tujhe 
Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuchh Bhi Nahin 

Jis Par Hamari Aankh Ne Moti Bichhaaye Raat Bhar 
Bheja Wahi Kagaz Use Hamane Likha Kuchh Bhi Nahin 

Ik Shaam Ki Dahaliz Par Baithe Rahe Wo Der Tak 
Aankhon Se Ki Baten Bahut Munh Se Kaha Kuchh Bhi Nahin 

Do Chaar Din Ki Baat Hai Dil Khaak Me So Jayega 
Jab Aag Par Kagaz Rakhaa Baki Bacha Kuchh Bhi Nahin 

Ahasas Ki Khushbu Kahan, Aavaz Ke Juganu Kahan 
Khaamosh Yadon Ke Siva, Ghar Me Raha Kuchh Bhi Nahin


Hum To Dushman Ko Bhi Pakeezah Saza Daitay Hain..
Hath Uthaatay Nahin, Naziroon Say Gira Daitay Hain!


Meri TabahiyOn Mein Tera Haath Hai Magar
Main Sab Se Keh Raha Hun Muqadar Ki Baat Hai…!!!

Dekhi ha berukhi ki aaj hum ne inteha Mohsin
Hum pe nazar padi to wo mahfil se uth gaye...!!!

Humae to apni aawargi ne aawara bana choda,
Mohabbat ki to thi lekin, mohabbat ne hi dil toda,

Unhe aawaz di humne, bohat faryaad ki humne,
Woh badhte hi gaye aage, palat ke mu nahin moda,

Kabhi Yaad Aaye To Puchna
Zara Apni Khalwat-E-Sham Say

Kisey Ishq Hai Teri Zaat Say
Kisay Pyar Hai Tery Naam Say
...
Wo Jo Ji Uthaa Tery Naam Say
Wo Jo Maar Mita Tery Naam Pay

Na Kabhi Visaal Ki Chah Ki
Na Kabhi Firaaq Main Aah Ki

Ke Mera Tareeqa-E-Bandagi
Hai Juda Tareeqa-E-Aam Say

Aaj ki raat bhi mumkin hai mein so na sakon
Yaad phir aaye hain neendon ko uranay walay.........

Mana ke usay thi na koi parwah teri, aye mere dil,
Par aisa bhi nahin kay us ke bina tu dhadakne na paye ga,

Bara naaz tha un ko apne parde pe Faraz…
Kal raat woh khawab me sar-e-aam chale aaye.

shaaKheN rahiiN to phool bhii, patte bhii aayeNge
ye din agar bure haiN to achchhe bhii aayeNge

Mujhe Apnay Badan Ki Khusbhu Se Masroor Kardo,
Mujhe Apni Nazuk Bahon Mein Mehsoor Kardo,
Seenay Se Laga K Saaray Gham Door Kardo,
Main Tumse juda Na Ho Paon Itna Majboor Kardo,
Surkh Honton Se Pilao Ya In Mast Ankhon Se,
Main Tere Jism Se Lipta Rahun Itna Choor Kardo,
Leke Bahon Mein Tujhe Honton Se Itna Choom Lon,
Faslay Sharam-o-Haya K Tum Bhi Door Kardo,
Meri Nas Nas Mein Bas Jaye JAAN Pyaar Tera,
Main Kissi Or Ko Na Dekhun Itna Maghroor Kardo….!!!!

Teri Hasti Se Teri Zaat Se Khushbu Aaye
Tu Jo Boly To Teri Bat Se Khushbu Aaye ,
TujhKo Dekhon To Meri Aankh Mehak Si Jaye ,
TujhKo Sochon To Khyalaat Se Khushbu Aaye ,
Tu Chambeli Hy’ Nargis Hy K ! Raat Ki Rani ,
TujhKo Chuu Lon To Mere Hath Se Khushbu Aaye

Khat me Mere hi khat ke tukre the . . .
Aur Mujhe lga, Mere khat ka jawab aaya hai…

Kabhi To Aasman Se Chand Utare Jaam Ho Jaye 
Tumhare Naam Ki Ik Khubasurat Shaam Ho Jaye 

Hamara Dil Savere Ka Sunahara Jaam Ho Jaye 
Charagon Ki Tarah Aankhen Jalen Jab Shaam Ho Jaye 

Ajab Haalaat The Yun Dil Ka Sauda Ho Gaya Aakhir 
Mohabbat Ki Haveli Jis Tarah Nilam Ho Jaye 

Samandar Ke Safar Me Is Tarah Aavaz Do Hamako 
Havayen Tez Ho Aur Kashtiyon Me Shaam Ho Jaye 

Main Khud Bhi Ehatiyatan Us Gali Se Kam Guzarata Hun 
Koi Masum Kyon Mere Liye Badanam Ho Jaye 

Mujhe Malum Hai Us Ka Thikana Phir Kahan Hoga 
Parinda Aasman Chhune Me Jab Naqam Ho Jaye 

Ujale Apani Yadon Ke Hamare Saath Rahane Do 
Na Jane Kis Gali Me Zindagi Ki Shaam Ho Jaye


Zakhm gahare nahi is dil ke,dard mein is kadar mithas na thi....

Ye unki hi meherbani hai varna, zindagi is kadar udas na thi....

Pada hai waasta mera muhabbat k yazidon se
yahan hum apni ankhon main bhi pani rakh nahi sakte…!!!

aisaa bhii nahi ke vo laut kar na aayegaa
bevafaa vo sahii par itanaa bhii nahi

maine kaha ke mujhe chod do ya tod do,
wo be-wafa hans ke boli
itne naayaab khilonay roz kahan milte hain...

IshQ Wo Khel Nahi Jo Chotay DlL Walay Khelein
Rooh Tak Kaamp Jati Hai Sadmey Sehte Sehte.....

Kon Tole Ga Hiroon Mein Ab Hamare Ansoo Faraz ?
Woh Jo Ik Dard Ka Tajir Tha DukaN Choor Geya…!!!

har kisii se maangate hai ye vafaao kaa sabuut
bevafaa jab se vafaadaaro ke maalik ho gaye

Patthar ke jigar valon gham me vo ravani hai
Khud raah bana lega bahata hua pani hai

Phulon me ghazal rakhana ye raat ki rani hai
Is me teri zulfon ki berabt kahani hai

Ek zahan-e-parenshan me vo phul sa chehara hai
Patthar ki hifazat me shishe ki javani hai

Kyon chandani raaton me dariya pe nahate ho
Soye hue pani me kya aag lagani hai

Is hausala-e-dil par ham ne bhi kafan pahana
Hans kar koi puchhega kya jan gavani ha

Rone ka asar dil par rah-rah ke badalata hai
Aansu kabhi shisha hai aansu kabhi pani hai

Ye shabanami lahaja hai aahista ghazal padhana
Titali ki kahani hai phulon ki zabani hai

Mere wajood me WAFA ki roshni utaar de.
Phir itna pyar de k mujh ko chahato me maar de.

Bahut uddas tha so utth k tere pas agaya.
Kuch aisi baat kr jo dil ko chain or qarar de.

Suna he teri 1 nazar sanwarti he zindagi.
Jo ho sake to aaj meri zindaghi sanwar de...!!!

Patthar ke jigar valon gham me vo ravani hai
Khud raah bana lega bahata hua pani hai

Phulon me ghazal rakhana ye raat ki rani hai
Is me teri zulfon ki berabt kahani hai

Ek zahan-e-parenshan me vo phul sa chehara hai
Patthar ki hifazat me shishe ki javani hai

Kyon chandani raaton me dariya pe nahate ho
Soye hue pani me kya aag lagani hai

Is hausala-e-dil par ham ne bhi kafan pahana
Hans kar koi puchhega kya jan gavani ha

Rone ka asar dil par rah-rah ke badalata hai
Aansu kabhi shisha hai aansu kabhi pani hai

Ye shabanami lahaja hai aahista ghazal padhana
Titali ki kahani hai phulon ki zabani hai

Maine puchha khuda se, 
keemat kya hai pyar ki? 
Khuda bhi hanskar bola, 
aansu bhari aankhein aur umar intezaar ki....

sab kuchh Khudaa se maang liyaa tujh ko maang kar 
uthate nahi hai haath mere is duaa ke baad

KbhI kabhi sochta hun Kisi Qaatil ke hawale kar dun Zindaghi Apni,
Yun Roz Roz judaai mein mujh se mara nahi jata...!!!

Wo kabhi hamara dard na samjhe, 
fir bhi hum unke hamdard bante rhe, 
aasi diwangi thi ki kanto se gujre, 
mahar unke liye phool chunte rahe...

Ab kise chahen kise dhundha karen
Vo bhi aaKhir mil gaya ab kya karen

Halki-halki barishen hoti rahin
Ham bhi phulon ki tarah bhiiga karen

Aankh munde us gulabi dhup me
Der tak baithe use socha karen

Dil, muhabbat, din, duniya, shayari
Har dariche se tujhe dekha karen

Ghar naya kapade naye bartan naye
In purane kagazon ka kya karen 


Junoone ishq me kiya kiya kahe deta höön galib, 
khuda kare meri baat kisi ko samjh na aye....




Mukesh Rajpoot Mere ishq ka junoon pagalpan ki had na hota 
To kisi ka ghar aashiya se sarhad na hota 
Aur jo kehte h hum ashiya bana de taro par
Unka ghar falak par roshan to hota

kuch khud hee zakham ke aadi thy...
kuch sheehsy hathse toot gaye...
kuch khud bhi thy hasaas bohat...
kuch apne mukadar roth gaye...
kuch apko sach se nafrat thi...
kuch hum se na boly jhoot gaye...
kuch talakh hakeeqatain thi itni...
ke khuwab hee sary toot gaye.....


Mukesh Rajpoot Apni zaat to juda thi par kisi meri aukaat bata di
Mai to chahta tha sab khush rehte milkar
Kisi ne bichadne ki saugaat bata di

It's one of the best punjabi songs i have ever heard. 
Great song by lakhwinder lucky. 
It took one and half hour to edit this video for improving quality. Ear...

jis tarah chahen karam farmaieye
dil me rahiye dard banate jaieye

sochiye to husn kafir kuchh nahi
dekhiye aur dekhate rah jaieye

ho chuki taskin kyu samajhaieye
aap ko jana hai achchha jaieye

un ke ghar aur sirf un ke ghar "Raza"
jaieye aur bin bulaye jaieye 


na koi khwaab na saheli thi 
is muhabat main mein akeli thi
ishq ma tum kaha ky saachy thy 
jo aziyat thi mene jheeli thi
yaad ab kuch nahi raha lekin
aik dariya tha ya haweli thi
us ne uljha ky rakh diya dil ko
wo muhabat thi ya paheli thi
ma zara si bhi kam wafa karti 
us ne tu meri jan hi le li thi
waqt ky saanp kha gaye usko
mere aangan ma ek chambeli thi
is shab gham kis ko batlao
kitni roshan meri hateli thi.


Unko Khabar Hai Mere Tute Armaanon Ki, 
Aaj Zarurat Padegi Kanch Ke Paimane Ki, 
Khali Na Hone Dena Jaam lala Varna 
Fir Yaad Aayegi Guzare Zamane Ki...!!!

mujh ko nafrat se nahin pyaar se masloob karo
main to shaamil hoon mohabbat ke gunaahgaaron mein......

Mujhe sab qabool he lekin “gham e yaar” mujh se talab na kar,
Me USEY kese khud se juda karoOn jo meri umar bhar ki talaash hai...!!!

Wo Bichhadte Waqt Hothon Se Hansi Letaa Gayaa;
Mujh Mein Saansein Chhod Deen Bas Zindgi Letaa Gayaa

Wo Bhi Hothon Par Liye Aayaa Thaa Dariyaa Abki Baar;
Main Bhi Milte Waqt Saari Tishnagi Letaa Gayaa

Dhoop Kaa Ehsaas Yun Rahtaa Hai Meri Rooh Mein;
Ek Saayaa Jaise Saari Chhaanv Hi Letaa Gayaa

Chaand Aur Fir Chaand Poonam Kaa Kise Ummeed Thi;
Raushni Dene Ke Badle Raushni Letaa Gayaa

Ek Gahraa Ghaav Jaise Tod De Raahi Kaa Dam;
Meraa Maazi Aane Waali Zindgi Letaa Gayaa

Itna Anmol They Ke Khareed Na saka Koi HUM Ko,
Hairaan Hoon K TERE Hathon Bika to Bika Kaise..!!!


Koi Pooche Humare Ehtraam-E-Ehd-E-Rafta Ko Mohsin
Wafa Par Ab Bhi Qaaim Hain,Mohabbat Chhor Di Hum Ne...!!!



Meri yadoon ki ibtadda hi tujh se hoti hai,
Phir kyun kehta hai mujhe duaon mein yaad rakhna...!!!

No comments:

Post a Comment