affiliate marketing Hindi Urdu Sher O Shayari And SMS

Sunday 17 July 2011

AAh nikal aati thi Rab ka naam sunte hi,


AAh nikal aati thi Rab ka naam sunte hi,
saans tham jaati thi moazzin ki awaaz sunte hi,
Kyun mein duniya mein itna mulavvis ho gaya,
k aankh bhi so jati hai fajr k bahane!!!!

Jeenaa Azaab Kyun Hai Ye Kyaa Ho Gayaa Mujhe;
Kis Shakhs Ki Lagi Hai Bhalaa Bad-Duaa Mujhe

Ban-Naa Padaa Hai Aap Hi Apnaa Khudaa Mujhe;
Kis Kufr Ki Mili Hai Bhalaa Ye Sazaa Mujhe

Ye Kah Ke Maine Rakkhaa Hai Har Aayeene Kaa Dil;
Agale Janam Mein Roop Milegaa Nayaa Mujhe

Nikle The Dono Bhes Badal Kar To Kyaa Ajab;
Main Dhoondhtaa Khudaa Ko Firaa Aur Khudaa Mujhe

Too Mutmayeen Nahin To Mujhe Kab Hai Aitraaz;
Mitti Ko Phir Se Goonth Meri Phir Banaa Mujhe

Behtar dino ki aas lagate huwe habeeb
Hum behtareen din bhi ganwate chale gaye….!!!

Tasawwur, aarZoo, yaadein, Tamanna, Shauq-e-betaaBi
Ye sab cheeZen tumhari hain tum aa kar cheen Lo mujh se..!!!

Samandar Paar Hoti Jaa Rahi Hai;
Duaa Patwaar Hoti Jaa Rahi Hai

Dareeche Ab Khule Milne Lage Hain;
Fizaa Hamwaar Hoti Jaa Rahi Hai

Koi Gumbad Hai Darwaaze Ke Peechhe;
Sadaa Bekaar Hoti Jaa Rahi Hai

Masaail Jung Khushboo Rang Mausam;
Gazal Akhbaar Hoti Jaa Rahi Hai

Bahut Kaanton Bhari Duniyaa Hai Lekin;
Gale Kaa Haar Hoti Jaa Rahi Hai

Kayee Din Se Mere Andar Ki Masjid ;
Khudaa Bezaar Hoti Jaa Rahi Hai

Gale Kuchh Dost Aa Kar Mil Rahe Hain;
Chhuri Pe Dhaar Hoti Jaa Rahi Hai

Kati Jaati Hain Saanson Ki Patangein;
Hawaa Talwaar Hoti Jaa Rahi Hai


Mere Zakhmon ki Dawa kon banega tere baad
Hum ne apne bhi khoey they tuje paane ke liye..!!!

Tum jis Raaste se chaaho aa jana~
Mere chaaro taraf Mohabbat Hai...!!!

Sara shabab qais ne sehra ko dediya
Jo kuch bacha hua tha woh Laila ko dediya
Ab mere paas teri nishani nahi koi
Ek khat bacha hua tha woh dariya ko dediya
Mujh par kisi ka karzz nahi rah gaya hai ab
...Duniya se jo mila tha woh duniya ko dediya
Firqa Parast log hukumat me aagayee
Billi ke moo me aapne Chidiya ko dediya

jis tarah chahen karam farmaieye
dil me rahiye dard banate jaieye

sochiye to husn kafir kuchh nahi
dekhiye aur dekhate rah jaieye

Aansoo Aa Jaate Hain, Aankhoon Mein..
Par Laboon Par Hasi, Laani Padti Hai..
Yeh Mohabbat Bhi, Kya Cheez Hai..
Jis Se Karte Hain, Usi Se Chupaani Padti Hai..!!!

muddaton pahale jab tujh se taarruf bhi na thaa 
terii tasviir banaate the Khayaalat mere

Kadmon Ki Aahaton Se Anjaan Rahe Honge;
Ye Raaste Kabhi To Sunsaan Rahe Honge

Aankhon Se Laash Ki Yun Aansoo Nahin Nikalte;
Murdaa Badan Mein Zindaa Armaan Rahe Honge

Mar Kar Bhi Mohabbat Ko Zindaa Rakhaa Hai Jin Ne;
Wo Log Kitne Bhole Naadaan Rahe Honge

Duniyaa Ki Bheed Se Jo Hat Kar Hain Unhe Padh Lo;
Hum Poojte Hain Jinko Insaan Rahe Honge

Saahil Pe Naav Koi Yun Hi Nahi Dubotaa;
Us Naakhudaa Ke Dil Mein Toofaan Rahe Honge

Detaa Hai Noor Jal Kar Chaand Aur Sitaaron Ko;
SOORAJ Pe Shaam-O-Shab Ke Ehsaan Rahe Honge

kyun sajate ho roz intezaar ki mahfil
Yahan kis ko fursat hai ki kisi ko roz yaad aye...!!!

dil gayaa thaa to ye aaNkhen bhii koi le jaataa 
main faqat ek hii tasviir kahaa tak dekhun

Mil bhi jate hain to katara ke nikal jate hain
Haye mausam ki tarah dost badal jate hain

Ham abhi to hain giraftar-e-muhabbat yaro
Thokaren kha ke suna tha ki sambhal jate hain

Ye kabhi apani jafa par na hua sharminda
Ham samajhate rahe patthar bhi pighal jate hain

Uumr bhar jin ki vafaon pe bharosa kije
Vaqt padane pe vahi log badal jate hain

Woh chup rehta tha magar nigahain bolti thi saaqi
kuch log khamosh reh kar bhi dil jeet laite hain...!!!

Koun hota hai ghareebi mein sahara “Mohsin”
Shaakh bhi sukhe hue Patton ko gira deti hai...!!!

Aaj wo badi der tak mujhe dekhta raha Mohsin
najane kyun aisa laga ke wo mujhe chod jayega...!!!

Aaj ki raat bhi mumkin hai mein so na sakun
Yaad phir aaye hain neendon ko udaane wale...!!!

Kahin Se Boltaa Koi Nahin Hai;
To Basti Mein Bhi Kyaa Koi Nahin Hai

Meraa Ji Tujhse Bhi Bharne Lagaa Hai;
Agarche Doosraa Koi Nahin Hai

Kayee Sadiyon Ki Doori Darmiyaan Hai;
Bazaahir Faaslaa Koi Nahin Hai

No comments:

Post a Comment