affiliate marketing Hindi Urdu Sher O Shayari And SMS

Saturday 16 July 2011

Dil ke haathon majboor hai, yaad teri jaati nahi

Dil ke haathon majboor hai, yaad teri jaati nahi
Tanha tadpa karte hai, dil ko karar aata nahi|
Zakham hai, dard hai, aur hai teri bewafai
Is zindgi ko tere bagair jina bhi aata nahi||

Mukesh Rajpoot Tanhai ka aalam tab achcha lagta h 
jab haath me teri tasveer hoti 
Magar khoon khaul jaata h jab teri maut yaad aati h


tere bagair zindagi ruk toh nahi gayi , 
magar tere bagair , zindagi mein kuch baaki bhi nahi raha...

Ye aah ki mehfil h mushayre ko kharaab na kare
Insano k lahu ki zaroorat h yahaa pani bahakar maza kharaab na kare

Wafa ko aazmana chahiye tha hamara dil dukhana chahiye tha
Aana na aana meri marzi hai tumko to bulana chahiye tha

Humari khwaahish ek ghar ki thi use sara zamaana chahiye tha
Meri aankhein kaha nam hui thi samundar ko bahana chahiye tha

Kainaat mei koi kisi ka itni shiddat sy intezar nhi krta
 Jitna ALLAH PAAK apny bnday ki touba ka intezar krta hy ...!!!

Tanhai Ke Iss Mausam Mein
Dil Ko Pakar Ke Baithe Hein

Yaadon Mein Aapki Khudh Ko Hum
Aise Jakar Ke Baithe Hein

Dunya Poochti Rahi Humse
Ke Wo Kahan Ko Kho Gaye

Har Sawaal Pe Moonh Sii Ke Hum
Aise Akar Ke Baithe Hein

Dil-e-naadaan tujhe hua kya hai ,aakhir is dard ki dawa kya hai
hum hain mushtaaq aur woh bezaar ,ya ilaahi yeh maajra kya hai

main bhi munh mein zabaan rakhta hoon, kaash poocho ki muddaa kya hai
jab ki tujh bin nahi koyi maujood, fir ye hangaama aye KHuda kya hai

ye pari chehara log kaise hain Ghamza-o-ishwa-o-'adaa kya hai
shikan-e-zulf-e-ambaree kyoN hai nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai

sabja-o-gul kahaan se aaye hain abr kya cheez hai, hawa kya hai
humko unse wafaa ki hai ummeed jo nahi jaante wafa kya hai

haan bhala kar tera bhala hoga aur darvesh kee sada kya hai
jaan tum par nisaar karta hoon main nahi jaanta duaa kya hai
maine maana ki kuch nahi GHALIB muft haath aaye to bura kya hai...!!!


Mukesh Rajpoot Ummeed teri mujhko yun satane lagi
Mare hue insaa ko bhi 
Maut aane lagi
Soch k sunaau kisi ko haal e dil likh likh kar
Meri shayri kuch aur hi rang laane lagi

Dard ke phool bhi khilte hai bikhar jaate hai,
ZaKhm kaise bhi ho kuch roz mein bhar jaate hai,

Us dariche mein bhi ab koi nahi aur hum bhi,
Sar jhukaye huye chup chaap guzar jaate hai,

Raasta roke khaDi hai yahi ulajhan kab se,
Koi poochhe to kahe kya ki kidhar jaate hai,

Naram awaaz bhali baatein mohazzab lahaje,
Pahli baarish mein hi ye rang utar jaate hai...!!!

Narm narm phoolo’n ka ras nichor leti hain ”wasi”
Pathar ke dil hote hain ?…titliyon…? k seene main….!!!

Kash Kabhi To Aise Ho
Aankhain Daikhain Khwab
Aankhain Daikhain Aur Kisi Ke Khwab
Apni Aankhain Hi Jab Daikhain Aur Kisi Ke Khwab
Kon Bune Phir Khwab Hamare, Shikwe Kon Sune!
Kaante Kon Chune!
Dil Ko Hai Bus Aik Hi Uljhan,
Man Chahi Taabeer Se Roshan Sapna Kaise Ho?
Aankhon Main Jo Khwab Basa Hai Apna Kaise Ho?
Tum Dekho Ik Khwab,
Apni Aankhon Se Tum Dekho Mera Khwab,
Apni Aankhon Se Tum Dekho Kash Kabhi Ik Mera Khwab,
Shikwon Ki Parchaaiyan Orhay,Mujh Se Karo Phir Baat,
Mujh Se Karo Yeh Baat
Dil Ko Hai Bus Aik Hi Uljhan
Man Chahi Taabeer Se Roshan ,Sapna Kaise Ho!
Aankhon Main Jo Khwab Tera Hai "Apna"Kaise Ho!

No comments:

Post a Comment