affiliate marketing Hindi Urdu Sher O Shayari And SMS

Sunday 17 July 2011

Humny jb kiyaa darde dil ko bayaan, to shair bun gayaa,


Humny jb kiyaa darde dil ko bayaan, to shair bun gayaa,
Logo ny suna wah wah kiyaa, dard aur badhh gayaa.
Muhobbat ki paak rooh meray shairon main hai,
Ik likhaa ghum kum karnay kay liyeee tou ghum or badha gayaa.


Ab jis k ji main aaye wohi pa le roshni
humne to dil jala ker sar-e-rah rakh diya...!!!

uthaya tha qalam us afsane k liye,
jiski jaddo-jahad mein fana ho jana tha,
haye afsos k nafs ne mujhe sula diya,
moazzin ki awaaz thi aur jaag jana tha...

Wo kehtay hain ishq karo us se jis se haseen koi aur na ho.
Main apne 'RAB' se ishq kyun na karun k us se hasin to JANNAT bhi nahi.

Jab raat mein tumko neend na ho, jab din mein qaraar aaye na kabhi,
Phoolon ki mehak se naa aashina, jaise ke bahaar aaye na kabhi.

Tab yaad humae tum karlena, aankhon me sitare bhar lena,
Ho tujh se juda meri yaad kahin, woh din mere yaar aaye na kabhi.

Zindagi Ki kaifiyat Ko Badalte Hain
Chalo Abb Hum Apni Apni Raah Chalte Hain

Iss Se Zyada ek Dooje Ko Aur Kya Dein Gey
Chalo Abb Mohabbat Ke Iss khawab Se Nikaltey Hain

ek Baar Larr-kharra Gaye Jo Raah-E-Mohaabat Mein
Phir Zindagi Bhar Kahan Woh Sanmbhaltey Hain

Aao Na Saj Sanwar Ke Yoon Humarey Samney
Dil Mein Kayi Armaan Phir Say Machaltey Hain

Raat Raat Bhar Jaagna Parrta Hai Mujhey
Raat Bhai Mairi Chat Pay Khuwab Tehaltey Hain

Raas Aa Jaayein Mohabbaton Ke Gham Jin Ko
Kissi Khushi Say Phir Kab Woh Behaltey Hain

Lena Nahin Abb Koi Yahan Naam Insaaf Ka
'Tanha' Dilon Mein Ye Kon Say Khof Paltey Hain .

Wahan Na ” Phool ” Khilte Hain Na Hi ” Mosum ” Badalte Hain
Wahan To ” Kuch ” Nahi Hota Jahan Per ” Tum Nahi Hote ”

Yahan ” Wese ” To Her ” Soghaat ” Aasaani Se Milti Hai
Per Mera ” Dil ” Nahi Lugta Jahan Per ” Tum Nahi Hote ”

Yahan To ” Log ” Sudiyoun Ko Bhi ” Lumhon ” Me Badulte Hain
Mera Ek ” Pul ” Nahi Kut’ta Jahan Per ” Tum Nahi Hote

Sabub ” Rone ” Ka Wo Pooche To Itna Keh Dena ” Mere Dost ”
Mujhe ” Hunsna ” Nahi Aata Jahan Per ” Tum Nahi Hote ”

No comments:

Post a Comment