affiliate marketing Hindi Urdu Sher O Shayari And SMS: July 2011

Sunday, 17 July 2011

Meri Awargi Me kuch Dhakhal Tumhara Bhi hai ♥♥♥

Meri Awargi Me kuch Dhakhal Tumhara Bhi hai ♥♥♥
♥♥♥ Tumhari Yad ati Hai tu Hame Ghar Acha Nahi Lagtaa ♥♥♥


Yahan Mazdur Ko Mernay Ki jaldi Youn B hai Mohsin…
K zindagi Ki KAshmakush Main Kafan Mehnga na Ho 
●๋•Apne Hi Hote Hain Jo Dil Par Waar Karte Hain●๋•

●๋•Warna Gairon Ko Kya Khabar Ki Dil Kis Baat Par Dukhta Hai ●๋



Kafi arsa beet gaya jane ab wo kaisi hogi

waqt ki sari karwi batain chup chaap hi wo sehti hogi

ab bhi bheegi barish mein wo bin chtri key chalti hogi

mujh se bichray arsa beeta ab wo kiss se larti hogi

achha tha jo sath hi rehtay baad me usne socha hoga

apne dil ki sari batain khud se khud hi karti hogi

ankhen num bhi hoti hongi yaad wo mujh ko karti hogi


KuCh Majbooriyaan Thi Meri Mein Bewafa Nahi..

Shayad Ho Lehja Talkh Par Mein Bura Nahi...

Ye ZindaGi Hamari KuCh Is Tarah Hai Guzri...

...Jeene Ka Mujh Me Baaqi Ab Hoosla Nahi...

Gardish-e-ZindaGi Me Paaya tO Bohat KuCh...

Lekin Jo dil Se Chaha Woh Hum kO Mila Nahi...

KuCh RishtOn Ki Majbooriyaan KuCh Rasmoon Ki Dewaar Thi...

Taqdeer Se hum Ko To Gila Nahi...



KuCh Majbooriyaan Thi Meri Mein Bewafa Nahi...

Shayad Ho Lehja Talkh Par Me...


Main dard me hu koi bachaao yaro

Mujhe rote hasaao yaro

Pyaar kiya kisi nasamajh se

Use mera haal bataao yaro

Waqt mile to kuch pooch lena dard ka aalam kitna h

Mai dard me doob k mar raha hu koi bachao yaro

Mera koi hamdam. nahi h maine ji h zindgi kharo si

Mai thak gaya hu nikalo mujhe yaro

Wo rehte h isi jahaa me muh chhupaye

Koi to unhe sach batao yaro

Main Sahraa Mein Sadaayein De Rahaa Hoon

Main Sahraa Mein Sadaayein De Rahaa Hoon;
Meraa Bhi Hamnawaa Koi Nahin Hai

Qutubkhaanon Mein Ab Rakh Do Humein Bhi ;
Humein Bhi Dekhtaa Koi Nahin Hai

Sabhi Ke Dam Ghute Jaate Hain Lekin;
Khidkiyaan Kholtaa Koi Nahin Hai


terii tasviir se karataa thaa baaten
mere ghar me aainaa nahi thaa 


Socha Nahin Achhaa Bura Dekha Suna Kuchh Bhi Nahin 
Manga Khuda Se Raat Din Tere Siva Kuchh Bhi Nahin 

Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaha Tujhe Puja Tujhe 
Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuchh Bhi Nahin 

Jis Par Hamari Aankh Ne Moti Bichhaaye Raat Bhar 
Bheja Wahi Kagaz Use Hamane Likha Kuchh Bhi Nahin 

Ik Shaam Ki Dahaliz Par Baithe Rahe Wo Der Tak 
Aankhon Se Ki Baten Bahut Munh Se Kaha Kuchh Bhi Nahin 

Do Chaar Din Ki Baat Hai Dil Khaak Me So Jayega 
Jab Aag Par Kagaz Rakhaa Baki Bacha Kuchh Bhi Nahin 

Ahasas Ki Khushbu Kahan, Aavaz Ke Juganu Kahan 
Khaamosh Yadon Ke Siva, Ghar Me Raha Kuchh Bhi Nahin


Hum To Dushman Ko Bhi Pakeezah Saza Daitay Hain..
Hath Uthaatay Nahin, Naziroon Say Gira Daitay Hain!


Meri TabahiyOn Mein Tera Haath Hai Magar
Main Sab Se Keh Raha Hun Muqadar Ki Baat Hai…!!!

Dekhi ha berukhi ki aaj hum ne inteha Mohsin
Hum pe nazar padi to wo mahfil se uth gaye...!!!

Humae to apni aawargi ne aawara bana choda,
Mohabbat ki to thi lekin, mohabbat ne hi dil toda,

Unhe aawaz di humne, bohat faryaad ki humne,
Woh badhte hi gaye aage, palat ke mu nahin moda,

Kabhi Yaad Aaye To Puchna
Zara Apni Khalwat-E-Sham Say

Kisey Ishq Hai Teri Zaat Say
Kisay Pyar Hai Tery Naam Say
...
Wo Jo Ji Uthaa Tery Naam Say
Wo Jo Maar Mita Tery Naam Pay

Na Kabhi Visaal Ki Chah Ki
Na Kabhi Firaaq Main Aah Ki

Ke Mera Tareeqa-E-Bandagi
Hai Juda Tareeqa-E-Aam Say

Aaj ki raat bhi mumkin hai mein so na sakon
Yaad phir aaye hain neendon ko uranay walay.........

Mana ke usay thi na koi parwah teri, aye mere dil,
Par aisa bhi nahin kay us ke bina tu dhadakne na paye ga,

Bara naaz tha un ko apne parde pe Faraz…
Kal raat woh khawab me sar-e-aam chale aaye.

shaaKheN rahiiN to phool bhii, patte bhii aayeNge
ye din agar bure haiN to achchhe bhii aayeNge

Mujhe Apnay Badan Ki Khusbhu Se Masroor Kardo,
Mujhe Apni Nazuk Bahon Mein Mehsoor Kardo,
Seenay Se Laga K Saaray Gham Door Kardo,
Main Tumse juda Na Ho Paon Itna Majboor Kardo,
Surkh Honton Se Pilao Ya In Mast Ankhon Se,
Main Tere Jism Se Lipta Rahun Itna Choor Kardo,
Leke Bahon Mein Tujhe Honton Se Itna Choom Lon,
Faslay Sharam-o-Haya K Tum Bhi Door Kardo,
Meri Nas Nas Mein Bas Jaye JAAN Pyaar Tera,
Main Kissi Or Ko Na Dekhun Itna Maghroor Kardo….!!!!

Teri Hasti Se Teri Zaat Se Khushbu Aaye
Tu Jo Boly To Teri Bat Se Khushbu Aaye ,
TujhKo Dekhon To Meri Aankh Mehak Si Jaye ,
TujhKo Sochon To Khyalaat Se Khushbu Aaye ,
Tu Chambeli Hy’ Nargis Hy K ! Raat Ki Rani ,
TujhKo Chuu Lon To Mere Hath Se Khushbu Aaye

Khat me Mere hi khat ke tukre the . . .
Aur Mujhe lga, Mere khat ka jawab aaya hai…

Kabhi To Aasman Se Chand Utare Jaam Ho Jaye 
Tumhare Naam Ki Ik Khubasurat Shaam Ho Jaye 

Hamara Dil Savere Ka Sunahara Jaam Ho Jaye 
Charagon Ki Tarah Aankhen Jalen Jab Shaam Ho Jaye 

Ajab Haalaat The Yun Dil Ka Sauda Ho Gaya Aakhir 
Mohabbat Ki Haveli Jis Tarah Nilam Ho Jaye 

Samandar Ke Safar Me Is Tarah Aavaz Do Hamako 
Havayen Tez Ho Aur Kashtiyon Me Shaam Ho Jaye 

Main Khud Bhi Ehatiyatan Us Gali Se Kam Guzarata Hun 
Koi Masum Kyon Mere Liye Badanam Ho Jaye 

Mujhe Malum Hai Us Ka Thikana Phir Kahan Hoga 
Parinda Aasman Chhune Me Jab Naqam Ho Jaye 

Ujale Apani Yadon Ke Hamare Saath Rahane Do 
Na Jane Kis Gali Me Zindagi Ki Shaam Ho Jaye


Zakhm gahare nahi is dil ke,dard mein is kadar mithas na thi....

Ye unki hi meherbani hai varna, zindagi is kadar udas na thi....

Pada hai waasta mera muhabbat k yazidon se
yahan hum apni ankhon main bhi pani rakh nahi sakte…!!!

aisaa bhii nahi ke vo laut kar na aayegaa
bevafaa vo sahii par itanaa bhii nahi

maine kaha ke mujhe chod do ya tod do,
wo be-wafa hans ke boli
itne naayaab khilonay roz kahan milte hain...

IshQ Wo Khel Nahi Jo Chotay DlL Walay Khelein
Rooh Tak Kaamp Jati Hai Sadmey Sehte Sehte.....

Kon Tole Ga Hiroon Mein Ab Hamare Ansoo Faraz ?
Woh Jo Ik Dard Ka Tajir Tha DukaN Choor Geya…!!!

har kisii se maangate hai ye vafaao kaa sabuut
bevafaa jab se vafaadaaro ke maalik ho gaye

Patthar ke jigar valon gham me vo ravani hai
Khud raah bana lega bahata hua pani hai

Phulon me ghazal rakhana ye raat ki rani hai
Is me teri zulfon ki berabt kahani hai

Ek zahan-e-parenshan me vo phul sa chehara hai
Patthar ki hifazat me shishe ki javani hai

Kyon chandani raaton me dariya pe nahate ho
Soye hue pani me kya aag lagani hai

Is hausala-e-dil par ham ne bhi kafan pahana
Hans kar koi puchhega kya jan gavani ha

Rone ka asar dil par rah-rah ke badalata hai
Aansu kabhi shisha hai aansu kabhi pani hai

Ye shabanami lahaja hai aahista ghazal padhana
Titali ki kahani hai phulon ki zabani hai

Mere wajood me WAFA ki roshni utaar de.
Phir itna pyar de k mujh ko chahato me maar de.

Bahut uddas tha so utth k tere pas agaya.
Kuch aisi baat kr jo dil ko chain or qarar de.

Suna he teri 1 nazar sanwarti he zindagi.
Jo ho sake to aaj meri zindaghi sanwar de...!!!

Patthar ke jigar valon gham me vo ravani hai
Khud raah bana lega bahata hua pani hai

Phulon me ghazal rakhana ye raat ki rani hai
Is me teri zulfon ki berabt kahani hai

Ek zahan-e-parenshan me vo phul sa chehara hai
Patthar ki hifazat me shishe ki javani hai

Kyon chandani raaton me dariya pe nahate ho
Soye hue pani me kya aag lagani hai

Is hausala-e-dil par ham ne bhi kafan pahana
Hans kar koi puchhega kya jan gavani ha

Rone ka asar dil par rah-rah ke badalata hai
Aansu kabhi shisha hai aansu kabhi pani hai

Ye shabanami lahaja hai aahista ghazal padhana
Titali ki kahani hai phulon ki zabani hai

Maine puchha khuda se, 
keemat kya hai pyar ki? 
Khuda bhi hanskar bola, 
aansu bhari aankhein aur umar intezaar ki....

sab kuchh Khudaa se maang liyaa tujh ko maang kar 
uthate nahi hai haath mere is duaa ke baad

KbhI kabhi sochta hun Kisi Qaatil ke hawale kar dun Zindaghi Apni,
Yun Roz Roz judaai mein mujh se mara nahi jata...!!!

Wo kabhi hamara dard na samjhe, 
fir bhi hum unke hamdard bante rhe, 
aasi diwangi thi ki kanto se gujre, 
mahar unke liye phool chunte rahe...

Ab kise chahen kise dhundha karen
Vo bhi aaKhir mil gaya ab kya karen

Halki-halki barishen hoti rahin
Ham bhi phulon ki tarah bhiiga karen

Aankh munde us gulabi dhup me
Der tak baithe use socha karen

Dil, muhabbat, din, duniya, shayari
Har dariche se tujhe dekha karen

Ghar naya kapade naye bartan naye
In purane kagazon ka kya karen 


Junoone ishq me kiya kiya kahe deta höön galib, 
khuda kare meri baat kisi ko samjh na aye....




Mukesh Rajpoot Mere ishq ka junoon pagalpan ki had na hota 
To kisi ka ghar aashiya se sarhad na hota 
Aur jo kehte h hum ashiya bana de taro par
Unka ghar falak par roshan to hota

kuch khud hee zakham ke aadi thy...
kuch sheehsy hathse toot gaye...
kuch khud bhi thy hasaas bohat...
kuch apne mukadar roth gaye...
kuch apko sach se nafrat thi...
kuch hum se na boly jhoot gaye...
kuch talakh hakeeqatain thi itni...
ke khuwab hee sary toot gaye.....


Mukesh Rajpoot Apni zaat to juda thi par kisi meri aukaat bata di
Mai to chahta tha sab khush rehte milkar
Kisi ne bichadne ki saugaat bata di

It's one of the best punjabi songs i have ever heard. 
Great song by lakhwinder lucky. 
It took one and half hour to edit this video for improving quality. Ear...

jis tarah chahen karam farmaieye
dil me rahiye dard banate jaieye

sochiye to husn kafir kuchh nahi
dekhiye aur dekhate rah jaieye

ho chuki taskin kyu samajhaieye
aap ko jana hai achchha jaieye

un ke ghar aur sirf un ke ghar "Raza"
jaieye aur bin bulaye jaieye 


na koi khwaab na saheli thi 
is muhabat main mein akeli thi
ishq ma tum kaha ky saachy thy 
jo aziyat thi mene jheeli thi
yaad ab kuch nahi raha lekin
aik dariya tha ya haweli thi
us ne uljha ky rakh diya dil ko
wo muhabat thi ya paheli thi
ma zara si bhi kam wafa karti 
us ne tu meri jan hi le li thi
waqt ky saanp kha gaye usko
mere aangan ma ek chambeli thi
is shab gham kis ko batlao
kitni roshan meri hateli thi.


Unko Khabar Hai Mere Tute Armaanon Ki, 
Aaj Zarurat Padegi Kanch Ke Paimane Ki, 
Khali Na Hone Dena Jaam lala Varna 
Fir Yaad Aayegi Guzare Zamane Ki...!!!

mujh ko nafrat se nahin pyaar se masloob karo
main to shaamil hoon mohabbat ke gunaahgaaron mein......

Mujhe sab qabool he lekin “gham e yaar” mujh se talab na kar,
Me USEY kese khud se juda karoOn jo meri umar bhar ki talaash hai...!!!

Wo Bichhadte Waqt Hothon Se Hansi Letaa Gayaa;
Mujh Mein Saansein Chhod Deen Bas Zindgi Letaa Gayaa

Wo Bhi Hothon Par Liye Aayaa Thaa Dariyaa Abki Baar;
Main Bhi Milte Waqt Saari Tishnagi Letaa Gayaa

Dhoop Kaa Ehsaas Yun Rahtaa Hai Meri Rooh Mein;
Ek Saayaa Jaise Saari Chhaanv Hi Letaa Gayaa

Chaand Aur Fir Chaand Poonam Kaa Kise Ummeed Thi;
Raushni Dene Ke Badle Raushni Letaa Gayaa

Ek Gahraa Ghaav Jaise Tod De Raahi Kaa Dam;
Meraa Maazi Aane Waali Zindgi Letaa Gayaa

Itna Anmol They Ke Khareed Na saka Koi HUM Ko,
Hairaan Hoon K TERE Hathon Bika to Bika Kaise..!!!


Koi Pooche Humare Ehtraam-E-Ehd-E-Rafta Ko Mohsin
Wafa Par Ab Bhi Qaaim Hain,Mohabbat Chhor Di Hum Ne...!!!



Meri yadoon ki ibtadda hi tujh se hoti hai,
Phir kyun kehta hai mujhe duaon mein yaad rakhna...!!!
AAh nikal aati thi Rab ka naam sunte hi,


AAh nikal aati thi Rab ka naam sunte hi,
saans tham jaati thi moazzin ki awaaz sunte hi,
Kyun mein duniya mein itna mulavvis ho gaya,
k aankh bhi so jati hai fajr k bahane!!!!

Jeenaa Azaab Kyun Hai Ye Kyaa Ho Gayaa Mujhe;
Kis Shakhs Ki Lagi Hai Bhalaa Bad-Duaa Mujhe

Ban-Naa Padaa Hai Aap Hi Apnaa Khudaa Mujhe;
Kis Kufr Ki Mili Hai Bhalaa Ye Sazaa Mujhe

Ye Kah Ke Maine Rakkhaa Hai Har Aayeene Kaa Dil;
Agale Janam Mein Roop Milegaa Nayaa Mujhe

Nikle The Dono Bhes Badal Kar To Kyaa Ajab;
Main Dhoondhtaa Khudaa Ko Firaa Aur Khudaa Mujhe

Too Mutmayeen Nahin To Mujhe Kab Hai Aitraaz;
Mitti Ko Phir Se Goonth Meri Phir Banaa Mujhe

Behtar dino ki aas lagate huwe habeeb
Hum behtareen din bhi ganwate chale gaye….!!!

Tasawwur, aarZoo, yaadein, Tamanna, Shauq-e-betaaBi
Ye sab cheeZen tumhari hain tum aa kar cheen Lo mujh se..!!!

Samandar Paar Hoti Jaa Rahi Hai;
Duaa Patwaar Hoti Jaa Rahi Hai

Dareeche Ab Khule Milne Lage Hain;
Fizaa Hamwaar Hoti Jaa Rahi Hai

Koi Gumbad Hai Darwaaze Ke Peechhe;
Sadaa Bekaar Hoti Jaa Rahi Hai

Masaail Jung Khushboo Rang Mausam;
Gazal Akhbaar Hoti Jaa Rahi Hai

Bahut Kaanton Bhari Duniyaa Hai Lekin;
Gale Kaa Haar Hoti Jaa Rahi Hai

Kayee Din Se Mere Andar Ki Masjid ;
Khudaa Bezaar Hoti Jaa Rahi Hai

Gale Kuchh Dost Aa Kar Mil Rahe Hain;
Chhuri Pe Dhaar Hoti Jaa Rahi Hai

Kati Jaati Hain Saanson Ki Patangein;
Hawaa Talwaar Hoti Jaa Rahi Hai


Mere Zakhmon ki Dawa kon banega tere baad
Hum ne apne bhi khoey they tuje paane ke liye..!!!

Tum jis Raaste se chaaho aa jana~
Mere chaaro taraf Mohabbat Hai...!!!

Sara shabab qais ne sehra ko dediya
Jo kuch bacha hua tha woh Laila ko dediya
Ab mere paas teri nishani nahi koi
Ek khat bacha hua tha woh dariya ko dediya
Mujh par kisi ka karzz nahi rah gaya hai ab
...Duniya se jo mila tha woh duniya ko dediya
Firqa Parast log hukumat me aagayee
Billi ke moo me aapne Chidiya ko dediya

jis tarah chahen karam farmaieye
dil me rahiye dard banate jaieye

sochiye to husn kafir kuchh nahi
dekhiye aur dekhate rah jaieye

Aansoo Aa Jaate Hain, Aankhoon Mein..
Par Laboon Par Hasi, Laani Padti Hai..
Yeh Mohabbat Bhi, Kya Cheez Hai..
Jis Se Karte Hain, Usi Se Chupaani Padti Hai..!!!

muddaton pahale jab tujh se taarruf bhi na thaa 
terii tasviir banaate the Khayaalat mere

Kadmon Ki Aahaton Se Anjaan Rahe Honge;
Ye Raaste Kabhi To Sunsaan Rahe Honge

Aankhon Se Laash Ki Yun Aansoo Nahin Nikalte;
Murdaa Badan Mein Zindaa Armaan Rahe Honge

Mar Kar Bhi Mohabbat Ko Zindaa Rakhaa Hai Jin Ne;
Wo Log Kitne Bhole Naadaan Rahe Honge

Duniyaa Ki Bheed Se Jo Hat Kar Hain Unhe Padh Lo;
Hum Poojte Hain Jinko Insaan Rahe Honge

Saahil Pe Naav Koi Yun Hi Nahi Dubotaa;
Us Naakhudaa Ke Dil Mein Toofaan Rahe Honge

Detaa Hai Noor Jal Kar Chaand Aur Sitaaron Ko;
SOORAJ Pe Shaam-O-Shab Ke Ehsaan Rahe Honge

kyun sajate ho roz intezaar ki mahfil
Yahan kis ko fursat hai ki kisi ko roz yaad aye...!!!

dil gayaa thaa to ye aaNkhen bhii koi le jaataa 
main faqat ek hii tasviir kahaa tak dekhun

Mil bhi jate hain to katara ke nikal jate hain
Haye mausam ki tarah dost badal jate hain

Ham abhi to hain giraftar-e-muhabbat yaro
Thokaren kha ke suna tha ki sambhal jate hain

Ye kabhi apani jafa par na hua sharminda
Ham samajhate rahe patthar bhi pighal jate hain

Uumr bhar jin ki vafaon pe bharosa kije
Vaqt padane pe vahi log badal jate hain

Woh chup rehta tha magar nigahain bolti thi saaqi
kuch log khamosh reh kar bhi dil jeet laite hain...!!!

Koun hota hai ghareebi mein sahara “Mohsin”
Shaakh bhi sukhe hue Patton ko gira deti hai...!!!

Aaj wo badi der tak mujhe dekhta raha Mohsin
najane kyun aisa laga ke wo mujhe chod jayega...!!!

Aaj ki raat bhi mumkin hai mein so na sakun
Yaad phir aaye hain neendon ko udaane wale...!!!

Kahin Se Boltaa Koi Nahin Hai;
To Basti Mein Bhi Kyaa Koi Nahin Hai

Meraa Ji Tujhse Bhi Bharne Lagaa Hai;
Agarche Doosraa Koi Nahin Hai

Kayee Sadiyon Ki Doori Darmiyaan Hai;
Bazaahir Faaslaa Koi Nahin Hai
Humny jb kiyaa darde dil ko bayaan, to shair bun gayaa,


Humny jb kiyaa darde dil ko bayaan, to shair bun gayaa,
Logo ny suna wah wah kiyaa, dard aur badhh gayaa.
Muhobbat ki paak rooh meray shairon main hai,
Ik likhaa ghum kum karnay kay liyeee tou ghum or badha gayaa.


Ab jis k ji main aaye wohi pa le roshni
humne to dil jala ker sar-e-rah rakh diya...!!!

uthaya tha qalam us afsane k liye,
jiski jaddo-jahad mein fana ho jana tha,
haye afsos k nafs ne mujhe sula diya,
moazzin ki awaaz thi aur jaag jana tha...

Wo kehtay hain ishq karo us se jis se haseen koi aur na ho.
Main apne 'RAB' se ishq kyun na karun k us se hasin to JANNAT bhi nahi.

Jab raat mein tumko neend na ho, jab din mein qaraar aaye na kabhi,
Phoolon ki mehak se naa aashina, jaise ke bahaar aaye na kabhi.

Tab yaad humae tum karlena, aankhon me sitare bhar lena,
Ho tujh se juda meri yaad kahin, woh din mere yaar aaye na kabhi.

Zindagi Ki kaifiyat Ko Badalte Hain
Chalo Abb Hum Apni Apni Raah Chalte Hain

Iss Se Zyada ek Dooje Ko Aur Kya Dein Gey
Chalo Abb Mohabbat Ke Iss khawab Se Nikaltey Hain

ek Baar Larr-kharra Gaye Jo Raah-E-Mohaabat Mein
Phir Zindagi Bhar Kahan Woh Sanmbhaltey Hain

Aao Na Saj Sanwar Ke Yoon Humarey Samney
Dil Mein Kayi Armaan Phir Say Machaltey Hain

Raat Raat Bhar Jaagna Parrta Hai Mujhey
Raat Bhai Mairi Chat Pay Khuwab Tehaltey Hain

Raas Aa Jaayein Mohabbaton Ke Gham Jin Ko
Kissi Khushi Say Phir Kab Woh Behaltey Hain

Lena Nahin Abb Koi Yahan Naam Insaaf Ka
'Tanha' Dilon Mein Ye Kon Say Khof Paltey Hain .

Wahan Na ” Phool ” Khilte Hain Na Hi ” Mosum ” Badalte Hain
Wahan To ” Kuch ” Nahi Hota Jahan Per ” Tum Nahi Hote ”

Yahan ” Wese ” To Her ” Soghaat ” Aasaani Se Milti Hai
Per Mera ” Dil ” Nahi Lugta Jahan Per ” Tum Nahi Hote ”

Yahan To ” Log ” Sudiyoun Ko Bhi ” Lumhon ” Me Badulte Hain
Mera Ek ” Pul ” Nahi Kut’ta Jahan Per ” Tum Nahi Hote

Sabub ” Rone ” Ka Wo Pooche To Itna Keh Dena ” Mere Dost ”
Mujhe ” Hunsna ” Nahi Aata Jahan Per ” Tum Nahi Hote ”

Mere ashq ki keemat na kal thi na aaj h


Mere ashq ki keemat na kal thi na aaj h
Bas mushayre kaam aate h haaledil likhne k liye
Jism me lahu seemit hi rehta h
Koi bataaye ashq ka sailab banta kaha h

Bas Us Mukaam Pe Mera Junoon Aa Jaaye,
Tujhe Pukaron Mere Muh Se Khoon Aa Jaaye...!!!


Mukesh Rajpoot khuda kare aisa mukaam aaye
Saans tu le aur dil mera dhadak jaye
Khwahisho ka kya h y banti h bigad bhi jaati h
Mazaa to tab h k meri dua kuch to rang laye

Teri tasveer mere us waqt bhi kaam aayi 
jab kafan nahi tha mere chehre ko chupane k liye

Woh Banke Aks Meri Chashm-e-tar Mein Rahta Hai
Ajeeb Shaks Hai Paani Ke Ghar Mein Rahta Hai...!!!

Masoom Bacchon Ki Zubaan Ban Jaaoonga,
Main Mit Bhi Gaya Toh Dastaan Ban Jaaonga, 
Phayloonga Toh Saare Kaunain Pe Chaa Jaaoonga,
Suraj Hun Main Kisi Deewar Ka Saaya Nahi...!!!

Mai Udaas Rasta Hoon Shaam Ka
Mujhe Ahaton Ki Talash Hai
Ye Sitare Hain Sab Bujhe Bujhe
Mujhe Jugnuon Ki Talash Hai
Ik Hajoom Sa Hai Rawa'n Dawa'n
Mujhe Doston Ki Talash Hai
Meri Zindagi Hai Bas Ik Rasta
Mujhe Manzilon Ki Talash Hai 


Le Ke Maazi Ko Jo Haal Aayaa To Dil Kaanp Gayaa;
Jab Kabhi Unkaa Khayaal Aayaa To Dil Kaanp Gayaa

Aisaa Todaa Thaa Mohabbat Mein Kisi Ne Dil Ko;
Jab Kisi Sheeshe Mein Baal Aayaa To Dil Kaanp Gayaa

Sar Balandi Pe To Magroor The Hum Bhi Lekin;
Chadhte Sooraj Pe Zavaal Aayaa To Dil Kaanp Gayaa

Bad-Nazar Uthne Hi Vaali Thi Kisi Ki Jaanib;
Apni Beti Kaa Khayaal Aayaa To Dil Kaanp Gayaa

Sar se chaadar badan se kaba le gayee,

Sar se chaadar badan se kaba le gayee,
zindagi hum fakiron se kya le gayee?


Mukesh Rajpoot Ham fakiro k jholi pe duniya ka nishaana h
Kabhi aashik kabhi majnoo har koi mera diwana h
Mei rehta ho khuda k ot me hardam
Magar mera khuda kusi aur ka diwana h

Kisi Ko Ghar Mila Hisse Mein Ya Koi Dukaan Aayee,
Main Sab Se CHOTA Tha Ghar Mein Mere Hisse Mein Maa Aayee.


Aiyaari,makkari,chaaplusi Nahi Laate,
Hum Apne Fan Mein Rang Darbari Nahi Laate.

Mukesh Rajpoot Meri ada me sab dosh the par use pasand aaye
Phool diye use bahar ne use kante pasand aaye
Maine chadhaya ashaq khuda k jholi me par khuda ko sailab e lahu pasand aaye



Aankhon Mein Koi Khawaab Sunhera Nahi Aata,
Ab Is Jheel Par Koi Parinda Nahi Aata,
Barson Se Tamannayen Saji Baithi Hai Dil Mein,
Is Ghar Mein Bade Loogon Ka Rishta Nahi Aata.
Haalaat Ne Chehre Ki Chamak Cheen Li Warna,
Do Chaar Baras Main Toh Budhapaa Nahi Aata.


Hum Dard ke Maron ka Itna Hi Fasana Hai.
Peene ko Sharab-e-Gham, Dil Gham ka Nishana Hai

Dil Ek Khilona Hai, Taqdeer ke Haatho mein
Marne ki Tamanna Hai, Jeene ka Bahana Hai

Sab ke kehne se irada nahi badla jaata,
Har saheli se dupatta nahi badla jaata.

Hum ke shayar hai sihyasat nahi aati humko
Humse muh dekh ke lehza hai badla jaata.
...
Hum fakiron ko fakiri ka nasha rehta hai,
Warna kya sheher mein shajra nahi badla jata..?

Aisa lagta hai ke woh Bhool gaya hai humko,
Ab kabhi khidki ka parda nahi badla jaata.

Jab rulaya hai to hasne pe na majboor karo,
Roz bimar ka nuskha nahi badla jaata.

Ghum se fursat hi kahan hai ke tujhe yaad karoon,
Itni laashen hai to kadhan nahi badla jaata.

Umrr ek talkh haqiqat hai doston phir bhi.
Jitne tum Badle ho Utna nahi badla jaata..



Teri aagosh me roya sab gile sunaaye tujhe
Tujhe gairo se fursat na mili aur mai rota hi gaya
Koi nahi jise teri khaatir manaya nahi maine
Mera khuda khud mujhse naraz ho gaya

Kabhi Khushi Se Khushi Ki Taraf Nahi Dekha,
Tumhare Baad Phir Kisi Ki Taraf Nahi Dekha.
Yeh Soch Kar Ke Tera Intizaar Laazim Hai
Tamam Umr Ghadi Ki Taraf Nahi Dekha.


deewana be khudi main bari baat kah gya
ik hashr ki ghari ko mulaqaat kah gya
pahla tarb shanas bara sung dil tha dost
cheekhain thin jin ko jhoom kar naghmaat kah gya

Mujhe khabar hai wohi ek baat likh doonga
Tumhare husn ko char chaand likh doonga

Tumhari aankhein jo sharma kar kahengi mujh se
Tumhare honthon pe wo dil ki baat likh doonga

Tumhe baitha ke apni aankhon ke saamne jaana
Nikalte chaand ki kismat mein maat likh doonga...!!!

Tera naam kya tha kisi ko kuch nahi pata
Mere liye to kayamat tha jo meri zindgi ujaad gayi
Jaha tere ashq gire waha mera lahu gira
Lekin tu aansu chhupa kar mukar gayi

Kabhi Khushi Se Khushi Ki Taraf Nahi Dekha,
Tumhare Baad Phir Kisi Ki Taraf Nahi Dekha.
Yeh Soch Kar Ke Tera Intezaar Laazim Hai
Tamam Umr Ghadi Ki Taraf Nahi Dekha...!!!

Mukesh Rajpoot Mere dard mujhko aise bhi satate h
Ye khud bhi rote h mujhko bhi rulate h
Aahat pe kisi ki ye mujhko jagate 
Na khud sambhalte hame bhi behkate h

Saturday, 16 July 2011

Dil ke haathon majboor hai, yaad teri jaati nahi

Dil ke haathon majboor hai, yaad teri jaati nahi
Tanha tadpa karte hai, dil ko karar aata nahi|
Zakham hai, dard hai, aur hai teri bewafai
Is zindgi ko tere bagair jina bhi aata nahi||

Mukesh Rajpoot Tanhai ka aalam tab achcha lagta h 
jab haath me teri tasveer hoti 
Magar khoon khaul jaata h jab teri maut yaad aati h


tere bagair zindagi ruk toh nahi gayi , 
magar tere bagair , zindagi mein kuch baaki bhi nahi raha...

Ye aah ki mehfil h mushayre ko kharaab na kare
Insano k lahu ki zaroorat h yahaa pani bahakar maza kharaab na kare

Wafa ko aazmana chahiye tha hamara dil dukhana chahiye tha
Aana na aana meri marzi hai tumko to bulana chahiye tha

Humari khwaahish ek ghar ki thi use sara zamaana chahiye tha
Meri aankhein kaha nam hui thi samundar ko bahana chahiye tha

Kainaat mei koi kisi ka itni shiddat sy intezar nhi krta
 Jitna ALLAH PAAK apny bnday ki touba ka intezar krta hy ...!!!

Tanhai Ke Iss Mausam Mein
Dil Ko Pakar Ke Baithe Hein

Yaadon Mein Aapki Khudh Ko Hum
Aise Jakar Ke Baithe Hein

Dunya Poochti Rahi Humse
Ke Wo Kahan Ko Kho Gaye

Har Sawaal Pe Moonh Sii Ke Hum
Aise Akar Ke Baithe Hein

Dil-e-naadaan tujhe hua kya hai ,aakhir is dard ki dawa kya hai
hum hain mushtaaq aur woh bezaar ,ya ilaahi yeh maajra kya hai

main bhi munh mein zabaan rakhta hoon, kaash poocho ki muddaa kya hai
jab ki tujh bin nahi koyi maujood, fir ye hangaama aye KHuda kya hai

ye pari chehara log kaise hain Ghamza-o-ishwa-o-'adaa kya hai
shikan-e-zulf-e-ambaree kyoN hai nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai

sabja-o-gul kahaan se aaye hain abr kya cheez hai, hawa kya hai
humko unse wafaa ki hai ummeed jo nahi jaante wafa kya hai

haan bhala kar tera bhala hoga aur darvesh kee sada kya hai
jaan tum par nisaar karta hoon main nahi jaanta duaa kya hai
maine maana ki kuch nahi GHALIB muft haath aaye to bura kya hai...!!!


Mukesh Rajpoot Ummeed teri mujhko yun satane lagi
Mare hue insaa ko bhi 
Maut aane lagi
Soch k sunaau kisi ko haal e dil likh likh kar
Meri shayri kuch aur hi rang laane lagi

Dard ke phool bhi khilte hai bikhar jaate hai,
ZaKhm kaise bhi ho kuch roz mein bhar jaate hai,

Us dariche mein bhi ab koi nahi aur hum bhi,
Sar jhukaye huye chup chaap guzar jaate hai,

Raasta roke khaDi hai yahi ulajhan kab se,
Koi poochhe to kahe kya ki kidhar jaate hai,

Naram awaaz bhali baatein mohazzab lahaje,
Pahli baarish mein hi ye rang utar jaate hai...!!!

Narm narm phoolo’n ka ras nichor leti hain ”wasi”
Pathar ke dil hote hain ?…titliyon…? k seene main….!!!

Kash Kabhi To Aise Ho
Aankhain Daikhain Khwab
Aankhain Daikhain Aur Kisi Ke Khwab
Apni Aankhain Hi Jab Daikhain Aur Kisi Ke Khwab
Kon Bune Phir Khwab Hamare, Shikwe Kon Sune!
Kaante Kon Chune!
Dil Ko Hai Bus Aik Hi Uljhan,
Man Chahi Taabeer Se Roshan Sapna Kaise Ho?
Aankhon Main Jo Khwab Basa Hai Apna Kaise Ho?
Tum Dekho Ik Khwab,
Apni Aankhon Se Tum Dekho Mera Khwab,
Apni Aankhon Se Tum Dekho Kash Kabhi Ik Mera Khwab,
Shikwon Ki Parchaaiyan Orhay,Mujh Se Karo Phir Baat,
Mujh Se Karo Yeh Baat
Dil Ko Hai Bus Aik Hi Uljhan
Man Chahi Taabeer Se Roshan ,Sapna Kaise Ho!
Aankhon Main Jo Khwab Tera Hai "Apna"Kaise Ho!

Sooch Kar Uskay Paas Se Uttha Tha,



Sooch Kar Uskay Paas Se Uttha Tha,
Ke Woh Rok Legi Manna Legi Mujhko.

Hawaoun Mein Leharata Hua Aata Tha Daman.
Ke Daman Pakr Ke Betha Legi Mujhko.

Qadam Aisay Andaaz Se Utth Rahay Thay,
Ke Awaaz De Ke Bulla Legi Mujhko.

Magar Usne Na Roka, Na Usne Manaya,
Na Hi Daman Pakra, Na Hi Bethaya,

Na Hi Awaaz Di, Na Wapis Bullaya,
Aahista Aahista Barhta Hi Aaya Mein

Yehaan Tak Ke Uss Se Judda Hogaya Mein.
Judda Hogaya Mein, Judda Hogaya Mein

Rizwann Khann Bhule hai rafta rafta unhe muddato mein hum....
kishto mein khud khushi ka maza hum se puchiye...

Mukesh Rajpoot Socha k daaman thaam k ro lu kuch der
Na jaane fir ye baat ho na ho
Tere hato ko choom k chhod du duniya
K jannat me tera hath ho na ho

jab tera sahara tha , toh kaanton pe bhi neend aa jaati thi , 
ab tu jo na rahi , toh phool bhi be asar hai ....


uski judai nemujhe etna toda h ke...
khud k esaaye se b dar lagta hai ab..


Neendain tumhari khwaab tumharey tumhara gham,
In mausamon ney hum ko uttara zameen par. 


Kaha tha kisney key ahed-e-wafa karoo ussey,
Jo kar liyaa hai tou phir kyoon gilaa karoo ussey. 


Dard ke phool bhi khilte hai bikhar jaate hai,
ZaKhm kaise bhi ho kuch roz mein bhar jaate hai,


Us dariche mein bhi ab koi nahi aur hum bhi,
Sar jhukaye huye chup chaap guzar jaate hai,

Raasta roke khaDi hai yahi ulajhan kab se,
Koi poochhe to kahe kya ki kidhar jaate hai,

Naram awaaz bhali baatein mohazzab lahaje,
Pahli baarish mein hi ye rang utar jaate hai...!!!

Reh gai dil mei adhuri,her khushi tere bager,
Kaise khush reh kar guzaru,zindagi tere bager?

Ya khuda ko illm he ya mei samajhti hu isse,
Jo kami mehsoos hoti he mujhe tere bager!

Kaise kaatenge wo tanha apni sari zindagi?
Ek pal jisne na kaata ho kabhi tere bager!

Kya batau kis kadar feeke nazar aane lage,
Chand taaro mei nahi wo roshni tere bager!

Mukesh Rajpoot Wo tauba hi kya jo dil se na nikle 
Apni to har aah ek tauba h
Har tadap p karte h sajda khuda ka
Khuda kare sajda karte 2 mera dum nikle

Jisne humko chaha, unhe hum nah chah sake, 
Jisko humne chaha, unko hum pa na sake, 
yah samajh lo dil tutne ka khel ha, 
kisi ka tora aur apna 

Kya Ye Zaroori Hai Zamane Mein
Wafa Karo Aur Tumko Wafa Mile
Kisi Ke Liye Jab Tum Dua Karo
Uske Badle Mein Tum Ko Dua Mile

Friday, 15 July 2011

Mere zakhm ka andaza na laga is

Uski aarzu mera khuawb hai jiska rasta bhut khrab hai 
mere zakhm ka andaza na laga is
dil ka har panna dard ki kitab hai....!

Lovely relations r like a ring.
If we wear it, it will hold our finger tightly.
If we remove it, it will surely make us to feel its absence....

Sad lines by lover,
"dont try to hug me with
one hand when you are hiding a 
knife in the other hand"

Hume bhi koi rula gya,
Gume dastan apni suna gya.
Iss se pahle ki ye dil kisi pe aata mera, 
Wo muhabbat ke sache kisse suna gya.........

Roz sochta hoon bhul jaun use,
par
yahi baat main roz bhul jata hoon.

Hum toh unhe jalaane gaye the par haye yeh kya kar baithe
unhe toh chingari bhi nahi lagi
aur hum apne haath jalaa baithe

Waqt k sath hamare raste bichadte jayenge,


Waqt k sath hamare raste bichadte jayenge,
hum to vahi hi rahenge faasle badte jayenge, 
phir chahoge b agar hame pana 
hum kabhi kahi nazar n ayenge.

Har kisi ne zindgi me ruswai hi di, 
thoda pyar deke phir judai hi di, 
kaun samjhega mere pyar k zazbato ko, 
apna samjh ker bhi mujhko tanhai hi di.

huse mai tere waar karta hu
jaan tujh par nisaar karta hu
muh mai dant nahi hai darlng
phir bhi tujhse pyar karta hu...

sheher ki gali mai paan ki dukaan
dev ne dekhi paaro ki haseen muskaan
patna thana asan dev ne khilaya paro ko paan
khaker paan paro boli shukriya bhaijaan...

zindagi rahoo mai jab agey jaogey 
ek saya humsa saath paoge
mudkar dekhoge to tanhayeeya hogi
mehsus karoge to hume bhi saath paoge....

ESK K MAJBUREYA BYA KYA KARTE.
UNSE DUREYA BYA KYA KARTE.
CHAND JO KHUD HE CHEP JAY BADLO ME.
DEDAR KO TARASNE WALE BYA KYA KARTE.

Itna na sata mohabbat me mere mahbub mujhe ke........
mohabbat ke naam se bhi mujhe kahi chid na ho jae....

Jholi faila ke manga tha use khuda se,
Par khuda ne meri fariyad suna nahi,
Jab bhi puchi mene wajahTo 
usne kahaQ chaha use jo tere liye bana nahi.

Dharmendra Shah Mohan dhaniywad..
lekin kuda de du karna meri fariyad sun le..

Ye jarori nahi ki koi bana ho kise ka liya kisi ko.
 apna bana kay liye kuch gavana padta hai

Njr ko njr ki njr se na dekho, 
njr ko njr ki njr lg jayegi, 
njr ko njr ki njr lg gi to, njr ko njr njr nahi aayegi

"The tree does not withdraw it's shade from the woodcutter.
 So, forgive those who hurt you. They will realize your worth one 

Na janne tum par itna yakeen kyu hai
Tera har aik khayal haseen kyu hai
Kehte hai pyar ka dard mitha hota hai
Phir ankh se nikla aansu namkeen kyu hai?

Nafrat Ki Aag Ko Mohabat Ke Lahoo 
Se Bujha Dena Fitrat Hai Hamari,
Ham Tu Wo Deewaney Hain,
Jinhen Kisi Ki Nafrat Sey Bhi Pyaar Hai.

Gale Lipte Hai Woh Bijli Ke Dar Se Ilahee Ye Ghata Do Din To Barse.
 Faraib-E-Aarzoo Mein Aa Na Jaau Na Daikho 
Tum Mohabbat Ki Nazar Se. 
 Na Chhede Humnashi Rudaad-E-Maazi Baras Jayenge
 Toofan Chashm-E-Tar Se.
 Mere Ghar Aaj Koi Aa Raha Hai Ilaahee Aasmaan 
Se Noor Barse. ' Sarapa Sher-O-Naghma Mah-O-Bul Ho
 Tumhe Dekhe Koi Meri Nazar Se. 
 Qamar Tum Ko Hum Hee Kuch Jante Hai Nazar Aate Ho Kaise Motabar Se.

chaha tha us ko rooh ki
gahraiyon k sath..
zinda hain apni zaat ki tanhaiyon k sath..
roka nahi us ko bicharny k
waqt b.. apni wafa py naaz tha 
sachaiyon k sath...

Usne toda Wo ta-alluq jo meri zaat se tha, 
usko ranj na jane meri Kis bat SeTha,
 be-talluq raha logo ki tarha wo bhi,
 jo acchi tarha wakif mere halaat se Tha.

Ye thandi hwa kya gajab kr gyi,
purani yaade fir taaja kr gyi,sukhi thi ye aankhe arse se,
fir kisi ki yaad inhe taaja kr gyi


Uski aarzu mera khuawb hai jiska rasta bhut 
khrab hai mere zakhm ka andaza na laga
 is dil ka har panna dard ki kitab hai....!

Sath roti thi mere sath hansa karti thi

                           

                                   Sath roti thi mere sath hansa karti thi 
Vo ladaki jo mere dil me basa karti thi,
ek lamhe ka bichdana gavara n tha, 
rote huye mujh ko khud se juda kiya karti thi 
mere dil me raha karti thi dhardkan ki taraha,
har saye ki taraha sath chala karti thi 
bat kismat ki h dost juda ho gaye ham 
dono u to vo mujhe apnai taqdir kaha karti thi

Woh jo auron ko btati hai jeenay k tariqe
khud apni muthi main meri jaan liye bethi hai........

use pyar karna nahi aata,
aur mujhe pyar ke siva khuch nahi aata. 
jine ke sirf ye do raste ,
ek unhe nahi aata aur ek mujhe nahi aata..............


Wo mere dar se ud ke jane lage, aur dil hi dil me muskarane lage,
sochte hui ik aur jakan de ke jane lage. 
unko malum nahi is dil par jakhmo ka saya hai. 
kyoki " Kaps" janta hai is duniya appna kuch nahi sab praya hai

Milne Tha itefak
Bichhdna nasib Tha,
wo itne dur ho gai....

Dard dene wale bahot milte hai
magar dardlenwale bahot kam milte hai
najuk waqt me hume yaad karne
Q ki dosti me jaan dene wale bahot kam milte hai

dosti mein had se gujar jayenge,
ye zindgi tere naam kar jayenge,
tu roya karega mujhe yad karke,
tere daman mein itna pyar chod jayenge...........

Kitna Bhi Mukhlis Ho Jaoun Kissi
Sy Bhi, Kho He Daita Hu Ussay .

Wajah Bn Kr Beach Meey Aksar
Kabhi Mera Mazhab Kabhi meri zaat ayi

Zindgi me aapki ahmiyat bata nahi sakte....
Dil me aapki jagah dikha nahi sakte....
Kuch rishte anmol hote hai.....
Isse jyada aapko samjha nahi sakte.........gud moring

Kuch Ehsason Ke Saye Dil Ko Chu Jate Hain,
Kuch Manzar Dil Mein Utar Jate Hain,
Bejan Gulshan Mein Bhi Phool Khil Jate Hain,
Jab Zindagi Mein Aap Jaise Dost Mil Jate Hain.

Jane kiss baat ki mujhko saja deta hai,
Meri hasti hui aankhon ko rula deta hai,
Ek muddat se khabar bhi nahi teri,
Koi is tarah bhi kya apne Pyaar ko bhula deta hai.

asamanko neend ayi to sulaou kaha
dharti ko mouth ayi to dafnaou kaha
sagar me leher ayi to chupaou kaha
aur teri yaad ayi to jaou kaha...

humne to salo tak unki innayat ki..,
ku6 is kadar humne tavajju a alphaj ki suruvat ki..,
na jane humne us bat me kya shararat ki..,
jake unhone sidhe is ki shikayat ki..,

zamane ne unse bat karne ki hume na ekbar izzazat di..,
zalim jamanene ek bar fir se mahobbat ko barbad ki...

Sunday, 3 July 2011

Sher Sunaata hoon zara ghor se suno,


Bhagwan kare tujhe bahut pyaar mile
sabhi ladkiyan tujhe baandhe rakhi
tujhe jeevan bhar ka unka saath mile.
Happy Raksha Bandhan.

Hamara ishq tha hi itna saccha,
ki scooter par lagta hi tha accha,
Jab milne unse jati thi,
To scooter par hi sapno ka ghar banati thi,
Sara din Delhi ki roads par scooter chalta tha,
aur Hamara ishq us scooter par hi chalta tha.
Magar un pyari batoon mein hum iss kadar kho jate they,
Ki Red light ko bhi paar kar jate they,
Fir aashiqui mein chaalan ho jata tha,
Jo thode bahut paise hote they,
wo bhi traffic police wala le jata tha.
Isliye dosto agar GF ko ghoomane jayo
To driving licence apni jeb mein jaroor le jayo…

Mere Dost Tum Bhi Likha Karo Shayari
Tumhara Bhi Meri Tarah Naam Ho Jayega
Jab Tum Par Bhi Padenge Ande Aur Tamatar
To Shaam Ki Sabji Ka Intajaam Ho Jayega…

Door se dekha toh ek sher tha …
Door se dekha toh ek sher tha …
Door se dekha toh ek sher tha …
isliye paas gaya hii nahi ..

Yeh exam ke rishte bhi ajeeb hote hai,
Sab apne apne naseeb hote hai,
Rahte hai jo nigaho se duur,
Saale wahi question compulsary hote hai.

Khayal ko kissi aahat ki aas rehti hai,
Nigah ko kissi soorat ki talash rehti hai,
Tere bin koi kami toa nhi hai dost,
Bass gali waali jamadarni udhas rehti hai…
`
Jab bhi hota hain deedar,
dil dhadakta hai baar baar,
par yeh sochkar kehte hain,
ki kab chukaaoge mera uddhaar…
`
Humne bhi kabhi pyar kiya tha,
thoda nai besumar kiya tha,
dil tut kar reh gaya,
jab usne kaha,aree Maine to Majak kiya tha…
`
Sher Sunaata hoon zara ghor se suno,
Main Sher Sunaata hoon zara ghor se suno,
Ja mein nahi sunata kisi our se suno …
`
Jawani ke din chamkile hon gaye,
husn ke tever nokile ho gaye,
faisla lene me itne dhile ho gaye,
ki unke haath peele ho gaye….
`
Wo chham chham kar ke aayi
wo chham chham kar ke chali gayi
main sindoor le kar khada tha
wo rakhi bandh kar chali gayi..
`
Log ruthkar rah jaatein hai,
Dil ki baat dil mein daba jaate hain,
Zamana teji ka hai,
Phir kyon nahin aeroplane si udaan bharte hain!
Kalam se khat par leekh kar kabootar udaana hua ab poorana,
Sonchtein hain yeh to zamana hua deewana!
`
Pani Main Tairna machali ka style
Hawa me udna panchi ka style
Different msgs bhejna FANNAH ka style
Fukat ka msg padhna aur fwd karna aapka style .
`
Kehne ko toa kichar me bhi ham kamal khila de ,
Magar kuch soch ke ruk jaate hain .
Tum kanto me jeene ki baat karte ho,
Hum to kaanto ko bhi phool bana dete hain.
`
Usne mehndi laga rakhi thi ,
Hamne uski doli utha rakhi thi ,
Hame maloom tha ke vo bewafa niklegi ,
Isliye hamne uski behen pata rakhi thi….
`
Kya hua jo usne racha li mehndi,
Hamm bhi aab sehra sajayenge,
Mujhe ptta tha ke vo aapne naseeb main nhi hai,
Ab uski chotti behen ko fasayenge…..


Dil se kabhi mujhe yaad kiya karo,
Itna gair na samjho call nahi toa atleast
Miss call toa kar liya karo

Zindagi mein tum iss tarah jaise ki bahar aayi
Pyar iss tarah kiya ki gulzar aayi
Khush hum aise huae ki jaise basant ki fuhar aayi
Tumne dhokha iss tarah diya ki dil mai heartattack aayi

Socha tha har modd pe tumhara intezar karenge,
Socha tha har modd pe tumhara intezar karenge,
Magar kambakhat sali sadak hi seedhi nikli.

Itna khusnasib to hum na the
Hamari taqdia mai sitam kam na the
Fir kyo hum kuda ko itna bha gye
ki Banakar Dost aap Hamare zindgi me aa gaye

Shayar hoon arj karta hoon shayari
Sunlo itni bhi nahi hi buri
Varna murder kardoonga mere paas hai churi…

Yeh exam ke rishte bhi ajeeb hote hai,
Sab apne apne naseeb hote hai,
Rahte hai jo nigaho se duur,
Saale wahi question compulsary hote hai.

Gaa toh hum Bhi sakte hai,
Agar awaaz hot toh.
Baja toh hum bhi sakte hai,
Agar Saaz ho toh.
Kaun kehta hai Tajmahal Shahjahan ne Banaya,
Bana toh hum bhi sakte hai,
Agar Mumtaj ho toh…





Urdu Ki Pehli Book 19472008




urdu ki pehli book?1947
Alif?An?ar
by?.Bakry
py?.Pankha
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
urdu ki 1st book 2008.
Alif?Aataa
by?.Bijli
py?.Petrol


What Is Bba



Papa- Beti 12th K Bad Kya Karogi??
Beti- B.B.A Karungi!!
Papa- What Is Bba.
Beti- Boyfriend Ki Bike Par Aish


India Me Ek Ajeebogareeb Sms Hai



India me ek Ajeeb-o-Gareeb SMS hai,
Bolta B hai
Chalta B hai
Khata B hai
Monchen hen us ki
Pagri pehnta hai
Naam hai uska?
S=Sardar
M=ManMohan
S=Singh;-)


Ye Sb Kuch Sirf Ap Kelie Lekha He



Ye sb kuch sirf ap kelie lekha he.

A.acha he tu.
B.bawafa he tu.
C.chahat wala hetu.
D.durd wala hetu.
E.end of to my life he tu.
F.frnd is very god he tu.
G.gosh.e.dil he tu.
H.hussin.e.jahan he tu.
I.inam.e.dil he tu.
j.jiger gosha hetu.
k.kitab.e.dil he tu.
L.lugt.e.ishiq he tu.
M.mosin.e. Zindgi he tu.
N.nazr.e.karam he tu.
O.out of enyme he tu.
P.peyar ka bani he tu.
R.resarh of love he tu.
S.shoq.e .ishiq he tu.
T.talb.e.husin he tu.
U.umeed.e.dil he [...]


Fuck Originally Means



STRANGE BUT TRUE:-
In ancient times, in England before people havin sex, they needed sp?ci?l permission 4m d king. Pple who got permission used to hang a playcard on their door which said:
?Fornication
Under
Consent of
King?
Thats F. U. C. K. for short.
Now U know where that cute word came from..?


Father Means




Father Means

F= Forever With His Family
A= Always There For You No Matter What
T= The Only One Who?s There
H= He?s My Hero Till The End
E= Encouraging In Everything I Do
R= Really The Only One?
No One Can Beat Him He?s The Best!!!


Its My Last Msg to U



L =====
O =====
V =====
E =====
L=loss of money.
o=out of mind.
v=vaste of time.
e=end of life.
So don?t LOVE.
Only line maro?.


Dont Loveonly Line Maro



L =====
O =====
V =====
E =====
L=loss of money.
o=out of mind.
v=vaste of time.
e=end of life.
So don?t LOVE.
Only line maro?.


Different Things With Explanation



School: A place where Papa pays and Son plays.
Life Insurance: A contract that keeps you poor all your life so that you can die Rich.
Nurse: A person who wakes u up to give you sleeping pills.
Tears: The hydraulic force by which masculine willpower is defeated by feminine waterpower.
Lecture: An art of transferring information [...]


Islam Stands For



?ISLAM? stands for:
I = I
S = Should
L = Love
A = Always
M = Muhammad (S.A.W)


Emergency Mubarak



”Pakistan means”
P=Pistol
A=Atom bomb
K=Khud kash hamla
I=ilm ki kami
S=Sarko pe pani
T=Trafic jam
A=Awam Helpless
N=No election

“Emergency mubarak”


Do You Know the Meaning of Wife



Husband asks: Do you know the meaning of WIFE? It means?
Without Information, Fighting Everytime!
WIFE says: No darling , it means :-
With Idiot For Ever


S M S Doesnt Mean



S . M . S Doesn’t Mean
“Short Messaging Servie”.

It Only Means
“Sweet . Memories . Shared”

Wid A Special, Loving, Caring & Sweet Person Lyk You :->


Nwfp Ka Kya Matlab Hai



pathan interview denay gaya us se pocha gaya ke NWFP ka kya matlab hai?

Pathan ne jawaab diya:

N=no

W=women

F=for

P=pathan. ! ! !