affiliate marketing Hindi Urdu Sher O Shayari And SMS: Agar Yaad Tumko

Friday 24 June 2011

Agar Yaad Tumko


Agar Yaad Tumko

Agar yaad tumko na rahe apna janmdin
Check karte rahna yunhi apne mobile ke inbox hardin
Main kabhi na bhulonga apne yaar ka janmdin
Chahe woh ho mera akhri din
Aapko jaroor mera yeh msg. milega
Jispe likha hoga ” mubarak ho aapko aapka jamdin”

Kaise Karoon Shukriya

Khuda kaise karoon shukriya iss din ke liye
Jis duniye tumhe dharti pe bheja hamare liye
Naa jaane kyon main intezaar kar raha tha
Shayad janmdin hai tumhara iss liye
Meri har ek dua hai teri lambi umr ke liye
Dil khud jaanta hai tu na ho dhadkega kis k liye

Teri Umar Mein

Aa teri Umar mein likh du chand sitaaro se
Tera janam din mein manau phoalo se bahaaro se
har ek khubsurti duniya se mein le aau
Sajaau yeh mehfil mein har haseen nazaaro se

Tohfa e dil

Tohfa-e-dil de du ya de du chand taare
Janam din pe tujhe kya du yeh puche mujh se saare
Zindagi tere naam kar du bhi toh kam hai
Daaman mein bhar du har pal khushi ka mein tumhare

Dua Hai Ki

Dua hai Ki Kamyabi ke har sikhar pe aap ka naam hoga,
Aapke har kadam par duniya ka salam hoga,
Himmat se mushkilon ka samana karna hamari dua hai,
Ki waqt bhi ek din aapka gulam hoga. Happy Birthday

Aapke Janamdin Par

Hum aapke janamdin par dete hain yeh dua
Hum aur tum milkar, honge kabhi na juda
Jivan bhar sath denge apna he ye vaada
Tuj par apni jaan bhi denge, apna he ye irada

Janam Din Mubarak Ho

Tohfa-e-dil de doon ya de doon chand tare
Janam din pe tujhe kya doon ye poche mujh se sare
Zindgi tere naam kar doon bhi to kam hahi
Daaman mein bhar doon har pal khushi ko main tumhari..

Janmdin Mein

Phoolon ki sugandh se sugandhit ho jeevan tumhara
Taron ki chamak se sammilit ho jeevan tumhara
Umr aapki ho suraj jaisi
Yaad rakhe jise hamesha duniya
Janmdin mein aap mehfil sajayein aap aisi
Subh din ye aaye aapke jevan mein hazaar baar
Aur hum aapko ”Janmdin Mubarak” kehte rahein har baar..

No comments:

Post a Comment