affiliate marketing Hindi Urdu Sher O Shayari And SMS: Pyar ka rang

Friday 24 June 2011

Pyar ka rang


Pyar ka rang

pyar ka rang holi se bhi gehra hota hai
do pyar karne walon ka joda sabse nyara hota hai
jo pyar ka dhaga ek baar toot jaye
to unka dubara judna namumkin hota hai

Ek na ek shamma

Ek shamma andhere mein jalaye rakhna,
Subha hone ko hai mauhaul banaye rakhna,
Kaun jane wo kiss gali se guzre,
Har gali ko phoolo se sajaye rakhna!

Patthar ki iss duniya main

Patthar ki iss duniya main
Sheeshe kay dil aksar toot jaya karte hai,
Aye dost, aankhe sambhalkar band karna,
Kyonki palkon ke beech bhi aksar khwab mit jaaya karte hai

Mohabat ke bina

Mohabat ke bina zindagi fizool hai
Par mahobat ke bhi aapne ussol hai
Kehte hai milti hai mohabbat mein bahut ulfaate
Par aap ho mehboob toh saab kubul hai…

Zufain Teri

Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main
Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan

Yeh Nadani

Hui hum se yeh nadani,
Kay teri mehfil mein aa baithe
Ho kay zameen ki khakh
Aasman se dil laga baithe
Dil si cheez hai, dene ko hai de day
Magar koi qabeel bhi to ho
Hum to jaan de kay bhi khush hain
Magar koi qateel bhi to ho…

Ashq Mile Toa

Ashq Mile Toa Pee Lete Hain
Aap Kahe Toa Mar Jayen Hum
Aap Kahe Toa Jee Lete Hain
Hum Toa Hain Un Phoolon Jaise
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain

Sath Agar Tera Hamen

Sath agar tera hamen mil gaya hota,
Parwah jamane ki hum hargiz na karte.
Pahle jo jaan jate aanjamien-mohabbat,
Khuda ki kasam! Hum phir mohabbat na karte…..

Pyar Ka Tohfa

Pyar ne ye kaisa tohfa de diya
Mujhko gumo ne pathar bana diya
Teri yaadon main hi kat gayi ye umar
Kehta raha tujhe kab ka bhula diya..

Apni Aakhon Ke

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De…

No comments:

Post a Comment