Saath hamara
Saath Humara pal bhar ka sahi
par woh pal aise jaise koi kal nahi
rahe zindagi mein shayad phir milna humaara
par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi
Teri bewafai se wafa
jiske deedaar ko tarasti thi ye nazre
jiski yaad me chup chup ke rote the
jiske liye fanna hue dil-o-jaan se
jiske liye sapne sanjote the
aaj wahi aks dil ko dard deta hai
aaj wahi yaadein seene me chubhti hai
aaj wahi ishq pe taras aata hai
jisme ham deewaane hue phirte the
Pehli mulakat
Pehli Mulaqat me kuch aisa hua ehsaas
ki hum byaan bhi na kar paaye
aakhri mulaqat me kuch to kehna hi tha unse
yehi sochte hue unhe tanha chhod aaye
Dard Jub Tera Paas Hota Hai
ReplyDeleteAshk Palkon Pe Yu Machalte Hai
Jaise Barkha Se Bheenge Jangal Mein
Kaafile Jugnuo Ke Chalte Hai..
`