affiliate marketing Hindi Urdu Sher O Shayari And SMS: April 2011

Saturday 30 April 2011

Ajeeb sa dil me ek ehsaas hai…


Ajeeb sa dil me ek ehsaas hai…
Lagta hai milne wala tohfa kuchh khas hai…
Na khel iss dil se iss kadar ae khuda…
Aaj bas me nahi hamare jazbaat hain…
Kabhi lagta hai dur hai to kabhi lagta paas hai…
Mausam me na jane kya baat hai…
Dil jhoom uthta hai achanak aise…
Jaise koi har waqt dil ke paas hai…
Na khel iss dil se iss kadar ae khuda…
Aaj bas me nahi hamare jazbaat hain…
Shayar ban baithe hai yuhi ya isme bhi koi baat hai…
Dil nahi samajhta jane kya raaz hai…
Koi bata de hume zara…
Uljhan yeh din raat hai…
Na khel iss dil se iss kadar ae khuda…
Aaj bas me nahi hamare jazbaat hai…



Aaj Mujhe Ek Gunaah Karne Do,
Mujhe Tum Apne Aap Mein Khone Do,
Apne Aapko Meri Aagosh Mein Karke,
Mujhe Pariyo Ke Des Mein Khone Do,
Apni Chudiyon Ki Khan Khan Se
Mere Kaanon Mein Ras Gholne Do,
Apne Lambe Kaale Baalon Se
Ek Ghata Sawan Hone Do,
Apne Honthon Se Phir Mujhe
Ek Ghunt Jaam Pine Do,
Apni Muskurahat Se Phir Ek Seher Hone Do,
Apne Dilki Dhadkan Ko Aaj Betartib Hone Do,
Aaj Maine Teri Aankhon Mein Phir Dekha Hai Apne Aapko,
Na Band Karna Ye Palkein Kuch Der Ke Liye To Apna Hone Do,
Aaj Mujhe Ek Gunah Karne Do,
Mujhe Tum Apne Aap Mein Khone Do…

Kaash hamein bhi kisi pari se pyar ho jaaye................



Kaash hamein bhi kisi pari se pyar ho jaaye,
Chahe phir hamari zindgi hi kyun na bekaar ho jaaye,….
Uski yaadon me har pal main khoya karoonga,
Khud se bhi zyada pyar main use kiya karoonga,
Aaj akela hi hoon main ek sitara,
Kal chaar-chaand ho jaaye,….
Kaash hame bhi kisi pari se pyaar ho jaaye,….
Main tanha na bhir raha karoonga,
Na khud sounga na use sone diya karoonga,
Yara khwabon me hi sahi deedaar to ho jaaye,
Kaash hame bhi kisi pari se pyar ho jaaye,….
Doosroan ko dekh kar aata hai ye khayal mujhe,
Kya mera bhi sapna kabhi poora hoga,
Mujhe chahane wala bhi kya kabhi dooja hoga,
Ek baar jeet jaaun chahe phir haar hi kyun na ho jaaye,
Kaash mujhe bhi kisi pari se pyar ho jaye,…..
Haalaat aise hain ke na shauk poore hote hain, na tawajjoh kisi baat par,
Doston ki maashook se bhi aata hai maza har mulaaqaat par,
Ab nahi hota hai sabr, ham par bhi koi bas jaan-nisaar ho jaaye,
Kaash mujhe bhi kisi pari se pyar ho jaaye.,.,

Kyon khush ho jata hun main...............


Kyon khush ho jata hun main
tumhari khushi dekhke
kyon ho jaata hun main hataash
tumhein udaas dekhke…

Chahak sa uthta hun main kyon
jab milne ki baari aati hain
par kyon milne baad ghanto
neend nahi aati hain…

Aankhein band karne se kyon
yaad tumhari aati hain
par jab khulti hain toh
kyon phir tu samne aati hain…

Aanso tere tapakte hain
to main kyon sisakta hun
jara si tu hasti hain
toh main kyon nikharta hun..

Jab bhi dekhta hun tumhe
bas yeh sochta hun
pucho tumse ya tumse kahun
rakhun dil mein ye baat ya keh dun…

Sun jara bas itna bata
Main aisa kyon hun
Main aisa kyon hun…

Jab Tumhare Dil Mein Mere Liye Pyar Umad Aaye


Jab Tumhare Dil Mein Mere Liye Pyar Umad Aaye

Aur Woh Tumhari Aankho Se Chalak Sa Jaye.

Mujhse Apni Dil Ke Baaten Sunane Ko

Yah Dil Tumhara Machal Sa Jaye.

Tab Ek Awaz De Kar Mujhko Bualana

Diya Hai Jo Pyar Ka Vachan Sajan

Tum Apni Is Preet Ko Nibhana

Tanaha Raaton Mein Jab Sanam

Neend Tumhari Uad Si Jaaye.

Subeh Ki Laali Mein Bhi Mere Sajan,

Tumko Bas Akas Mera Hi Nazar Aaye.

Chalati Thandi Hawa Ke Jhonke

Tu mere naseeb mei nahi hai !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!



Tu mere naseeb mei nahi hai,
par phir bi tere laut aane ki umeed baaki hai,
pyar krke bi tjhe pyr kar na sake,
par phir bi tjhe pyr krne ki umeed baaki hai,
tmne thukra diya aaj mere pyar ko,
par tere pyar ko hum thukra na sake,
tere apnane ki umeed aaj bi is dil mein baaki hai,
ye jaan to kab ki is jism se juda ho chuki hai,
bas is jism ki ruth jaane ki umeed baaki hai


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Mera har sher usi se mansub ho ye zaruri to nahi
Mere halaat ke zimmedar kayi aur bhi hai
Ye maante hai hume ishq ek tujhi se hai
Tere shaher me hamare sanaa khwaa kayi aur bhi hai
Saqi gar ek khafa hai humse to koi baat nahi
Es basti mein mainkhane kayi aur bhi hai
Ishq hi nahi hai rog duniya mein la-ilaaj
Yaha aise hazaro marzat kayi aur bhi hai
EK tere sabab nahi hai kaleja mera zakhmi
Es jurm mein khatakaar kayi aur bhi hai
Choti choti baato pe yu mayus hona thik nahi
Daman e ziist mein mushqilaat kayi aur bhi hai
Ek nazar es kaasah e gadaai pe bhi ho ya rab
Janti hu teri duniya mein kangaal kayi aur bhi hai

Hasrat Use Bhi Thi !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Dekha palatt k maine, hasrat ussay bi thi
Hum jiss par mitt gaye thay, MUHABBAT ussay bhi thi


Chup ho gaya tha dekh kar woh bhi idher udher
Duniya se meri tarah shikayat ussay bhi thi


Ye soch kar andheray ko galay se laga liya
Raaton ko jaagnay ki aadat ussay bhi thi


Woh roo parha tha mujh ko pareshan dekh kar
Us din bhola k meri zaroorat ussay bhi thi


Un pathron k saath nibhaani padi ussay
Jin se nafrat mujhe thy, nafrat usay bhi thi


Galib Ki Dard Bhari Shayari.................

Ye jo ham hijr me.n diivaar-o-dar ko dekhate hai.n
kabhii sabaa ko kabhii naamaabar ko dekhate hai.n
vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii kudarat hai
kabhii ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hai.n




Ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar ‘eitabaar hota


Gair lei.n mehfil mei.n bose jaam ke
ham rahe.n yu.n tashna-alab paigam ke
Khat likhe.nge garche matlab kuchh na ho
ham to aashiq hai.n tumhaare naam ke
ishq ne ‘Ghalib’ nikammaa kar diyaa
varnaa ham bhi aadmi the kaam ke


Fir kuchh is dil ko beqaraaree hai
seena zoya-e-zaKHm-e-kaaree hai
Fir hue haiN gawaah-e-ishq talab
ashq_baaree ka hukm_zaaree hai
be_KHudee be_sabab naheeN ‘GHalib’
kuchch to hai jiskee pardaadaaree hai….


Har ek baat pe kehte ho tum ke ‘too kya hai’ ?
tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?
yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?
chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb [...]


Har baat par kehte ho tum ke tu kya hai
Tumhi batao yeh andaz-e-guftgu kya hai
ragon mai daudane ke ham nahi kayal
jo aankh hi se na tapka woh lahu kya hai
Nukta chii hai gam e dil,ke sunaya na bane
kya baat bane wahan,jahan baat banye na bane?.
ishq par zor nahi hai yeh woh attish galib
jo lagaye na [...]




Na Tha kucH to Khuda tha, Kuch na hota to Khuda hota
dubooYa mujhKo hoNi ne, na hota maiN to kya hota
hua jub Gam se Yun beHis, to Gum kya sar ke katNe ka
gar juda na hota tan sE, to zannon pur dhara hota
huI muddat ki Ghalib mar gaya, puR yaaD Aata hai
woh har ek baat [...]


Hathoan ki lakiroan pay mat ja ai Galib
Naseeb un k bi hote hain jin k hath nehen hote


Her aik bat pe kehtey ho tum k tu kia he
tumhee kaho k ye andaaz-e-guftugoo kia he
jalaa he jism jahan, dil bhi jal gaya ho ga
kureydte ho jo ab raakh, justujoo kia he ?!?!?
ragon me dourrte phirne k hum nahi qayell
jo aankh hi se na tapka to phir lahoo kia he


Peenay dai sharab masjid main baid kay Galib
Ya woh jaga bata jahan KHUDA nehen hai !!!!




Huyi Muddat Ke Ghalib Mar Gaya Par Yaad Aata Hai
Har Ek Baat Pe Kahna Ke Yun Hota To Kya Hota


Unke dekhe se jo aa jaatee hai munh par raunaq
woh samajhte hain ke beemaar ka haal achcha hai




Go haath mai junbish nahi, aankho mai to dam hai
rehne do abhi saaghar-o-miina MERE aagay




Nikalna khuld say aadam ka sunte aaye hain lakin
Bohat bayabroo ho kar teray kochay say hum niklay


Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay
Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay
Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana
Aisay Main Kahan JaoGi Barsaat Bohot Hay
Wo Kehne Lagi Jana Mera Bohot Zaroori Hay
Nahi Chahti Dil Todun Tera Par Majboori Hay
Gar Hui Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena
Maine Kaha Ho jao Chup [...]


Saray raah jo unsay nazar mili…
To Naksh dil kay ubhar gaye…
Hum nazar mila kar jhijag gaye…
Vo Nazar jhuka kar chale gaye…


A ki meri jan mein qarar nahi hai
taqat-e-bedad-e-intazar nahi hai
dete hain jannat hayat-e-dahar ke badle
nasha ba andaza-e-Khumar nahi hai
giriya nikle hai teri bazm se mujh ko
haye! k rone pe ikhtiyar nahi hai
ham se abas hai guman-e-ranjish-e-khatir
khak mein ushshaq ki gubar nahi hai
dil se utha lutf-e-jalwa haye mani
gair-e-gul aina-e-bahar nahi hai
qatl ka mere kiya hai ahad [...]




Ah ko chahiye ik umr asar hone tak
kaun jita hai teri zulf k sar hone tak
dam har mauj mein hai halqa-e-sadkam-e-nahang
dekhen kya guzare hai qatre pe gauhar hone tak
ashiqi sabr-talab aur tamanna betab
dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak
ham ne mana k taaful na karoge lekin
khak ho jayenge ham tum ko khabar hone tak




Aina kyun na dun k tamasha kahen jise
aisa kahan se laun k tujhsa kahen jise
hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein
guldasta-e-nigah suweda kahen jise
phunka hai kisne goshe muhabbat mein ai Khuda
afsun-e-intazar tamanna kahen jise
sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye
wo ek musht-e-khak k sahra kahen jise
hai chashm-e-tar mein hasrat-e-didar se nihan
shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise
darkar hai shiguftan-e-gul ...................




Amad-e-khat se hua hai sard jo bazar-e-dost
dud-e-shama-e-kushta tha shayad khat-e-rukhsar-e-dost
ai dil na aqabat andesh zabt-e-shauq kar
kaun la sakta hai tab-e-jalwa-e-didar-e-dost
khana wiransazi-e-hairat tamasha kijiye
surat-e-naqsh-e-qadam hun rafta-e-raftar-e-dost
ishq main bedad-e-rashq-e-gair ne mara mujhe
kushta-e-dushman hun akhir garche tha bimar-e-dost
chashm-e-may raushan k us bedard ka dil shad hai
dida-e-pur-khun hamara sagar-e-sar-shar-e-dost






Bahot sahi gam-e-geti sharab kam kya hai
gulam-e-saqi-e-kausar hun mujhko gam kya hai
tumhari tarz-o-rawish jante hain ham kya hai
raqib par hai agar lutf to sitam kya hai
sukhan mein khama-e-Galib ki atashfashani
yaqin hai hamko bhi lekin ab us mein dam kya hai






Aas k dushwar hai har kam ka asan hona
admi ko bhi mayassar nahi insan hona
giriya chahe hai kharabi mere kashane ki
dar-o-diwar se tapak hai bayaban hona
wa-e-diwangi-e-shauq k har dam mujh ko
ap jana udhar aur ap hi hairan hona
jalwa azbas k taqaza-e-nigah karta hai
jauhar-e-aina bhi chahe hai mizagan hona
ishrat-e-qatlgah-e-ahal-e-tamanna mat puch
id-e-nazzara hai shamshir ka uriyan hona
le .............




Bazicha-e-atfal hai duniya mere age
hota hai shab-o-roz tamasha mere age
ik khel hai aurang-e-suleman mere nazdik
ik bat hai ejaz-e-masiha mere age
juz nam nahi surat-e-alam mujhe manzur
juz waham nahi hasti-e-ashiya mere age
hota hai nihan gard mein sehra mere hote
ghista hai jabin khak pe dariya mere age
mat puch k kya hal hai mera tere piche
tu dekh k kya

Thursday 28 April 2011

Hindi Husband Wife Jokes

TV Vs. Biwi Joke in Hindi

Jitne channel Tv ke,
Utne nakhre Biwi ke,
Tv chalta hai remote se,
Biwi chalta hai Note se.

Wife Vs. Saali joke in Hindi

What is the difference between wife & saali?
Saali is Beauty,
Wife is duty,
Saali is passion,
Wife is tension,
Saali is patakha,
Wife is sayapa,
Saali is cool,
Wife is fool,
Saali is tuty-fruity,
Wife is qismat futi, Saali is fresh cake,
Wife is earth quake…

Hindi Wife - Begum Joke

Wife ko begum kyon kehte hai?
Ans: Kyonki shadi ke baad sare gum to husband
se hisse mein aate hai,
aur biwi Be-Gum ho jai Hai!!!

Hindi Husband Joke

Different roles of Man in life:
Sagai ke samay superman,
Shadi ke samay Gentleman,
10 saal baad watchman,
20 saal baad Doberman.

Who is Biwi Joke?

Biwi vo hoti hai jo,
Shaadi ke baad apne pati baad apne
pati kisari aadadto
kobadal deti hai,
aur baad me kehti hai ki,
"aap pehle jaise nahi rahe".

Shaadi Hindi Joke

Shadi ke pehle maine pyar kiya.
Shadi ke baad ye maine kya kiya?
Shadi ke pehle Dil to Pagal Hai.
Shadi ke baad dil to pahal tha!

"S" Hindi Joke

Hum ne zindagi ki shuruaaat 'S' se ki.
S se Suraj, S se Subah, S se Swagat, S se saaz, S se Sangeet.
Par Fir 'S' se Samay ne aisi karwat badli Ki 'S' se hamari Shadi ho gai.
Aur fir jeevan ka arth 'S' se Saans,
Sasural, Sala, Sali, Sasur aur 'Sankat' ho gaya.

Super Husband Wife Joke in Hindi

Sagai Hui... Shadi Hui... 
Biwi Ghar Mein Aayi...
Ghar Swarg Ban Gaya...
Aur main "Swargwasi"...

Husband Vs. Wife Hindi Joke

Shaadi par wife boli:
Aaap mere prannath aur mein apke charno ki dasi.
Shaadi ke baad woh ho Gaya Charandas aur,
woh ho gayi prano ki pyaasi.

Poor Wife Joke

Wife: Shadi ke pehle to tum mujhe rof gift diya karte they,
ab kyun nahi dete?
Husband: Machhali pakdne ke baad bhi kya koi chara dalta hai!

Pati Patni Joke in Hindi

Patni: Kaash tum aise SMS hote jise
Main Zindagi bhar save karke rakhti!
Pati: Air kaash tum
aisi ringtone hoti jise
main har hafte badal sakta.

Hindi Stupid husband Joke

Wife: Main galti se khane ke saath rumal bhi kha gai
Husband: Konu baat nahi, apna bachcha aayega to "pagdi" pehan ke aayega!

Another Husband Vs. Wife Joke in Hindi

Husband apni Wife se (suhagraat ko):
Darling apna chand sa chehra to dikaho...
Chehra dekte hi husband bola:
Arey tumhare chehre par to kale dhabbe or gadde hai,
tumhare maa baap ne mujhe dhoka diya hai.
Wife: Darlin nayi khojo se chand ka yahi roop samne aaya hai.

Stupid Biwi Joke

Achii aur buri biwi mein kya farq hai?
Answer: Kya matlab?
Biwiyaan achii bhi hoti hai kya?!

Biwi Vs. Sali Joke

Biwi aur saali main kon zyada achi hoti hai?
Answer: Saali behtar hai.
Kaash woh biwi ke bagair mil sakti.

Watch Vs. Wife Joke

Whats the diff btween Watch and Wife?
Ek kharaab hoti hai to band ho jaati hai aur
doosri kharab hoti hai to chaloo ho jati hai

Hindi Joke

Wife: Agar main mar jaun to tum kya karoge?
Husband: Shayad main mar jaunga.
Wife: Kyon?
Husband: Kabhi kabhi zyada kushi janleva hoti hai.

Biwi Hindi Joke

Ek aadmi apni biwi ka antim sanskar karke ghar ja raha tha.
Achanak bijli chamki, badal garje,
jor se barish start ho gayi.
Dukhi aadmi: Lagta hai pahunch gay!

Marriage Broker Joke

Marriage Broker: Tumhe kaisi biwi chahiye?
Man: Mujhe chand jaisi biwi chahiye,
jo raat ko aaye aur subha chali jaye!

Another Husband and Wife Hindi Joke

Husband wife ki godh mein leta hua thaa.
Wife: Kaisa lag raha hai ji?
Husband: Aise jaise Bhagwan Vishnu shesh naag ki Godh mein lete hon.

Husband, Wife and Beggar Joke

A beggar- ‘Oh sundari ! Andha hoon.
Sawa paanch rupya de de..
“Husband said 2 his wife- De de, tujhe
sundari bola hai to har haal mein andha hai…”

Monday 25 April 2011

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Dub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sochta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De…
`
Aarzoo jhooth hai,
Aarzoo ka fareb khana nahi ..
Khush jo rahna ho zindagi me tumhe..
Dil kabhi kisi se lagana nahi.
`
Ek pal mein jo aa kar gujar jaaye
yeh hawa ka woh jhoka hai ..aur kuch nahi
Pyar kehti hai duniya jise,
ek rangeen dhokha hai .. aur kuch nahi..
`
Asmaan bhi baras raha hai,
Mere Ashko se takra raha hai,
Kisme hai jor jyada shayad yeh dekh raha hai,
Barsaat to phir bhi ruk jayegi,
Mere Ashko ka koi anth nahi,
Dil me hai dard itne jiska koi hisaab nahi…
`
Ya khuda maaf karna tere is gunehgaar bande ko,
Jo tumhari chamatkaar me dakhil hota hai,
Sirf ye poochne ke liye aaya hu mein,
Ke kyun har raat tanhai mein mera dil rota hai…



Jab Yaad Tumhari Aati Hai,
Dil Khun Ke Aansu Rota Hai,
Yeh Dard Denewala Kya Jane,
Dil Ka Dard Kaisa Hota Hai.
`
Hume Jeene Nahi Deti Hai Ye Gujari Huyi Yaadein
Hamse Bhooli Nahi Jati Hai Ye Biti Huyi Baatein
Ab Kaise Kahein Ham Tumse Ye Dost Teri Baatein
Hame Har Pal Yaad Dilata Hai Teri Har Chhoti Chhoti Baatein.
`
Mat Poocho Ke, Kitna Aapko Yaad Karte Hai
Itna Ke, Har Saans Ke Bad Karte Hai…
Kisi Din Lekar Aaye, Tumhe Hamare Samne
Bas Yahi Khudha Se, Fariyad Karte Hai…
`
Doorian Bahut Hai Par Itna Smajh Lo,
Pass Rahkar Hi Koi Rishta Khas Nahi Hota,
Tum Dil Ke Pas Itne Ho Ki,
Dooriyon Ka Ehsaas Nahi Hota.
`
Raat Ke Andhere Mein Sara Jahan Sota Hai,
Lekin Kisi Ke Yaad Mein Ek Dil Rota Hai,
Khuda Kare Ki Kisi Par Koi Fida Na Ho,
Agar Ho To Maut Se Phele Juda Na Ho.
`
Yaad Me Teri Aahe Bharta Hai Koi
Har Saans Ke Saath Tujhe Yaad Karta Hai Koi
Maut Sachai Hai Ek Roj Aani Hai
Lekin Teri Judaai Me Har Roz Marta Hai Koi
`
Karoge Yaad Ek Din Saath Beete Zamane Ko
Chale Jaayenge Jis Din Hum Kabhi Wapas Na Aane Ko
Karega Mehfil Mein Zikr Hamara Koi To,
Chale Jaaoge Tanhai Mein Aansu Bahane Ko.
`
Karoge Yaad Ek Din Tum Dosti Ke Zamane Ko,
Chale Jayenge Jis Din Hum Kabhi Na Wapas Aane Ko…
Chedega Mehfil Me Zikar Hamara Koi,
Toa Chale Jaoge Tum Tanhai Mein Aansoo Bahane Ko..



Ijzaat Hai Tumhain Chhor Kar Janey ki Mujhe Janaa!
Jatey Lamhe Khuda K Liye Rukh Se Naqaab Na Hatana.
`

`
Kabhi Yaad Aye To Ek Baar Kehna.
Kabhi Aansu Ban K Ankhon Se Na Behna.
Dost Na Sahi To Ajnabi hi Rehna.
Per KABHI ALVIDA NA KEHNA.
`
Woh Umar Bhar To Sath Na Nibha Saka Mera Faraz….
Han Yaad Ban K Kabhi Usne Mujhe Tanha Nahi Chora.
`
Most Touching Lines said During a Break Up….
‘Chal Oye Meray Gift Wapis Kar…!’ :-)
`
Dil Ki Dharkanoo Ko ik lamha saber nahi,
Shayad k us ko ab meri kader nahi,
Her safer mein mera kabhi hamsafer tha woh,
Ab safer to hai mager wo hamsafer nahi.!
`
Raat Gehri Thi Darr Bhi Saktay They.
Hum Jo Kehte Thy, Kar Bhi Saktay They.
Tum Jo Bichray To Ye Nahi Socha….
Hum To They TANHA, Marr Bhi Saktay They.
`
Sapnay dekhe bhi nahi aur Toot gaye,
Woh humain milay bhi nahi aur Rooth gaye,
Hum jagtay rahy aur sari Dunya soti rahi,
Ek barish thi jo humaray sath roti rahi.
`
Jab tak lafz wazu nahi karte,
Hum aapki guftagu nahi karte,
Kuch dil ka rishta aisa hai ap se,
Jis dua mein ap na hon,
Hum aisi dua nahi karte…
`
Meri her mangi hoi dua bekaar gayi ”ENAM”.
Janay Kis Shaks ne Chaha tha bari shiddat se Ussay.
`
Shayed k main kamzor par jata us aakhri mulaqat mai.
‘Dost’
Wo to barish ki mehrbani thi jis ne chupaye aansu mere….,!



Jis Din Se Juda Woh Humse Hue,
Is Dil Ne Dhadkna Chhor Dia,
Hai Chand Ka Munh Bhi Utra Utra,
Taaron Ne Chamakna Chhor Dia.
`
Tamanna Se Nahi Tanhai Se Darte Hain,
Pyar Se Nahi Ruswaai Se Darte Hain,
Milne Ki To Bohat Chahat Hai Par,
Milne K Baad Judaai Se Darte Hain.
`
Nafrat Kabhi Na Karna Hum Se,
Ye hum Kabi na Seh Payein Gey,
Ek bar keh Dena humse k Zarorat Nahi Ab Tumhari
Hum Tumhari Duniya se Hans k Chalay Jaein Gey!
`
Kab Howi pyar ki Barsat Mujhe Yaad Nahi
Khof mein doobi mulaqat Mujhe Yaad Nahi
Mai to Madhosh tha kuch itna Uski Chahat Mein
Us Ne Kab Chorr Diya Sath Mujhe Yaad Nahi.
`
Wo Roye To Bohat Par Mujhse Monh Morr Kar Roye,
Koi Majburi Hogi Jo Dil Torr Kr Roye,
Mere Samne Kar Diye Meri Tasveer K Tukray,
Pata Laga Mere Peeche Wo Unhe Jorr Kar Roye!
`
Faslay To Pyar Ki Pehchan Hua Karte Hain
Najanay Kyon Log Preshan Hua Karte Hain
Ye Haqiqat Hai K Jahan Toot K Chaha Jaye
Wahan Bichrnay K Imkaan Hua Karte Hain.
`
Wo Kisi ki Dil Lagi ko Saza Samjne Laga
Do pal Roth k Guzare to Jafa Samjne Laga
Wo kia jane k hum ktna roye unke Baghair
Wo Baghair soche smje muje bewfa Samjne Laga.
`
Agar Mujse Mohabat Nahi To Rote Q Ho
Tanhai Me Mere Bare Me Sochte Q Ho
Agar Manzil Judai He To Jane Do Muje
Lot K Kab Aoge Puchte Q Ho…




Saath Humara pal bhar ka sahi,
par woh pal aise jaise koi kal nahi
rahe zindagi mein shayad phir milna humaara
par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi…
`
Aap to chand ho jise sab yaad karte hai,
humari kismat to sitaro jaisi hai,
yaad karna to door…log apani khwahish k liye bhi
humare tootne ka intezar karte hai.
`
Lamhe judai k bekrar karte hai,
Halat mere Mujhe lachar karte hai,
Aankhe meri padh lo kabhi,
Hum khud kaise kahe ki,
Aapko kitna yaad karte hai..
`
Har roj fariyaad karoge,
Mehfil me nahi to tanhai me yaad karoge,
Hum sa na mile hai na milega is dunia me,
Kabhi to apni kismat par naaz karoge…
`
Kabhi jazbat to kabhi yadon ko bayan karte hain,
Kabhi aansu to kabhi dard piya karte hain,
Aap humein bhool na jayen isliye waqt baywaqt msg kiya karte hai..
`
Kuch beete hue lamhon se mulakat hui,
Kuch bhule hue sapno se bat hui ,
Yaad jo karne baith un tamam yadon ko
to apki hi yadon se shrovat hui..
`
Tumse dur jane ka irada na tha ,
sada sath rehne ka bhi vaada na tha,
Tum yaad na kroge ye jante the hum,
Par itni jaldi bhul jaoge aandaja na tha…


Mere dil ko todakar tum jaaoge jaha,
Meri baate yaad tumako aayegi wahaa,
Main to apna samajhkar tumhe maaf kar dunga,
Magar maaf na karega tumako ye jahaan.
`
Woh chalte chalte itne door chale gaye,
Hamein rokna bhi na aaya.
Hamne unka naam liya phir bhi,
Shayad unhein sunna na aaya.
`
Meri Ankhoon Kay Samandar main Jalan Kaysi Ha
Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaysi Ha
Ab Kisi Chaat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaysi Ha.
`
Tum dur ho¦ aur pas bhi,!
Tum hansi ho¦ aur aansu bhi!
Tum Mere man ki shanti ho.. aur dil ki bechaini bhi!
Tum meri amanat ho.. aur ek sapna bhi!
`
Chaha to bahot tha lekin woh mila naahin
Lakh koshisho ke bawjood humare beech ka fasla meeta naahin
Is kadar majboor kar diya zamane ne hume
Ki woh meri kisi sada pe tehra hi naahin
`
Tanhai jub muqaddar mein likhi hai,
To kia shikayat apnon aur bayganon se,
Hum mit gaye jin ki chahat main,
Woh baaz nahin aatay hamain azmanay se
`
Apne khwaabon khyaalon me tujhe paaya hamane,
Tere pyaar me khud ko mitaya hamane,
Suna hai andhero se bahut ghabraate ho tum,
Roshani ke liye apne dil ko jalaya hamne.
`
Anjane may hum apna dil ganwa baithay
is pyar may kaysa dhoka kr baithay
unsay kya gila kre bhul hamari he hy
jo bin dilwaloo say dil lga baithay.
`
Na karta Shikayat Zamane se koi !
Agar maan jaata manane se koi !!
Kisi ko kyuin yaad karta koi !
Agar bhul jata bhulane se koi …. !!


Dur reh kar bhi teri fariyad karte hain.
Apni tanhayi se teri baat karte hain.
Tu bhul ja ya khuf-ae-badnami se ho juda.
Har ghari har pal tujhi ko yaad karte hain.
`
Wohi Gham Wohi Tanhayi
The Sorrow The Lonliness
Bojheen Saanson Ka Bhari Hai Bahut
Ho Gaya Mushkil Uthana Kia Bataun
Us Shahar Ki Us Gali Main Woh Makan Tha
Us Main Tha Kis Ka Thikana Kia Bataun
Band Khidki Ke
`
wo hame dekh ke hasti thi
ishara karket kuch kahati thi
kabhi sharmati thi
wo mujhe dosti karne me majboor karti thi
ab milti nahi dikh ti nahi mujhe pagal banati thi
`
Mohabbaton se jaane kyun yaqeen ab to uth sa chala hai
Wafa bhi khaye kasam jiski, mujhe us wafa ki talash hai !!!!
`
Dil Hi Dil Mein,Unhe Chahte Hai,
Dil Hi Dil Mein,Unhe Pyaar Karte Hai,
Mushkil Hai Unka Raah Se Guzarna,
Fir Bhi Har Mod Pe,Unka Intezaar Karte Hai
`
Khoob Gaye Pardes,
Ke Apne Deewaron-Dar Bhool Gaye….
Sheesh Mahal Ne Aisa Ghera
Mitti Ki Ghar Bhool Gaye
Uski Galiyoon Se Jab Laute
Apna Bhi Ghar Bhool Gaye
`
Iss shaam ko hum nahin bhole gaye aur na hi aapko,
kyun ki sham bhi saat chor deygi aur aap bhi…..
`
Kisse Se Mange Dawa Zakhmon Ki
Sabhi Ne Chotein Khaain Hai
Kisi Ka Sanam Bewafa Hai To
Kisi Ka Sajan Harzaai Hai
`
Apne Dil Mein Tumhare Pyar Ki Dastaan Likhi Hai
Na Thodi Na Bahut Tamaam Likhi Hai
Kabhi Humaare Liye Bhi Dua Kar Liya Karo
Kyon Ki Humne Apni Har Ik Saans Tumhare Naam Likhi Hai
`
Kaghaz pe hum ne zindagi likh di,
Ankhon se seench kar apni har khushi likh di,
Dard jab hum ny utara lafzon may,
Zamanay ny kaha WAH kia ghazal likh di.
`
Kuch loog bhool kar bhe bhulaey nahi jatay,
Aetibaar itna k azmaey nahi jatay,
ho jatay hain dilon pe kuch is tarhan musalat,
Kay naksh un k,dil se mitaey nahi jatay.